SHAWORDS

gardish-e-dasht-e-tamannaa se milaa kuchh bhi nahin — Imdad Akash

HomeImdad AkashGhazal
"gardish-e-dasht-e-tamannaa se milaa kuchh bhi nahin ghalghala hone kaa sunte the huaa kuchh bhi nahin har haqiqat vaahima hai vaahima kuchh bhi nahin dekhne mein sab khudaa hai aur khudaa kuchh bhi nahin jazba-e-taamir mein ik khvaahish-e-takhrib thi kuchh banaanaa thaa use lekin banaa kuchh bhi nahin jab se chizon ki haqiqat se huaa huun aashnaa dekhtaa huun par dikhaataa aaina kuchh bhi nahin lauh ik mahfuz hai aur is liye mahfuz hai us ne apne haath se is par likhaa kuchh bhi nahin aks hairat-gaah mein bikhre hue hain har taraf jabki hairat-gaah mein mere sivaa kuchh bhi nahin"
Urdu

گردش دشت تمنا سے ملا کچھ بھی نہیں غلغلہ ہونے کا سنتے تھے ہوا کچھ بھی نہیں ہر حقیقت واہمہ ہے واہمہ کچھ بھی نہیں دیکھنے میں سب خدا ہے اور خدا کچھ بھی نہیں جذبۂ تعمیر میں اک خواہش تخریب تھی کچھ بنانا تھا اسے لیکن بنا کچھ بھی نہیں جب سے چیزوں کی حقیقت سے ہوا ہوں آشنا دیکھتا ہوں پر دکھاتا آئنہ کچھ بھی نہیں لوح اک محفوظ ہے اور اس لیے محفوظ ہے اس نے اپنے ہاتھ سے اس پر لکھا کچھ بھی نہیں عکس حیرت گاہ میں بکھرے ہوئے ہیں ہر طرف جبکہ حیرت گاہ میں میرے سوا کچھ بھی نہیں

Hindi

गर्दिश-ए-दश्त-ए-तमन्ना से मिला कुछ भी नहीं ग़लग़ला होने का सुनते थे हुआ कुछ भी नहीं हर हक़ीक़त वाहिमा है वाहिमा कुछ भी नहीं देखने में सब ख़ुदा है और ख़ुदा कुछ भी नहीं जज़्बा-ए-ता'मीर में इक ख़्वाहिश-ए-तख़रीब थी कुछ बनाना था उसे लेकिन बना कुछ भी नहीं जब से चीज़ों की हक़ीक़त से हुआ हूँ आश्ना देखता हूँ पर दिखाता आइना कुछ भी नहीं लौह इक महफ़ूज़ है और इस लिए महफ़ूज़ है उस ने अपने हाथ से इस पर लिखा कुछ भी नहीं अक्स हैरत-गाह में बिखरे हुए हैं हर तरफ़ जबकि हैरत-गाह में मेरे सिवा कुछ भी नहीं

gardish-e-dasht-e-tamannā se milā kuchh bhī nahīñ
Imdad Akash
Imdad Akash
Imdad Akash
poet21 quotes

More by Imdad Akash

View all →
Quote
"ahd-e-junun mein arsa-e-vahshat guzaarnaa jaise shab-e-visaal mein furqat guzaarnaa jaanaa suraagh-e-jauhar-e-takhliq DhunDne aur us ke baad aalam-e-hairat guzaarnaa karnaa hayaat pahlu-e-aivaan-e-dard mein rozaana ek roz-e-qayaamat guzaarnaa ab tak to hai uruus badan ke nasib mein zulfon pe khaak Daalnaa iddat guzaarnaa jivan sazaa-e-maut se pahle kaa khel hai sab ko hai ye mili hui mohlat guzaarnaa 'aakaash' daur-e-jabr-o-mashaqqat hai chaar din phir taa-abad sukun ki haalat guzaarnaa"
Imdad AkashImdad Akash
Quote
"ne aadmi pasand na is ko khudaa pasand hai aaine mein qaid miraa aainaa-pasand do-chaar din bhi ham se nibaahi nahin gai vo mo'tadil mizaaj thaa main intihaa pasand vo khud-fareb shakhs thaa patthar-shanaas thaa aayaa na us ko koi bhi apne sivaa pasand puchhe hai ham ne kaahe kiyaa kufr ikhtiyaar ghaflat pasand hai na hamein aasraa pasand ghaughaa-e-marg chaaron taraf phailne lagaa kyaa is jahaan ko chhoD gae baadiya-pasand us par hi bhejtaa hai vo aafat bhi maut bhi shaayad use gharib kaa bachcha hai naa-pasand aakaash ek shakhs hai duniyaa se mukhtalif pahli nazar mein hi tumhein aa jaaegaa pasand"
Imdad AkashImdad Akash