Quote
"harim-kaaba banaa di vo sar-zamin main ne tire khayaal mein rakh di jahaan jabin main ne mujhi ko parda-e-hasti mein de rahaa hai fareb vo husn jis ko kiyaa jalva-aafrin main ne chaTak mein ghunche ki vo saut-e-jaan-fazaa to nahin suni hai pahle bhi aavaaz ye kahin main ne rahin-e-manzil-e-vahm-o-gumaan rahaa 'akhtar' isi mein DhunDh liyaa jaada-e-yaqin main ne"
