SHAWORDS

dard-e-dil yaar rahaa dard se yaari na gai — Mubarak Azimabadi

"dard-e-dil yaar rahaa dard se yaari na gai zindagi ham se to be-lutf gizaari na gai din ke naale na gae raat ki zaari na gai na gai dil se kabhi yaad tumhaari na gai ham to khun-gashta tamannaaon ke maatam mein rahe sina-kubi na gai sina-figaari na gai intizaar aap kaa kab lutf se khaali niklaa raaegaan raat kisi roz hamaari na gai bakhshvaayaa mujhe tum ne to khudaa ne bakhshaa na gai roz-e-jazaa baat tumhaari na gai log kahte hain badaltaa hai zamaana lekin din hamaaraa na gayaa raat hamaari na gai"
Urdu

درد دل یار رہا درد سے یاری نہ گئی زندگی ہم سے تو بے لطف گزاری نہ گئی دن کے نالے نہ گئے رات کی زاری نہ گئی نہ گئی دل سے کبھی یاد تمہاری نہ گئی ہم تو خوں گشتہ تمناؤں کے ماتم میں رہے سینہ کوبی نہ گئی سینہ فگاری نہ گئی انتظار آپ کا کب لطف سے خالی نکلا رائیگاں رات کسی روز ہماری نہ گئی بخشوایا مجھے تم نے تو خدا نے بخشا نہ گئی روز جزا بات تمہاری نہ گئی لوگ کہتے ہیں بدلتا ہے زمانہ لیکن دن ہمارا نہ گیا رات ہماری نہ گئی

Hindi

दर्द-ए-दिल यार रहा दर्द से यारी न गई ज़िंदगी हम से तो बे-लुत्फ़ गुज़ारी न गई दिन के नाले न गए रात की ज़ारी न गई न गई दिल से कभी याद तुम्हारी न गई हम तो ख़ूँ-गश्ता तमन्नाओं के मातम में रहे सीना-कूबी न गई सीना-फ़िगारी न गई इंतिज़ार आप का कब लुत्फ़ से ख़ाली निकला राएगाँ रात किसी रोज़ हमारी न गई बख़्शवाया मुझे तुम ने तो ख़ुदा ने बख़्शा न गई रोज़-ए-जज़ा बात तुम्हारी न गई लोग कहते हैं बदलता है ज़माना लेकिन दिन हमारा न गया रात हमारी न गई

dard-e-dil yaar rahā dard se yaarī na ga.ī
Mubarak Azimabadi
Mubarak Azimabadi
Mubarak Azimabadi
poet110 quotes

More by Mubarak Azimabadi

View all →
Quote
"mohabbat mein Thani aksar yahaan tak ki pahunche maarke tiir o kamaan tak chale naavak khinchi zaalim kamaan tak kahaan tak imtihaan aakhir kahaan tak chale jaate hain aavaaz-e-jaras par pahunch jaaeinge bichhDe kaarvaan tak havaa-e-shauq ke jhonke salaamat rahoge tum pas-e-parda kahaan tak na vo ayyaar mujh se puchhtaa hai na dil ki baat aati hai zabaan tak usi sar ko sar-e-shorida kahiye jo pahunche us ke sang-e-aastaan tak niyaaz o naaz ke charche raheinge hamaari aur tumhaari daastaan tak 'mubaarak' ko koi din aur sun lo bayaan kaa lutf hai us khush-bayaan tak"
Mubarak AzimabadiMubarak Azimabadi
Quote
"baghal mein ham ne raat ik ghairat-e-mahtaab dekhaa hai tumhin is khvaab ki taabir ho kyaa khvaab dekhaa hai taDap bijli ki bhi dekhi hai vo dil thaam lete hain tiri be-taabiyon ko bhi dil-e-betaab dekhaa hai vo ulfat dost hon naaseh duaa hi dil se nikli hai agar dushman ke ghar bhi majma-e-ahbaab dekhaa hai khudaa ke saamne ai mohtasib sach bolnaa hogaa mire saaghar mein mai dekhi hai yaa khun-naab dekhaa hai 'mubaarak' iztiraab-e-shauq kaa aalam nahin chhuptaa ki jab dekhaa hai ham ne aap ko betaab dekhaa hai"
Mubarak AzimabadiMubarak Azimabadi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi