SHAWORDS

hamaaraa naam pukaare hamaare ghar aae — Gulnar Aafreen

HomeGulnar AafreenGhazal
"hamaaraa naam pukaare hamaare ghar aae ye dil talaash mein jis ki hai vo nazar aae na jaane shahr-e-nigaaraan pe kyaa guzarti hai fazaa-e-dasht-e-alam koi to khabar aae nishaan bhuul gai huun main raah-e-manzil kaa khudaa kare ki mujhe yaad-e-rahguzar aae main aandhiyon mein bhi phulon ke rang paDh lungi tire badan ki mahak lauT kar agar aae ghubaar gham kaa dayaar-e-vafaa mein uDtaa hai magar ye ashk bahut kaam chashm-e-tar aae safar kaa rang hasin qurbaton kaa haamil ho bahaar ban ke koi ab to ham-safar aae nai sahar kaa main 'gulnaar' istiaara huun fazaa-e-tira-shabi khatm ho sahar aae"
Urdu

ہمارا نام پکارے ہمارے گھر آئے یہ دل تلاش میں جس کی ہے وہ نظر آئے نہ جانے شہر نگاراں پہ کیا گزرتی ہے فضائے دشت الم کوئی تو خبر آئے نشان بھول گئی ہوں میں راہ منزل کا خدا کرے کہ مجھے یاد رہ گزر آئے میں آندھیوں میں بھی پھولوں کے رنگ پڑھ لوں گی ترے بدن کی مہک لوٹ کر اگر آئے غبار غم کا دیار وفا میں اڑتا ہے مگر یہ اشک بہت کام چشم تر آئے سفر کا رنگ حسیں قربتوں کا حامل ہو بہار بن کے کوئی اب تو ہم سفر آئے نئی سحر کا میں گلنارؔ استعارہ ہوں فضائے تیرہ شبی ختم ہو سحر آئے

Hindi

हमारा नाम पुकारे हमारे घर आए ये दिल तलाश में जिस की है वो नज़र आए न जाने शहर-ए-निगाराँ पे क्या गुज़रती है फ़ज़ा-ए-दश्त-ए-अलम कोई तो ख़बर आए निशान भूल गई हूँ मैं राह-ए-मंज़िल का ख़ुदा करे कि मुझे याद-ए-रहगुज़र आए मैं आँधियों में भी फूलों के रंग पढ़ लूँगी तिरे बदन की महक लौट कर अगर आए ग़ुबार ग़म का दयार-ए-वफ़ा में उड़ता है मगर ये अश्क बहुत काम चश्म-ए-तर आए सफ़र का रंग हसीं क़ुर्बतों का हामिल हो बहार बन के कोई अब तो हम-सफ़र आए नई सहर का मैं 'गुलनार' इस्तिआरा हूँ फ़ज़ा-ए-तीरा-शबी ख़त्म हो सहर आए

hamārā naam pukāre hamāre ghar aa.e
Gulnar Aafreen
Gulnar Aafreen
Gulnar Aafreen
poet32 quotes

More by Gulnar Aafreen

View all →
Quote
"shajar-e-umid bhi jal gayaa vo vafaa ki shaakh bhi jal gai mire dil kaa naqsha badal gayaa miri subh raat mein Dhal gai vahi zindagi jo bahar-nafas jo bahar-qadam mire saath thi kabhi meraa saath bhi chhoD kar miri manzilein bhi badal gai na vo aarzu hai na justuju na koi tasavvur-e-rang-o-bu liye dil mein daagh-e-gham-e-khizaan main chaman se duur nikal gai tiri chaal puuri na ho saki tiraa vaar khaali chalaa gayaa zaraa dekh gardish-e-aasmaan ki main girte girte sanbhal gai tiri chaahaton se sanvar gae ye mire jamaal ke aaine main gulaab ban ke mahak uThi main shafaq ke rang mein Dhal gai ye tilism-e-mausam-e-gul nahin ki ye mo'jiza hai bahaar kaa vo kali jo shaakh se gir gai vo sabaa ki god mein pal gai vahi saaat-e-gham-e-aarzu jo hamesha dil mein basi rahi hai khudaa kaa shukr ki 'aafrin' vo hamaare sar se to Tal gai"
Gulnar AafreenGulnar Aafreen
Quote
"na saath degaa koi raah aashnaa meraa judaa hai saare zamaane se raasta meraa guzar ke aai huun main gham ke regzaaron se nazar udaas hai dil hai dukhaa huaa meraa na jaane kis liye qaatil ke ashk bhar aae faraaz-e-daar pe jab saamnaa huaa meraa dayaar-e-jaan mein farozaan rahegi sham-e-hayaat samajh liyaa tiri aankhon ne muddaaa meraa kiyaa hai pesh tujhe aansuon kaa nazraana hujum-e-shaam-e-alam aur dil jalaa meraa vo saaneha mire dil par guzar gayaa 'gulnaar' har ek harf-e-duaa be-sadaa huaa meraa"
Gulnar AafreenGulnar Aafreen
Quote
"aansu bhi vahi karb ke saae bhi vahi hain ham gardish-e-dauraan ke sataae bhi vahi hain kyaa baat hai kyuun shahr mein ab ji nahin lagtaa haalaanki yahaan apne paraae bhi vahi hain auraaq-e-dil-o-jaan pe jinhein tum ne likhaa hai naghmaat-e-alam ham ne sunaae bhi vahi hain ai josh-e-junun dard kaa aalam bhi vahi hai ai vahshat-e-jaan dard ke saae bhi vahi hain dekhaa hai jinhein aah-ba-lab chaak-garebaan har daagh-e-alam dil mein chhupaae bhi vahi hain sau rang bikhereinge mohabbat ke shagufe 'gulnaar' chaman mein hamein laae bhi vahi hain"
Gulnar AafreenGulnar Aafreen
Quote
"ai shahr-e-sitam-pesha bataa kis ko sadaa duun ab kaun rahaa hai jise paighaam-e-vafaa duun shaamil miri saanson mein hai sadiyon ki aziyyat aa gardish-e-dauraan main tujhe bhi to duaa duun ashkon ke guhar bhi to nahin paas mire ab main soch rahi huun gham-e-dauraan tujhe kyaa duun Darti huun bikhar jaaegi khaakistar-e-jaan bhi bujhte hue shoalon main tumhein kaise havaa duun vo log jo sargarm-e-takallum hain sar-e-bazm kaise unhein aadaab takallum ke sikhaa duun ai raat saraabon ke sivaa kuchh na milegaa main din ke ujaale mein agar shama jalaa duun 'gulnaar' sar-e-shaakh-e-chaman laala-o-gul ko de de vo ijaazat to mahakne ki adaa duun"
Gulnar AafreenGulnar Aafreen
Quote
"aankh mein ashk liye khaak liye daaman mein ek divaana nazar aataa hai kab se ban mein mere ghar ke bhi dar-o-baam kabhi jaageinge dhuup niklegi kabhi to mire bhi aangan mein kahiye aaina-e-sad-fasl-e-bahaaraan tujh ko kitne phulon ki mahak hai tire pairaahan mein shab-e-taarik miraa raasta kyaa rokegi mire aanchal mein sitaare hain sahar daaman mein kin shahidon ke lahu ke ye farozaan hain charaagh raushni si jo hai zindaan ke har ik rauzan mein ahd-e-rafta ki tamannaa kaa fusun zinda hai dil-e-naakaam abhi tak tiri har dhaDkan mein hamein manzur nahin agli ravaayaat-e-junun baa-khirad ho gai 'gulnaar' divaana-pan mein"
Gulnar AafreenGulnar Aafreen
Quote
"vo charaagh-e-zist ban kar raah mein jaltaa rahaa haath mein vo haath le kar umr bhar chaltaa rahaa ek aansu yaad kaa Tapkaa to dariyaa ban gayaa zindagi bhar mujh mein ek tufaan saa paltaa rahaa jaanti huun ab use main paa nahin sakti magar har jagah saae ki surat saath kyuun chaltaa rahaa jo meri nazron se ojhal ho chukaa muddat hui vo khayaalon mein basaa aur sher mein Dhaltaa rahaa ranj thaa 'gulnaar' mujh ko us ko bhi afsos thaa der tak rotaa rahaa aur haath bhi maltaa rahaa"
Gulnar AafreenGulnar Aafreen

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer