SHAWORDS

ham log is ummid mein ghar se nikal aae — Ahmad Mahfuz

HomeAhmad MahfuzGhazal
"ham log is ummid mein ghar se nikal aae surat koi mumkin hai safar se nikal aae ik raushni aaseb si phirti hai sar-e-dasht saaya saa koi phir na shajar se nikal aae kuchh der yahaan dekh hi lete hain Thahar kar shaayad vo isi raahguzar se nikal aae"
Urdu

ہم لوگ اس امید میں گھر سے نکل آئے صورت کوئی ممکن ہے سفر سے نکل آئے اک روشنی آسیب سی پھرتی ہے سر دشت سایہ سا کوئی پھر نہ شجر سے نکل آئے کچھ دیر یہاں دیکھ ہی لیتے ہیں ٹھہر کر شاید وہ اسی راہ گزر سے نکل آئے

Hindi

हम लोग इस उम्मीद में घर से निकल आए सूरत कोई मुमकिन है सफ़र से निकल आए इक रौशनी आसेब सी फिरती है सर-ए-दश्त साया सा कोई फिर न शजर से निकल आए कुछ देर यहाँ देख ही लेते हैं ठहर कर शायद वो इसी राहगुज़र से निकल आए

ham log is ummīd meñ ghar se nikal aa.e
Ahmad Mahfuz
Ahmad Mahfuz
Ahmad Mahfuz
poet90 quotes

More by Ahmad Mahfuz

View all →
Quote
"kyaa hijr mein taskin ki surat nahin rahti rahti hai magar teri badaulat nahin rahti ab jaise koi kaam hi ruktaa nahin apnaa ab jaise kisi shai ki zarurat nahin rahti duniyaa se guzar jaate hain duniyaa ki talab mein duniyaa se hamein koi shikaayat nahin rahti vo mauj-e-sad-aavaaz bulaati to hai ab bhi mujh ko hi udhar jaane ki fursat nahin rahti naagin ki tarah raat simaT aati hai dil mein jab saamne ik chaand si surat nahin rahti kahte the bahut dil na lagaa kaar-e-havas mein le dekh ki is shauq mein izzat nahin rahti"
Ahmad MahfuzAhmad Mahfuz

More on Safar

View all →
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
N
Naeem Sameer
Quote
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"
Irfan SattarIrfan Sattar