"ahd-e-junun mein arsa-e-vahshat guzaarnaa jaise shab-e-visaal mein furqat guzaarnaa jaanaa suraagh-e-jauhar-e-takhliq DhunDne aur us ke baad aalam-e-hairat guzaarnaa karnaa hayaat pahlu-e-aivaan-e-dard mein rozaana ek roz-e-qayaamat guzaarnaa ab tak to hai uruus badan ke nasib mein zulfon pe khaak Daalnaa iddat guzaarnaa jivan sazaa-e-maut se pahle kaa khel hai sab ko hai ye mili hui mohlat guzaarnaa 'aakaash' daur-e-jabr-o-mashaqqat hai chaar din phir taa-abad sukun ki haalat guzaarnaa"
har barahman but har ik muslim khudaa le jaaegaa — Imdad Akash
"har barahman but har ik muslim khudaa le jaaegaa mere dar se har mariz apni davaa le jaaegaa khud mujhe aanaa hai tere paas yaa burda tiraa mere paas aaegaa aur mujh ko uThaa le jaaegaa main had-e-faasil tak aa pahunchaa jo shauq-e-vasl mein vo had-e-faasil ko aur aage baDhaa le jaaegaa mujh ko jaane kis taraf se laa rahaa hai raasta mujh ko jaane kis taraf ye raasta le jaaegaa apne ghar ke saare darvaaze khule rakhtaa huun main juz mire is ghar se koi chor kyaa le jaaegaa aaina-bini ke baad 'aakaash' aankhon ko sambhaal ek bhi aansu agar Tapkaa bahaa le jaaegaa"
ہر برہمن بت ہر اک مسلم خدا لے جائے گا میرے در سے ہر مریض اپنی دوا لے جائے گا خود مجھے آنا ہے تیرے پاس یا بردہ ترا میرے پاس آئے گا اور مجھ کو اٹھا لے جائے گا میں حد فاصل تک آ پہنچا جو شوق وصل میں وہ حد فاصل کو اور آگے بڑھا لے جائے گا مجھ کو جانے کس طرف سے لا رہا ہے راستہ مجھ کو جانے کس طرف یہ راستہ لے جائے گا اپنے گھر کے سارے دروازے کھلے رکھتا ہوں میں جز مرے اس گھر سے کوئی چور کیا لے جائے گا آئینہ بینی کے بعد آکاشؔ آنکھوں کو سنبھال ایک بھی آنسو اگر ٹپکا بہا لے جائے گا
हर बरहमन बुत हर इक मुस्लिम ख़ुदा ले जाएगा मेरे दर से हर मरीज़ अपनी दवा ले जाएगा ख़ुद मुझे आना है तेरे पास या बुरदा तिरा मेरे पास आएगा और मुझ को उठा ले जाएगा मैं हद-ए-फ़ासिल तक आ पहुँचा जो शौक़-ए-वस्ल में वो हद-ए-फ़ासिल को और आगे बढ़ा ले जाएगा मुझ को जाने किस तरफ़ से ला रहा है रास्ता मुझ को जाने किस तरफ़ ये रास्ता ले जाएगा अपने घर के सारे दरवाज़े खुले रखता हूँ मैं जुज़ मिरे इस घर से कोई चोर क्या ले जाएगा आईना-बीनी के बा'द 'आकाश' आँखों को सँभाल एक भी आँसू अगर टपका बहा ले जाएगा

More by Imdad Akash
View all →"zehn ashkaal ko zanjir nahin kar paayaa main mukammal koi tasvir nahin kar paayaa meri miTTi mein gundhe jauhar-e-takhrib ki khair vaqt ab tak mujhe taamir nahin kar paayaa jaantaa huun ki mohabbat hai jahaangir magar main mohabbat ko jahaangir nahin kar paayaa vaqt ko main ne guzaaraa hai azal se ab tak phir bhi main vaqt ki tafsir nahin kar paataa zindagi ek ajab khvaab hai 'aakaash' jise koi sharminda-e-taabir nahin kar paayaa"
"ne aadmi pasand na is ko khudaa pasand hai aaine mein qaid miraa aainaa-pasand do-chaar din bhi ham se nibaahi nahin gai vo mo'tadil mizaaj thaa main intihaa pasand vo khud-fareb shakhs thaa patthar-shanaas thaa aayaa na us ko koi bhi apne sivaa pasand puchhe hai ham ne kaahe kiyaa kufr ikhtiyaar ghaflat pasand hai na hamein aasraa pasand ghaughaa-e-marg chaaron taraf phailne lagaa kyaa is jahaan ko chhoD gae baadiya-pasand us par hi bhejtaa hai vo aafat bhi maut bhi shaayad use gharib kaa bachcha hai naa-pasand aakaash ek shakhs hai duniyaa se mukhtalif pahli nazar mein hi tumhein aa jaaegaa pasand"
"nafi ke jabr se aazaad aur sabaat se duur hai kaaenaat koi meri kaaenaat se duur miraa vujud miri daastaan kaa hissa hai miraa nishaan hai kahin par hisaar-e-zaat se duur pataa chalaa hai ki chashma hai aab-e-haivaan kaa zamin ki had se pare arsa-e-hayaat se duur nigaar khaane ke andar nigaar khaane hain kai khayaal hain mere takhayyulaat se duur ye sabz rang ye shaakhein to hain nazar kaa fareb ugaa huaa hai shajar Daal aur paat se duur"
"qafas ko toD ke taaza havaa mein saans liyaa vujud chhoD ke taaza havaa mein saans liyaa dhuein ke shahr mein baarish kaa shukr vaajib thaa so haath joD ke taaza havaa mein saans liyaa fazaa ki dusri jaanib thaa baagh phulon kaa mahaar moD ke taaza havaa mein saans liyaa the ik ghubaara-numaa aasmaan ki qaid mein ham ghubbaara phoD ke taaza havaa mein saans liyaa safar ki dhuul se 'aakaash' aT chukaa thaa khalaa zamin nichoD ke taaza havaa mein saans liyaa"
"rasaai kaisi ki harakat hi saath chhoD gai ye kohsaar si qaamat hi saath chhoD gai bhanvar ke saath ulajhti hui sadaa ko sunaa phir us ke baad samaaat hi saath chhoD gai kisi se apnaa taaaruf karaaein to kaise ki ab to apni shabaahat hi saath chhoD gai tum ek shakhs bichhaDne ke dukh mein baiThe ho yahaan to puuri jamaaat hi saath chhoD gai vo jis ke vaaste taj di thiin bastiyaan 'aakaash' vo regzaar ki hiddat hi saath chhoD gai"