SHAWORDS

kis tayaqqun talak gae ham log — Naeem Sameer

HomeNaeem SameerGhazal
"kis tayaqqun talak gae ham log phir bhi ai dil bhaTak gae ham log misl-e-dariyaa mili thi sairaabi misl-e-saahil bilak gae ham log yunhi ik din safar kiyaa aaghaaz yunhi ik roz thak gae ham log ehtimaaman hue the ham-aaghosh ehtiyaatan bahak gae ham log ek khushbu chaman mein laai thi aur sahraa talak gae ham log nuur thaa yaa vo ik badan thaa 'samir' us ko chhu kar chamak gae ham log"
Urdu

کس تیقن تلک گئے ہم لوگ پھر بھی اے دل بھٹک گئے ہم لوگ مثل دریا ملی تھی سیرابی مثل ساحل بلک گئے ہم لوگ یوں ہی اک دن سفر کیا آغاز یوں ہی اک روز تھک گئے ہم لوگ اہتماماً ہوئے تھے ہم آغوش احتیاطاً بہک گئے ہم لوگ ایک خوشبو چمن میں لائی تھی اور صحرا تلک گئے ہم لوگ نور تھا یا وہ اک بدن تھا سمیرؔ اس کو چھو کر چمک گئے ہم لوگ

Hindi

किस तयक़्क़ुन तलक गए हम लोग फिर भी ऐ दिल भटक गए हम लोग मिस्ल-ए-दरिया मिली थी सैराबी मिस्ल-ए-साहिल बिलक गए हम लोग यूँही इक दिन सफ़र किया आग़ाज़ यूँही इक रोज़ थक गए हम लोग एहतिमामन हुए थे हम-आग़ोश एहतियातन बहक गए हम लोग एक ख़ुशबू चमन में लाई थी और सहरा तलक गए हम लोग नूर था या वो इक बदन था 'समीर' उस को छू कर चमक गए हम लोग

kis tayaqqun talak ga.e ham log
N
Naeem Sameer
Naeem Sameer
poet11 quotes

More by Naeem Sameer

View all →
Quote
"bahut shaadaab ho lekin bayaabaani nahin jaati ki baam-e-auj chhune se bhi arzaani nahin jaati kai chehron ne aavaazon ne dil aabaad rakkhaa hai magar aankhon mein raqsaan hai jo viraani nahin jaati mujhe apni numu ke vaaste tum se bichhaDnaa hai tumhaare saath rahne se tan-aasaani nahin jaati main is dil ki sabhi sachchaaiyaan taslim kartaa huun magar ik baat aisi bhi hai jo maani nahin jaati hujum-e-shor-o-ghul mein kaun thaa kis ne pukaaraa thaa yahaan to apni bhi aavaaz pahchaani nahin jaati 'samir' is ishq mein insaan kyaa itnaa badaltaa hai main khud par ghaur kartaa huun to hairaani nahin jaati"
N
Naeem Sameer
Quote
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
N
Naeem Sameer
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"aur teri to kisi baat se inkaar nahin vo jo har baar huaa hai vahi is baar nahin ham ko kis samt mein jaanaa hai ye samjhaae kaun aur ham log samajhne ko bhi tayyaar nahin baal-o-par se nahin uDtaa huun junun se apne paanv zanjir hue hain miri raftaar nahin aankh par khauf kaa parda bhi to ho saktaa hai ye jo divaar nazar aati hai divaar nahin jo tujhe dekhnaa hotaa hai vahi dekhtaa hai teri aankhon mein tire khvaab hain aazaar nahin raat hote hi gharon ko jo palaTte hain 'samir' ye ujaalon ke taraf-daar hain haqdaar nahin"
N
Naeem Sameer
Quote
"qissa un dinon kaa hai jab hamein mohabbat thi khvaab ik muamma thaa niind ik aziyyat thi kyaa ajiib rishta thaa aag aur paani kaa main barastaa baadal thaa aur vo qayaamat thi ham ki ek duuje par is tarah se laazim the mujh ko us kaa nashsha thaa us ko meri aadat thi ham bhaTakte phirte the tishnagi ke sahraa mein un labon pe amrit thaa aur mujhe ijaazat thi raat mein musaafir thaa gul-badan ke raston kaa ang ang khushbu thi kyaa hasin masaafat thi ham gunaah-gaar-e-shab rokne se rukte kab umr kaa taqaazaa thaa vaqt ki zarurat thi ham 'samir' kho baiThe maslahat ki raahon mein vo jo ik taalluq thaa vo jo ek nisbat thi"
N
Naeem Sameer

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud