"nizaam-e-har-do-aalam intizaam-e-vusat-e-dil hai ye jo kuchh hai vahi sab kuchh hai sab kuchh is mein shaamil hai mujhe aataa hai har mushkil ko aasaani banaa lenaa mujhe mushkil nahin mushkil baDi mushkil ye mushkil hai talaash-e-manzil-e-maqsud hai ik shaghl-e-bekaari bahut kuchh ham ko apni sai-e-laa-haasil se haasil hai maqaam-e-aafiyat miltaa hai kab bargashta-qismat ko ham aa pahonche to yuun samjho balaa manzil pe naazil hai bachaa le jaae tu kashti ko maujon ke thapeDon se abhi to duur hi aafiyyat-e-saahil se saahil hai tire pas-maandagaan-e-raah bhi hain rahbar-e-aalam yahaan to jo koi naaqis bhi hai kaamil se kaamil hai hujum-e-hasrat-o-armaan se ghar khaali nahin rahtaa jahaan ham hain vahaan har-vaqt ik mahfil ki mahfil hai jahaan khuddaar bantaa hai vahaan khuddaar bantaa hai yahi to haal 'khushtar' hai jahaan saail hai saail hai"
dard-e-dil soz-e-jigar yaad aaya — Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
"dard-e-dil soz-e-jigar yaad aaya jab tiraa tir-e-nazar yaad aaya khaana-barbaad vahaan ab kyaa hai kaun si baat pe ghar yaad aaya jiite ji aap ne puchhaa mujh ko li kabhi khair-khabar yaad aaya yaad aaya hamein ik naqsh-e-qadam haasil-e-raah-e-guzar yaad aaya nakhl-e-ulfat ki jo yaad aai hamein jo milaa thaa vo samar yaad aaya mujh se ho jaaegi ulfat ik din baar baar us ko agar yaad aaya main qafas mein bhi chunungaa tinke aashiyaan mujh ko agar yaad aaya jab gayaa sar se khudi kaa saudaa ham ko allaah kaa ghar yaad aaya haath uThaate hi milaa dil ko sukun kyaa duaaon kaa asar yaad aaya be-khud-e-shauq rahe ham jab tak khair yaad aai na shar yaad aaya apni be-raah-ravi par 'khushtar' sheva-e-ahl-e-hunar yaad aaya"
درد دل سوز جگر یاد آیا جب ترا تیر نظر یاد آیا خانہ برباد وہاں اب کیا ہے کون سی بات پہ گھر یاد آیا جیتے جی آپ نے پوچھا مجھ کو لی کبھی خیر خبر یاد آیا یاد آیا ہمیں اک نقش قدم حاصل راہ گزر یاد آیا نخل الفت کی جو یاد آئی ہمیں جو ملا تھا وہ ثمر یاد آیا مجھ سے ہو جائے گی الفت اک دن بار بار اس کو اگر یاد آیا میں قفس میں بھی چنوں گا تنکے آشیاں مجھ کو اگر یاد آیا جب گیا سر سے خودی کا سودا ہم کو اللہ کا گھر یاد آیا ہاتھ اٹھاتے ہی ملا دل کو سکوں کیا دعاؤں کا اثر یاد آیا بے خود شوق رہے ہم جب تک خیر یاد آئی نہ شر یاد آیا اپنی بے راہروی پر خوشترؔ شیوۂ اہل ہنر یاد آیا
दर्द-ए-दिल सोज़-ए-जिगर याद आया जब तिरा तीर-ए-नज़र याद आया ख़ाना-बर्बाद वहाँ अब क्या है कौन सी बात पे घर याद आया जीते जी आप ने पूछा मुझ को ली कभी ख़ैर-ख़बर याद आया याद आया हमें इक नक़्श-ए-क़दम हासिल-ए-राह-ए-गुज़र याद आया नख़्ल-ए-उल्फ़त की जो याद आई हमें जो मिला था वो समर याद आया मुझ से हो जाएगी उल्फ़त इक दिन बार बार उस को अगर याद आया मैं क़फ़स में भी चुनूँगा तिनके आशियाँ मुझ को अगर याद आया जब गया सर से ख़ुदी का सौदा हम को अल्लाह का घर याद आया हाथ उठाते ही मिला दिल को सुकूँ क्या दुआओं का असर याद आया बे-ख़ुद-ए-शौक़ रहे हम जब तक ख़ैर याद आई न शर याद आया अपनी बे-राह-रवी पर 'ख़ुशतर' शेवा-ए-अहल-ए-हुनर याद आया

More by Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
View all →"naa vo masarrat gunaah mein hai na vo kashish ab savaab mein hai kharaab-e-saamaan-e-zindagi sab jahaan ki bazm-e-kharaab mein hai hasin be-shak hai bazm-e-anjum qamar bhi haan kuchh hisaab mein hai magar yahaan tu hi tu hai yaktaa savaal tere javaab mein hai yahaan hai bekaar us ki hasrat yahaan ki vo chiiz hi nahin hai kare vo raahat ki justuju kyuun jo is jahaan-e-kharaab mein hai paDi hai bebaak jis pe us ko pilaa diyaa ek jaam-e-masti balaa ki masti bhari hui us nigaah-e-mast-e-shabaab mein hai badal gai hai nigaah-e-saaqi to rang-e-mahfil badal gayaa hai na ab vo pahli si mai-kashi hai na vo mazaa ab sharaab mein hai sunaa thaa ham ne ki hashr mein vo dikhaane vaale hain apnaa jalva magar jo dekhaa to aaj bhi vo jamaal-e-rangin naqaab mein hai dikhaa rahaa hai uchhal uchhal kar ye sab ko josh-e-numud-e-ghaafil ki goyaa dariyaa-e-be-karaan ik nihaan jahaan-e-habaab mein hai kahaan vo naghmon mein soz-e-mutrib kahaan vo aish-o-tarab ki duniyaa kahaan vo pahlaa saa kaif baaqi sadaa-e-chang-o-rabaab mein hai hazaaron ranginiyaan bhi dekhin hazaar jalve bhi ham ne dekhe magar jo phir ghaur kar ke dekhaa to husn-e-mutlaq hijaab mein hai jahaan ke sab ranj-o-gham miTaa de mire muqaddar ko phir jagaa de ilaahi 'khushtar' ki iltijaa ye mudaam teri janaab mein hai"
"matlab na subh se na gharaz koi shaam se apni to zindagi hai faqat daur-e-jaam se vaaqif hai kaun ghuncha-o-gul ke maqaam se sehn-e-chaman mein phaile hue hain jo daam se hoti nahin hai jin ko mayassar shab-e-nashaat subh-e-bahaar ke liye rote hain shaam se duniyaa samajh gai hai ki hai ye fareb-e-zist Darne lage hain log mohabbat ke naam se taar-e-nafas ki lai pe hai aavaaz-e-zindagi naghme baraste rahte hain saaz-e-davaam se azm-e-samim le ke nikaltaa huun jab kabhi manzil dikhaai deti hai do-chaar gaam se hoti chali hai jab se tabiat junun-navaaz rahne lagaa huun duur khirad ke maqaam se saada-dili nahin to ise aur kyaa kahein ham gham uThaa rahe hain masarrat ke naam se 'khushtar' mileinge sab mire haalaat-e-zindagi khud aap jaanch lijiye mere kalaam se"
"rasm-o-niyaaz-e-naaz se ek maqaam par gayaa husn se jo na ho sakaa ishq vo kaam kar gayaa dair gayaa haram gayaa aur kidhar kidhar gayaa main bhi talaash-e-yaar mein had se pare guzar gayaa saaf hudud-e-zist ko dekhiye paar kar gayaa girte hi bahr-e-gham mein main maut ke ghaaT utar gayaa shaan-e-numud thi vahi rang-e-vajud thaa vahi ik vahi thaa nazar-navaaz main to jidhar jidhar gayaa kaam tamaam kar diyaa is gham-e-zindagi ne to talkhi-e-baada se miraa jaam-e-hayaat bhar gayaa saath jo mil gayaa mujhe ishq-e-junun-navaaz kaa un ki harim-e-naaz mein aaj to be-khatar gayaa naghma-e-zindagi mein ab soz kahaan se laaun main taar-e-nafas ko chheD kar saaz miraa bikhar gayaa meraa hi hausla rahaa meri hi justuju rahi manzil-e-ishq tak miri kab koi raahbar gayaa ijz-o-niyaaz se milin donon jahaan ki rifatein chhoD di jis ne khud-sari baam-e-uruj par gayaa 'khushtar'-e-khush-bayaan ko thaa naam-o-numud se gurez phir bhi sukhan ki bazm mein naam vo apnaa kar gayaa"
"bazm-e-nashaat-o-aish kaa saamaan liye hue aai sabaa bahaar-e-gulistaan liye hue uDtaa phiraa junun ye saamaan liye hue yaani hamaare jeb-o-garebaan liye hue kab tak jiyegaa daar-e-fanaa mein bataa to de sar mein ghurur-e-aalam-e-imkaan liye hue mere junun-e-ishq ki vusat na puchhiye hai zarra zarra zor-e-bayaabaan liye hue jis ko uThaa sake na pahaaD aur na aasmaan vo baar-e-gham hain hazrat-e-insaan liye hue mere liye to bahr-e-alam kaa ye haal hai jo mauj uThi vo aai hai tufaan liye hue ik majma-e-bahaar-o-khizaan hai miraa vajud phirtaa huun saath gardish-e-dauraan liye hue aasaan ho kyuun na ahl-e-tajassus ko raah-e-shauq hain apne saath zauq-e-faraavaan liye hue pheri lagaa rahaa huun kharidaar ki hai fikr phirtaa huun sar pe main gham-e-dauraan liye hue bahar-e-niyaaz-e-naaz ham aae hain le ke dil dil mein hujum-e-hasrat-o-armaan liye hue 'khushtar' mujhe hai naaz ki allaah ke huzur jaaungaa dil mein daulat-e-imaan liye hue"
"hai koi mai-kash na baada hai na paimaane kaa naam muft mein badnaam kar rakkhaa hai maikhaane kaa naam dusraa kyaa aur hotaa aise viraane kaa naam dasht-e-vahshat hai munaasib mere kaashaane kaa naam gham hai meri zindagi ghamnaak meri zindagi is liye zindaan-e-gham hai mere viraane kaa naam but gae dil se magar yaad-e-butaan to dil mein hai saath kaabe ke chalaa jaataa hai but-khaane kaa naam baad-e-sarsar le uDi jo chaar tinke the bache miT gayaa gulshan se aakhir mere kaashaane kaa naam yaad kartaa hai zamaana ab bhi dasht-e-najd ko qais kaa qissa liye phirtaa hai viraane kaa naam saaqi-e-badmast kaa tarz-e-nazar hai baada-rez ab kahaan chaltaa hai maikhaane mein paimaane kaa naam ahl-e-irfaan ke liye hotaa hai ye saamaan-e-vajd jhumte rahte hain le kar tere divaane kaa naam jaan-sitaani chhoD zaalim jaan-nisaari kar shiaar aaj shaahin se kahin baDh kar parvaane kaa naam hote hote ho gai divaangi farzaangi ho gayaa hir-phir ke divaana hi farzaane kaa naam mujh par us mai-khaana-e-qudrat kaa 'khushtar' hai karam lete hain tasnim-o-kausar jis ke paimaane kaa naam"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"