SHAWORDS

fareb-e-jalva kahaan tak ba-ru-e-kaar rahe — Akhtar Ali Akhtar

"fareb-e-jalva kahaan tak ba-ru-e-kaar rahe naqaab uThaao ki kuchh din zaraa bahaar rahe kharaab-e-shauq rahe vaqf-e-intizaar rahe ab aur kyaa tire vaadon kaa e'tibaar rahe main raaz-e-ishq ko rusvaa karun maaaz-allaah ye baat aur hai dil par na ikhtiyaar rahe chaman mein rakh to rahaa huun binaa nasheman ki khudaa kare ki zamaana bhi saazgaar rahe junun kaa rukh hai harim-e-hayaat ki jaanib ilaahi parda-e-auhaam-e-e'tibaar rahe"
Urdu

فریب جلوہ کہاں تک بروئے کار رہے نقاب اٹھاؤ کہ کچھ دن ذرا بہار رہے خراب شوق رہے وقف انتظار رہے اب اور کیا ترے وعدوں کا اعتبار رہے میں راز عشق کو رسوا کروں معاذ اللہ یہ بات اور ہے دل پر نہ اختیار رہے چمن میں رکھ تو رہا ہوں بنا نشیمن کی خدا کرے کہ زمانہ بھی سازگار رہے جنوں کا رخ ہے حریم حیات کی جانب الٰہی پردۂ اوہام اعتبار رہے

Hindi

फ़रेब-ए-जल्वा कहाँ तक ब-रू-ए-कार रहे नक़ाब उठाओ कि कुछ दिन ज़रा बहार रहे ख़राब-ए-शौक़ रहे वक़्फ़-ए-इंतिज़ार रहे अब और क्या तिरे वादों का ए'तिबार रहे मैं राज़-ए-इश्क़ को रुस्वा करूँ मआज़-अल्लाह ये बात और है दिल पर न इख़्तियार रहे चमन में रख तो रहा हूँ बिना नशेमन की ख़ुदा करे कि ज़माना भी साज़गार रहे जुनूँ का रुख़ है हरीम-ए-हयात की जानिब इलाही पर्दा-ए-औहाम-ए-ए'तिबार रहे

fareb-e-jalva kahāñ tak ba-rū-e-kār rahe
Akhtar Ali Akhtar
Akhtar Ali Akhtar
Akhtar Ali Akhtar
poet13 quotes

More by Akhtar Ali Akhtar

View all →
Quote
"ujaalon ki numaaish ho rahi hai andheron se bhi saazish ho rahi hai koi munsif nahin shaayad mayassar sitamgar se jo naalish ho rahi hai vo maane yaa na maane us ki marzi manaane ki to kaavish ho rahi hai sitamgar se koi puchhe to itnaa ye mujh par kyon navaazish ho rahi hai adab ki rok kar taamir khud hi taraqqi ki guzaarish ho rahi hai hain charche ilm ke har ik zabaan par magar kamzor daanish ho rahi hai nahin ikhlaas-e-niyyat aur 'akhtar' ibaadat ki numaaish ho rahi hai"
Akhtar Ali AkhtarAkhtar Ali Akhtar

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil