"maston pe ungliyaan na uThaao bahaar mein dekho to hosh hai bhi kisi hoshyaar mein kuchh mohtasib kaa khauf hai kuchh shaikh kaa lihaaz piitaa huun chhup ke daaman-e-abr-e-bahaar mein vo saamne dhari hai suraahi bhari hui donon jahaan hain aaj mire ikhtiyaar mein allaah baat kyaa hai ki divaangi miri divaangi nahin nazar-e-hoshiyaar mein jhuTi tasalliyon se na bahlaao jaao jaao jaao ki tum nahin ho mire ikhtiyaar mein huun vaadi-e-hayaat mein is tarah sust-e-gaam jaise ho paa-shikasta koi khaar-zaar mein ab vo sukun-e-yaas na vo iztiraab-e-shauq siine mein dil hai yaa koi laasha mazaar mein ab khaak uDaaiye na hamaare mazaar ki ab khaak bhi nahin hai hamaare mazaar mein tanhaai-e-firaaq mein ummid baar-haa gum ho gai sukut ke hangaama-zaar mein vo andalib-e-gulshan-e-maani huun main 'hafiz' soz-e-sukhan se aag lagaa duun bahaar mein"
daur-e-rafta dekh letaa huun gulistaan dekh kar — Hafeez Jalandhari
"daur-e-rafta dekh letaa huun gulistaan dekh kar gul ko khandaan dekh kar bulbul ko giryaan dekh kar naakhudaa par mutmain the bandagaan-e-naakhudaa ab khudaa yaad aa rahaa hai mauj-e-tufaan dekh kar sang-dil samjhaa barahman shaikh samjhe had mazaaq hans paDe donon mujhe ab tak musalmaan dekh kar shikva farmaate hi ulTi minnatein karni paDin dil pashemaan ho gayaa un ko pashemaan dekh kar is mashaqqat-gaah mein raahat kaa ye gosha 'hafiz' dekh lo aur khush raho gor-e-gharibaan dekh kar"
دور رفتہ دیکھ لیتا ہوں گلستاں دیکھ کر گل کو خنداں دیکھ کر بلبل کو گریاں دیکھ کر ناخدا پر مطمئن تھے بندگان ناخدا اب خدا یاد آ رہا ہے موج طوفاں دیکھ کر سنگ دل سمجھا برہمن شیخ سمجھے حد مذاق ہنس پڑے دونوں مجھے اب تک مسلماں دیکھ کر شکوہ فرماتے ہی الٹی منتیں کرنی پڑیں دل پشیماں ہو گیا ان کو پشیماں دیکھ کر اس مشقت گاہ میں راحت کا یہ گوشہ حفیظؔ دیکھ لو اور خوش رہو گور غریباں دیکھ کر
दौर-ए-रफ़्ता देख लेता हूँ गुलिस्ताँ देख कर गुल को ख़ंदाँ देख कर बुलबुल को गिर्यां देख कर नाख़ुदा पर मुतमइन थे बंदगान-ए-नाख़ुदा अब ख़ुदा याद आ रहा है मौज-ए-तूफ़ाँ देख कर संग-दिल समझा बरहमन शैख़ समझे हद मज़ाक़ हँस पड़े दोनों मुझे अब तक मुसलमाँ देख कर शिकवा फ़रमाते ही उल्टी मिन्नतें करनी पड़ीं दिल पशेमाँ हो गया उन को पशेमाँ देख कर इस मशक़्क़त-गाह में राहत का ये गोशा 'हफ़ीज़' देख लो और ख़ुश रहो गोर-ए-ग़रीबाँ देख कर

More by Hafeez Jalandhari
View all →"o dil toD ke jaane vaale dil ki baat bataataa jaa ab main dil ko kyaa samjhaaun mujh ko bhi samjhaataa jaa haan mere majruh tabassum khushk labon tak aataa jaa phuul ki hast-o-bud yahi hai khiltaa jaa murjhaataa jaa meri chup rahne ki aadat jis kaaran bad-naam hui ab vo hikaayat aam hui hai suntaa jaa sharmaataa jaa ye dukh-dard ki barkhaa bande den hai tere daataa ki shukr-e-neamat bhi kartaa jaa daaman bhi phailaataa jaa jiine kaa armaan karun yaa marne kaa saamaan karun ishq mein kyaa hotaa hai naaseh aql ki baat sujhaataa jaa tujh ko abr-aalud dinon se kaam na chaandni raaton se bahlaataa hai baaton se bahlaataa jaa bahlaataa jaa donon sang-e-raah-e-talab hain raah-numaa bhi manzil bhi zauq-e-talab har ek qadam par donon ko Thukraataa jaa naghme se jab phuul khileinge chunne vaale chun leinge sunne vaale sun leinge tu apni dhun mein gaataa jaa aakhir tujh ko bhi maut aai khair 'hafiz' khudaa-haafiz lekin marte marte pyaare vajh-e-marg bataataa jaa"
"ye kyaa maqaam hai vo nazaare kahaan gae vo phuul kyaa hue vo sitaare kahaan gae yaaraan-e-bazm jurat-e-rindaana kyaa hui un mast ankhDiyon ke ishaare kahaan gae ek aur daur kaa vo taqaazaa kidhar gayaa umDe hue vo hosh ke dhaare kahaan gae uftaad kyuun hai laghzish-e-mastaana kyuun nahin vo uzr-e-mai-kashi ke sahaare kahaan gae dauraan-e-zalzala jo panaah-e-nigaah the leTe hue the paanv pasaare kahaan gae baandhaa thaa kyaa havaa pe vo ummid kaa tilism rangini-e-nazar ke ghubaare kahaan gae uTh uTh ke baiTh baiTh chuki gard raah ki yaaro vo qaafile thake haare kahaan gae har mir-e-kaarvaan se mujhe puchhnaa paDaa saathi tire kidhar ko sidhaare kahaan gae farmaa gae the raah mein baiTh intizaar kar aae nahin palaT ke vo pyaare kahaan gae tum se bhi jin kaa ahd-e-vafaa ustuvaar thaa ai dushmanon vo dost hamaare kahaan gae kashti nai bani ki uThaa le gayaa koi takhte jo lag gae the kinaare kahaan gae ab Dubton se puchhtaa phirtaa hai naakhudaa jin ko lagaa chukaa huun kinaare kahaan gae betaab tere dard se the chaaraagar 'hafiz' kyaa jaaniye vo dard ke maare kahaan gae"
"koi davaa na de sake mashvara-e-duaa diyaa chaaragaron ne aur bhi dil kaa dard baDhaa diyaa donon ko de ke suratein saath hi aaina diyaa 'ishq bisorne lagaa husn ne muskuraa diyaa zauq-e-nigaah ke sivaa shauq-e-gunaah ke sivaa mujh ko buton se kyaa milaa mujh ko khudaa ne kyaa diyaa thi na khizaan ki rok-thaam daaman-e-ikhtiyaar mein ham ne bhari bahaar mein apnaa chaman luTaa diyaa husn-e-nazar ki aabru sanat-e-barhaman se hai jis ko sanam banaa liyaa us ko khudaa banaa diyaa daagh hai mujh pe 'ishq kaa meraa gunaah bhi to dekh us ki nigaah bhi to dekh jis ne ye gul khilaa diyaa 'ishq ki mamlikat mein hai shorish-e-aql-e-naa-muraad ubhraa kahin jo ye fasaad dil ne vahin dabaa diyaa naqsh-e-vafaa to main hi thaa ab mujhe DhunDte ho kyaa harf-e-ghalat nazar paDaa tum ne mujhe miTaa diyaa khubs-e-darun dikhaa diyaa har dahan-e-ghaliz ne kuchh na kahaa 'hafiz' ne hans diyaa muskuraa diyaa"
"un ko jigar ki justuju un ki nazar ko kyaa karun mujh ko nazar ki aarzu apne jigar ko kyaa karun raat hi raat mein tamaam tai hue umr ke maqaam ho gai zindagi ki shaam ab main sahar ko kyaa karun vahshat-e-dil fuzun to hai haal miraa zubun to hai ishq nahin junun to hai us ke asar ko kyaa karun farsh se mutmain nahin past hai naa-pasand hai arsh bahut buland hai zauq-e-nazar ko kyaa karun haae koi davaa karo haae koi duaa karo haae jigar mein dard hai haae jigar ko kyaa karun ahl-e-nazar koi nahin is liye khud-pasand huun aap hi dekhtaa huun main apne hunar ko kyaa karun tark-e-taalluqaat par gir gai barq-e-iltifaat raahguzar mein mil gae raahguzar ko kyaa karun"
"kyuun hijr ke shikve kartaa hai kyuun dard ke rone rotaa hai ab ishq kiyaa to sabr bhi kar is mein to yahi kuchh hotaa hai aaghaaz-e-musibat hotaa hai apne hi dil ki shaamat se aankhon mein phuul khilaataa hai talvon mein kaanTe botaa hai ahbaab kaa shikva kyaa kijiye khud zaahir o baatin ek nahin lab uupar uupar hanste hain dil andar andar rotaa hai mallaahon ko ilzaam na do tum saahil vaale kyaa jaano ye tufaan kaun uThaataa hai ye kashti kaun Dubotaa hai kyaa jaaniye ye kyaa khoegaa kyaa jaaniye ye kyaa paaegaa mandir kaa pujaari jaagtaa hai masjid kaa namaazi sotaa hai khairaat ki jannat Thukraa de hai shaan yahi khuddaari ki jannat se nikaalaa thaa jis ko tu us aadam kaa potaa hai"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"