"kaun si shaakh kaa pattaa thaa haraa bhuul gayaa peD se Tuut ke main apnaa pata bhuul gayaa main koi vaa’da-faraamosh nahin huun phir bhi mujh pe ilzaam hai main apnaa kahaa bhuul gayaa apne bachchon ke khilaune to use yaad rahe ghar mein bimaar paDi maan ki davaa bhuul gayaa kar to diin main ne charaaghon ki qataarein raushan hai zamaane ki magar tez havaa bhuul gayaa khauf-e-dozakh se Daraataa rahaa vaa'iz mujh ko aur khud apne gunaahon ki sazaa bhuul gayaa tujh se kuchh kaam thaa lekin tire ghar ke aage ab khaDaa soch rahaa huun ki main kyaa bhuul gayaa be-khudi had se jo guzri to main ik roz 'nafas' ghar se kyaa niklaa ki phir ghar kaa pata bhuul gayaa"
ham shahr-e-mohabbat ko basaane mein lage hain — Nafas Ambalvi
"ham shahr-e-mohabbat ko basaane mein lage hain kuchh log magar aag lagaane mein lage hain taarikh to taarikh hai hargiz na miTegi naadaan hain jo taarikh miTaane mein lage hain afsos ki is jang mein ab zill-e-ilaahi khud apne hi lashkar ko haraane mein lage hain vo hai ki kahaani hi badalne pe tulaa hai aur ham hain ki kirdaar nibhaane mein lage hain kuchh dard to zulmat ne diye hain hamein lekin kuchh zakhm charaaghon ko jalaane mein lage hain lauTe hain to ab saath faqat gard-e-safar hai ab jaa ke kahin hosh Thikaane mein lage hain jo baat 'nafas' saare zamaane pe 'ayaan thi ham hain ki vahi baat bataane mein lage hain"
ہم شہر محبت کو بسانے میں لگے ہیں کچھ لوگ مگر آگ لگانے میں لگے ہیں تاریخ تو تاریخ ہے ہرگز نہ مٹے گی ناداں ہیں جو تاریخ مٹانے میں لگے ہیں افسوس کہ اس جنگ میں اب ظل الٰہی خود اپنے ہی لشکر کو ہرانے میں لگے ہیں وہ ہے کہ کہانی ہی بدلنے پہ تلا ہے اور ہم ہیں کہ کردار نبھانے میں لگے ہیں کچھ درد تو ظلمت نے دئے ہیں ہمیں لیکن کچھ زخم چراغوں کو جلانے میں لگے ہیں لوٹے ہیں تو اب ساتھ فقط گرد سفر ہے اب جا کے کہیں ہوش ٹھکانے میں لگے ہیں جو بات نفسؔ سارے زمانے پہ عیاں تھی ہم ہیں کہ وہی بات بتانے میں لگے ہیں
हम शहर-ए-मोहब्बत को बसाने में लगे हैं कुछ लोग मगर आग लगाने में लगे हैं तारीख़ तो तारीख़ है हरगिज़ न मिटेगी नादाँ हैं जो तारीख़ मिटाने में लगे हैं अफ़सोस कि इस जंग में अब ज़िल्ल-ए-इलाही ख़ुद अपने ही लश्कर को हराने में लगे हैं वो है कि कहानी ही बदलने पे तुला है और हम हैं कि किरदार निभाने में लगे हैं कुछ दर्द तो ज़ुल्मत ने दिए हैं हमें लेकिन कुछ ज़ख़्म चराग़ों को जलाने में लगे हैं लौटे हैं तो अब साथ फ़क़त गर्द-ए-सफ़र है अब जा के कहीं होश ठिकाने में लगे हैं जो बात 'नफ़स' सारे ज़माने पे 'अयाँ थी हम हैं कि वही बात बताने में लगे हैं

More by Nafas Ambalvi
View all →"dar-ba-dar ho ke dar se TuuT gayaa main to jaise safar se TuuT gayaa Dhal gai shaam ab kahaan jaaun jo ta'alluq thaa ghar se TuuT gayaa kuchh khabar bhi hai in havaaon ko zard paTTaa shajar se TuuT gayaa koi had bhi to ho bikharne ki khvaab dekhaa to Dar se TuuT gayaa tum ne naahaq uThaa liye patthar aaina to nazar se TuuT gayaa ahd ye thaa ki saath chalnaa hai phir bashar hi bashar se TuuT gayaa"
"baazi agarche ziist ki ham haar to gae lekin jo dil pe naqsh the aazaar to gae kitne shanaavaron ko ye dariyaa nigal gayaa tughyaaniyon mein duub ke ham paar to gae baarish kaa zor hai mire khasta makaan par lagtaa hai ab ke ye dar-o-divaar to gae ham log ab qadim numaaish ki chiiz hain baazaar se ab apne kharidaar to gae vo darmiyaan ghazal ke jo uTh kar chalaa gayaa ai bazm-e-shaa'iri tire me'yaar to gae lagtaa hai ab ke jaan hi jaaegi ek din is shaa'iri ke shauq mein ghar-baar to gae chal ai 'nafas' ki ham bhi kahin aur jaa basein do-chaar the jo shahr mein gham-khvaar to gae"
"pahle samundaron mein utaaraa gayaa mujhe phir pyaas ki hadon se guzaaraa gayaa mujhe dekhaa to kuchh nahin thaa vahaan dasht ke sivaa phir bhi lagaa ki jaise pukaaraa gayaa mujhe 'umr-e-ravaan ne puchh liyaa mujh se ek din kyon be-dili ke saath guzaaraa gayaa mujhe pahle vo meri maut pe khud mutmain huaa phir daar se zamin pe utaaraa gayaa mujhe baazi ko jitne ki havas mein bisaat par afsos jaan-bujh ke haaraa gayaa mujhe yuun hi main us ki bazm se uTh kar nahin gayaa dar-asl pahle us kaa ishaara gayaa mujhe kuchh main bhi tez-gaam nahin thaa kuchh ai 'nafas' pur-khaar raaston se guzaaraa gayaa mujhe"
"jitne bhi aae zinat-e-baazaar ho gae ik ham hi the jo saahib-e-kirdaar ho gae jhuTon pe tere shahr mein ilzaam tak nahin aur ham ne sach kahaa to gunahgaar ho gae jab bhi kahin charaagh jalaa hai sukut-e-shab sab log aandhiyon ke taraf-daar ho gae vo zaalimon ke saath hain mazlum be-amaan kaise hamaare ahd ke akhbaar ho gae khatre mein hai ab apne qabile ki aabru jo mukhbiron mein the vahi sardaar ho gae Tapkaa lahu 'nafas' ke badan se to yuun huaa qatre jahaan-jahaan gire ash'aar ho gae"
"thakan se tan-badan TuuTaa paDaa hai masaafat ko magar rasta paDaa hai lahu se tar-ba-tar hain paanv lekin hamein har haal mein chalnaa paDaa hai yahaan main tishnagi se jaan-balab huun udhar milon abhi sahraa paDaa hai koi saansein bhalaa kab tak kharide ye saudaa to bahut mahngaa paDaa hai ye raat ab tak nahin suljhi hai mujh se udhar din bhi abhi uljhaa paDaa hai main aakhir ab ise kaise sanbhaalun yahaan to ghar kaa ghar bikhraa paDaa hai bahut bechain saa rahtaa huun din-bhar sunaa hai gaanv mein sukhaa paDaa hai bulaataa hai mujhe aavaaz de kar vo mere ghar kaa jo malba paDaa hai miraa chandaa gayaa pardes jab se ye ghar aangan bahut suunaa paDaa hai bahut bezaar se lagte ho tum bhi asar tum par 'nafas' gahraa paDaa hai"
More on Maa
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"