"use guman hai ki meri uDaan kuchh kam hai mujhe yaqin hai ki ye asman kuchh kam hai"

Nafas Ambalvi
Nafas Ambalvi
Sherशेर
See all 24 →use guman hai ki meri uDaan kuchh kam hai
उसे गुमाँ है कि मेरी उड़ान कुछ कम है
hamari raah se patthar uTha kar phenk mat dena
हमारी राह से पत्थर उठा कर फेंक मत देना
inkar kar raha huun to qimat buland hai
इंकार कर रहा हूँ तो क़ीमत बुलंद है
ab un ki khvab-gahon men koi avaz mat karna
अब उन की ख़्वाब-गाहों में कोई आवाज़ मत करना
suna hai vo bhi mire qatl men mulavvis hai
सुना है वो भी मिरे क़त्ल में मुलव्विस है
marne ko mar bhi ja.un koi mas.ala nahin
मरने को मर भी जाऊँ कोई मसअला नहीं
Popular Sher & Shayari
48 total"hamari raah se patthar uTha kar phenk mat dena lagi hain Thokaren tab ja ke chalna siikh paa.e hain"
"inkar kar raha huun to qimat buland hai bikne pe aa gaya to gira denge daam log"
"ab un ki khvab-gahon men koi avaz mat karna bahut thak-har kar fotpath par mazdur so.e hain"
"suna hai vo bhi mire qatl men mulavvis hai vo bevafa hai magar itna bevafa bhi nahin"
"marne ko mar bhi ja.un koi mas.ala nahin lekin ye tai to ho ki abhi ji raha huun main"
tu dariyaa hai to hogaa haan magar itnaa samajh lenaa
tire jaise kai dariyaa miri aankhon mein rahte hain
uThaa laayaa kitaabon se vo ik alfaaz kaa jangal
sunaa hai ab miri khaamoshiyon kaa tarjuma hogaa
apne daraaz-qad pe bahut naaz thaa jinhein
vo peD aandhiyon mein zamin se ukhaD gae
hamein duniyaa faqat kaaghaz kaa ik TukDaa samajhti hai
patangon mein agar Dhal jaaein ham to aasmaan chhu lein
is shahar mein khvaabon ki imaarat nahin banti
behtar hai ki taamir kaa naqsha hi badal lo
ab un ki khvaab-gaahon mein koi aavaaz mat karnaa
bahut thak-haar kar fōtpath par mazdur soe hain
Ghazalग़ज़ल
kaun si shaakh kaa pattaa thaa haraa bhuul gayaa
कौन सी शाख़ का पत्ता था हरा भूल गया
dar-ba-dar ho ke dar se TuuT gayaa
दर-ब-दर हो के दर से टूट गया
baazi agarche ziist ki ham haar to gae
बाज़ी अगरचे ज़ीस्त की हम हार तो गए
pahle samundaron mein utaaraa gayaa mujhe
पहले समुंदरों में उतारा गया मुझे
jitne bhi aae zinat-e-baazaar ho gae
जितने भी आए ज़ीनत-ए-बाज़ार हो गए
thakan se tan-badan TuuTaa paDaa hai
थकन से तन-बदन टूटा पड़ा है





