SHAWORDS

daaman-e-taar-taar ke din hain — Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari

"daaman-e-taar-taar ke din hain phir chaman mein bahaar ke din hain dil-e-khun-gashta hai yahaan jab tak laala-e-daagh-daar ke din hain chaak hotaa hai daaman-e-hasti gulsitaan mein bahaar ke din hain haae kyaa chiiz hai javaani bhi be-piye hi khumaar ke din hain haasil-e-ishq hai fareb-e-umid din to bas intizaar ke din hain ho rahe hain sitam ba-qadr-e-vafaa 'kaifi'-e-dil-figaar ke din hain"
Urdu

دامن تار تار کے دن ہیں پھر چمن میں بہار کے دن ہیں دل خوں گشتہ ہے یہاں جب تک لالۂ داغدار کے دن ہیں چاک ہوتا ہے دامن ہستی گلستاں میں بہار کے دن ہیں ہائے کیا چیز ہے جوانی بھی بے پیے ہی خمار کے دن ہیں حاصل عشق ہے فریب امید دن تو بس انتظار کے دن ہیں ہو رہے ہیں ستم بقدر وفا کیفیؔ دل فگار کے دن ہیں

Hindi

दामन-ए-तार-तार के दिन हैं फिर चमन में बहार के दिन हैं दिल-ए-ख़ूँ-गश्ता है यहाँ जब तक लाला-ए-दाग़-दार के दिन हैं चाक होता है दामन-ए-हस्ती गुल्सिताँ में बहार के दिन हैं हाए क्या चीज़ है जवानी भी बे-पिए ही ख़ुमार के दिन हैं हासिल-ए-इश्क़ है फ़रेब-ए-उमीद दिन तो बस इंतिज़ार के दिन हैं हो रहे हैं सितम ब-क़द्र-ए-वफ़ा 'कैफ़ी'-ए-दिल-फ़िगार के दिन हैं

dāman-e-tār-tār ke din haiñ
Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
poet20 quotes

More by Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari

View all →
Quote
"qafas tak bhi pahunch hai yaa faqat ik aashiyaan tak hai rasaai dekhni hai barq-e-sozaan ki kahaan tak hai mujhe lazzat-kash-e-bedaad paa kar haath kyon rokaa zaraa to aazmaate hausla dil kaa kahaan tak hai yaqin apni vafaa par hai taghaaful kaa nahin shikva tiri begaangi ham jaante hain imtihaan tak hai nasheman phunk kar zaalim havaa detaa hai daaman ki ghubaar-e-khaatir-e-sayyaad khaak-e-aashiyaan tak hai zaraa saa dil hai lekin jaan hai bazm-e-do-aalam ki ye saari garmi-e-hangaama qalb-e-naa-tavaan tak hai shikast-e-dil kaa baais aarzu-e-dil ko Thahraayaa gumaan-e-nek tujh se bad-gumaan dekhaa kahaan tak hai yahi ruh-e-tamanna hai yahi hai jaan-e-dil 'kaifi' qafas mein zindagi apni khayaal-e-aashiyaan tak hai"
Abdur Rasheed Khan Kaifi MahkariAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
Quote
"nae sire se phir aaj 'kaifi' ham apni duniyaa basaa rahe hain jo kho chuke us se be-khabar hain jo rah gayaa vo luTaa rahe hain nashaat-e-imroz ki qasam hai ki dil ne sab mahfilein bhulaa diin diye the maazi ne daagh jitne vo khud-ba-khud miTte jaa rahe hain khushaa ye daur-e-shabaab un kaa ye dil-navaaz iltifaat un kaa ki be-piye aaj har qadam par mire qadam laDkhaDaa rahe hain udhar nazar hai idhar nazar hai kuchh apni rusvaaiyon kaa Dar hai jhijak rahe hain ThiThak rahe hain magar miri samt aa rahe hain hayaa ne go jurat-e-takallum zabaan se chhin li hai lekin vo aankhon aankhon hi mein bahut kuchh sunaa chuke aur sunaa rahe hain shabaab hai aur shaadmaani bahaar hai aur kaamraani bane hain sarshaari-e-mujassam mujhe bhi vo khud banaa rahe hain"
Abdur Rasheed Khan Kaifi MahkariAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
Quote
"khayaal-e-pursish-e-fardaa se ghabraanaa nahin aataa gunah kartaa huun lekin mujh ko pachhtaanaa nahin aataa yaqin-e-daavaa-e-ulfat nahin maanaa nahin aataa magar ye bhi to hai jhuTon ko jhuTlaanaa nahin aataa tabiat hai ghayur aisi ki tishna-kaam rahtaa huun lagi-lipTi kisi ki sun ke pi jaanaa nahin aataa miri naakaamiyaan dil kaa chaman shaadaab rakhti hain ye vo kaliyaan hain jin ko khil ke murjhaanaa nahin aataa kisi ke vaada-e-baatil se taskin ho nahin sakti khilaune de ke mujh ko dil kaa bahlaanaa nahin aataa vafaa ki daastaan duniyaa mein 'kaifi' kab nahin chhiDti zabaan-e-khalq par kab meraa afsaana nahin aataa"
Abdur Rasheed Khan Kaifi MahkariAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
Quote
"aap ko gar kuchh khayaal-e-vaa'da-e-baaham rahe mubtalaa-e-aarzu kyon mubtalaa-e-gham rahe kar taDapne mein madad ai dil ki Thaani ham ne hai aaj qaid-e-gham rahe yaa mubtalaa-e-gham rahe phir vahi aashuftagi ho phir vahi divaangi dil pe yaarab phir junun-e-ishq kaa 'aalam rahe is pashemaani pe qurbaan kyaa karun jaan bhi nahin mere mar jaane pe koi mubtalaa-e-gham rahe phir vahi rang-e-parastish hai vahi tarz-e-vafaa phir kisi ke aastaan par apni gardan kham rahe taab laaun diid ki 'kaifi' ye mumkin hai kahaan nayyar-e-taabaan ke aage qatra-e-shabnam rahe"
Abdur Rasheed Khan Kaifi MahkariAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud