SHAWORDS

haal khultaa nahin jabinon se — Ada Jafarey

HomeAda JafareyGhazal
"haal khultaa nahin jabinon se ranj uThaae hain jin qarinon se raat aahista-gaam utri hai dard ke maahtaab zinon se ham ne sochaa na us ne jaanaa hai dil bhi hote hain aabginon se kaun legaa sharaar-e-jaan kaa hisaab dast-e-imroz ke dafinon se tu ne mizhgaan uThaa ke dekhaa bhi shahr khaali na thaa makinon se aashnaa aashnaa payaam aae ajnabi ajnabi zaminon se ji ko aaraam aa gayaa hai 'adaa' kabhi tufaan kabhi safinon se"
Urdu

حال کھلتا نہیں جبینوں سے رنج اٹھائے ہیں جن قرینوں سے رات آہستہ گام اتری ہے درد کے ماہتاب زینوں سے ہم نے سوچا نہ اس نے جانا ہے دل بھی ہوتے ہیں آبگینوں سے کون لے گا شرار جاں کا حساب دشت امروز کے دفینوں سے تو نے مژگاں اٹھا کے دیکھا بھی شہر خالی نہ تھا مکینوں سے آشنا آشنا پیام آئے اجنبی اجنبی زمینوں سے جی کو آرام آ گیا ہے اداؔ کبھی طوفاں کبھی سفینوں سے

Hindi

हाल खुलता नहीं जबीनों से रंज उठाए हैं जिन क़रीनों से रात आहिस्ता-गाम उतरी है दर्द के माहताब ज़ीनों से हम ने सोचा न उस ने जाना है दिल भी होते हैं आबगीनों से कौन लेगा शरार-ए-जाँ का हिसाब दस्त-ए-इमरोज़ के दफ़ीनों से तू ने मिज़्गाँ उठा के देखा भी शहर ख़ाली न था मकीनों से आश्ना आश्ना पयाम आए अजनबी अजनबी ज़मीनों से जी को आराम आ गया है 'अदा' कभी तूफ़ाँ कभी सफ़ीनों से

haal khultā nahīñ jabīnoñ se
Ada Jafarey
Ada Jafarey
Ada Jafarey
poet101 quotes

More by Ada Jafarey

View all →
Quote
"be-gaangi-e-tarz-e-sitam bhi bahaana-saaz be-chaargi-e-karb-o-alam bhi bahaana-saaz kuchh but banaa liye hain chaTTaanein taraash kar dil bhi bahaana-saaz hai gham bhi bahaana-saaz uzr-e-vafaa ke saath jalaate rahe charaagh khultaa hai ab ki dida-e-nam bhi bahaana-saaz paabandi-e-rusum-o-vafaa bhi bahaana-khu tark-e-vafaa-o-sheva-e-ram bhi bahaana-saaz har lamha-e-hayaat kaa tanhaa rahaa vajud dildaari-e-nigaah-e-karam bhi bahaana-saaz kuchh duur saath saath the itnaa to yaad hai sahraa-e-gham mein naqsh-e-qadam bhi bahaana-saaz sab se baDaa fareb hai khud zindagi 'adaa' is hila-ju ke saath hain ham bhi bahaana-saaz"
Ada JafareyAda Jafarey
Quote
"har gaam sambhal sambhal rahi thi yaadon ke bhanvar mein chal rahi thi saanche mein khabar ke Dhal rahi thi ik khvaab ki lau se jal rahi thi shabnam si lagi jo dekhne main patthar ki tarah pighal rahi thi rudaad safar ki puchhte ho main khvaab mein jaise chal rahi thi kaifiyyat-e-intizaar-e-paiham hai aaj vahi jo kal rahi thi thi harf-e-duaa si yaad us ki zanjir-e-firaaq gal rahi thi kaliyon ko nishaan-e-rah dikhaa kar mahki hui raat Dhal rahi thi logon ko pasand laghzish-e-paa aise mein 'adaa' sambhal rahi thi"
Ada JafareyAda Jafarey
Quote
"aage harim-e-gham se koi raasta na thaa achchhaa huaa ki saath kisi ko liyaa na thaa daamaan-e-chaak chaak gulon ko bahaana thaa dil kaa jo rang thaa vo nazar se chhupaa na thaa rang-e-shafaq ki dhuup khili thi qadam qadam maqtal mein subh-o-shaam kaa manzar judaa na thaa kyaa bojh thaa ki jis ko uThaae hue the log muD kar kisi ki samt koi dekhtaa na thaa kuchh itni raushni mein the chehron ke aaine dil us ko DhunDhtaa thaa jise jaantaa na thaa kuchh log sharmsaar khudaa jaane kyuun hue apne sivaa hamein to kisi se gilaa na thaa har ik qadam uThaa thaa nae mausamon ke saath vo jo sanam taraash thaa but pujtaa na thaa jis dar se dil ko zauq-e-ibaadat ataa huaa us aastaan-e-shauq pe sajda ravaa na thaa aandhi mein barg-e-gul ki zabaan se adaa huaa vo raaz jo kisi se abhi tak kahaa na thaa"
Ada JafareyAda Jafarey
Quote
"Dhalke Dhalke aansu Dhalke chhalke chhalke saaghar chhalke dil ke taqaaze un ke ishaare bojhal bojhal halke halke dekho dekho daaman uljhaa Thahro Thahro saaghar chhalke un kaa taghaaful un ki tavajjoh ik dil us par laakh tahalke un ki tamannaa un ki mohabbat dekho sanbhaal ke dekho sanbhal ke gham ne uThaae saikDon tufaan dil ne bisaaraa laakh machal ke pal mein hansaao pal mein rulaao pal mein ujaale pal mein dhundalke ham ne samjhaa tum ne jaanaa dil ne machaae laakh tahalke laakh manaayaa laakh bhulaayaa nain kaTore bhar bhar kar chhalke kitne uljhe kitne sidhe raste un ke rang-mahal ke"
Ada JafareyAda Jafarey

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
N
Naeem Sameer