SHAWORDS

ham ne kis raat naala sar na kiyaa — Khwaja Meer Dard

"ham ne kis raat naala sar na kiyaa par use aah kuchh asar na kiyaa sab ke haan tum hue karam-farmaa is taraf ko kabhu guzar na kiyaa kyuun bhavein taante ho banda-navaaz siina kis vaqt main sipar na kiyaa kitne bandon ko jaan se khoyaa kuchh khudaa kaa bhi tu ne Dar na kiyaa dekhne ko rahe taraste ham na kiyaa rahm tu ne par na kiyaa aap se ham guzar gae kab ke kyaa hai zaahir mein go safar na kiyaa kaun saa dil hai vo ki jis mein aah khaana-aabaad tu ne ghar na kiyaa tujh se zaalim ke saamne aayaa jaan kaa main ne kuchh khatar na kiyaa sab ke jauhar nazar mein aae 'dard' be-hunar tu ne kuchh hunar na kiyaa"
Urdu

ہم نے کس رات نالہ سر نہ کیا پر اسے آہ کچھ اثر نہ کیا سب کے ہاں تم ہوئے کرم فرما اس طرف کو کبھو گزر نہ کیا کیوں بھویں تانتے ہو بندہ نواز سینہ کس وقت میں سپر نہ کیا کتنے بندوں کو جان سے کھویا کچھ خدا کا بھی تو نے ڈر نہ کیا دیکھنے کو رہے ترستے ہم نہ کیا رحم تو نے پر نہ کیا آپ سے ہم گزر گئے کب کے کیا ہے ظاہر میں گو سفر نہ کیا کون سا دل ہے وہ کہ جس میں آہ خانہ آباد تو نے گھر نہ کیا تجھ سے ظالم کے سامنے آیا جان کا میں نے کچھ خطر نہ کیا سب کے جوہر نظر میں آئے دردؔ بے ہنر تو نے کچھ ہنر نہ کیا

Hindi

हम ने किस रात नाला सर न किया पर उसे आह कुछ असर न किया सब के हाँ तुम हुए करम-फ़रमा इस तरफ़ को कभू गुज़र न किया क्यूँ भवें तानते हो बंदा-नवाज़ सीना किस वक़्त मैं सिपर न किया कितने बंदों को जान से खोया कुछ ख़ुदा का भी तू ने डर न किया देखने को रहे तरसते हम न किया रहम तू ने पर न किया आप से हम गुज़र गए कब के क्या है ज़ाहिर में गो सफ़र न किया कौन सा दिल है वो कि जिस में आह ख़ाना-आबाद तू ने घर न किया तुझ से ज़ालिम के सामने आया जान का मैं ने कुछ ख़तर न किया सब के जौहर नज़र में आए 'दर्द' बे-हुनर तू ने कुछ हुनर न किया

ham ne kis raat naala sar na kiyā
Khwaja Meer Dard
Khwaja Meer Dard
Khwaja Meer Dard
poet88 quotes

More by Khwaja Meer Dard

View all →
Quote
"baagh-e-jahaan ke gul hain yaa khaar hain to ham hain gar yaar hain to ham hain aghyaar hain to ham hain dariyaa-e-maarifat ke dekhaa to ham hain saahil gar vaar hain to ham hain aur paar hain to ham hain vaabasta hai hamin se gar jabr hai o gar qadr majbur hain to ham hain mukhtaar hain to ham hain teraa hi husn jag mein har-chand maujzan hai tis par bhi tishna-kaam-e-didaar hain to ham hain alfaaz-e-khalq ham bin sab mohmalaat se the maani ki tarah rabt-e-guftaar hain to ham hain auron se to giraani yak-lakht uTh gai hai ai 'dard' apne dil ke gar baar hain to ham hain"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard
Quote
"ham tujh se kis havas ki falak justuju karein dil hi nahin rahaa hai ki kuchh aarzu karein miT jaaein ek aan mein kasrat-numaaiyaan ham aaine ke saamne jab aa ke hu karein tar-daamani pe shaikh hamaari na jaaiyo daaman nichoD dein to farishte vuzu karein sar-taa-qadam zabaan hain juun shama go ki ham par ye kahaan majaal jo kuchh guftugu karein har-chand aaina huun par itnaa huun naa-qubul munh pher le vo jis ke mujhe ru-ba-ru karein ne gul ko hai sabaat na ham ko hai e'tibaar kis baat par chaman havas-e-rang-o-bu karein hai apni ye salaah ki sab zaahidaan-e-shahr ai 'dard' aa ke baiat-e-dast-e-subu karein"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard
Quote
"mujhe dar se apne tu Taale hai ye bataa mujhe tu kahaan nahin koi aur bhi hai tire sivaa tu agar nahin tu jahaan nahin paDi jis taraf ko nigaah yaan nazar aa gayaa hai khudaa hi vaan ye hain go ki aankhon ki putliyaan mire dil mein jaae butaan nahin mire dil ke shishe ko bevafaa tu ne TukDe TukDe hi kar diyaa mire paas to vahi ek thaa yaan dukaan-e-shisha-garaan nahin mujhe raat saari hi tere haan kaTe kyuun ke rote na shama saan ki ho sake hai kuchh ab bayaan na ye baat hai ki zabaan nahin koi samjhe kyuun ke ye muddaaa ki paheli saa hai ye maajraa kahaa main tujhe nahin chaah kyaa lagaa kahne mujh se ki haan nahin na milaa hamein koi nukta-daan ye bipat sunaa dein bhalaa kahaan na huaa sabhon pe vahi ayaan jo kasu se yaan to nihaan nahin tujhe dard kyuun ki sunaaun main na khudaa kisi ko dikhaae ye jo kuchh apne ji pe guzarti hai kahun kyaa ki us kaa bayaan nahin"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard
Quote
"qatl-e-aashiq kisi maashuq se kuchh duur na thaa par tire ahd se aage to ye dastur na thaa raat majlis mein tire husn ke shoale ke huzur shama ke munh pe jo dekhaa to kahin nuur na thaa zikr meraa hi vo kartaa thaa sarihan lekin main ne puchhaa to kahaa khair ye mazkur na thaa baavajude ki par-o-baal na the aadam ke vahaan pahunchaa ki farishte kaa bhi maqdur na thaa parvarish gham ki tire yaan taiin to ki dekhaa koi bhi daagh thaa siine mein ki naasur na thaa mohtasib aaj to mai-khaane mein tere haathon dil na thaa koi ki shishe ki tarah chuur na thaa 'dard' ke milne se ai yaar buraa kyuun maanaa us ko kuchh aur sivaa diid ke manzur na thaa"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard
Quote
"tujhi ko jo yaan jalva-farmaa na dekhaa baraabar hai duniyaa ko dekhaa na dekhaa miraa ghuncha-e-dil hai vo dil girafta ki jis ko kisu ne kabhu vaa na dekhaa yagaana hai tu aah begaanagi mein koi dusraa aur aisaa na dekhaa aziyyat musibat malaamat balaaein tire ishq mein ham ne kyaa kyaa na dekhaa kiyaa muj ko daaghon ne sarv-e-charaaghaan kabhu tu ne aa kar tamaashaa na dekhaa taghaaful ne tere ye kuchh din dikhaae idhar tu ne lekin na dekhaa na dekhaa hijaab-e-rukh-e-yaar the aap hi ham khuli aankh jab koi pardaa na dekhaa shab o roz ai 'dard' dar pe huun us ke kisu ne jise yaan na samjhaa na dekhaa"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard
Quote
"ishq har-chand miri jaan sadaa khaataa hai par ye lazzat to vo hai ji hi jise paataa hai aah kab tak main bakun teri balaa sunti hai baatein logon ki jo kuchh dil mujhe sunvaataa hai ham-nashin puchh na us shokh ki khubi mujh se kyaa kahun tujh se gharaz ji ko mire bhaataa hai baat kuchh dil ki hamaare to na suljhi ham se aapi khush hove hai phir aap hi ghabraataa hai ji kaDaa kar ke tire kuche se jab jaataa huun dil-e-dushman ye mujhe gher ke phir laataa hai raah peinDe kabhu us shokh ke taiin ham se bhi diid vaa diid to hoti hai jo mil jaataa hai 'dard' ki qadr mire yaar samajhnaa vallaah aisaa aazaad tire daam mein yuun aataa hai"
Khwaja Meer DardKhwaja Meer Dard

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud