SHAWORDS

har khvaab kaali raat ke saanche mein Dhaal kar — Adil Mansuri

HomeAdil MansuriGhazal
"har khvaab kaali raat ke saanche mein Dhaal kar ye kaun chhup gayaa hai sitaare uchhaal kar aaise Dare hue hain zamaane ki chaal se ghar mein bhi paanv rakhte hain ham to sambhaal kar khaana-kharaabiyon mein tiraa bhi pata nahin tujh ko bhi kyaa milaa hamein ghar se nikaal kar jhulsaa gayaa hai kaaghzi chehron ki daastaan jalti hui khamoshiyaan lafzon mein Dhaal kar ye phuul khud hi suukh kar aaeinge khaak par tu apne haath se na inhein paaemaal kar"
Urdu

ہر خواب کالی رات کے سانچے میں ڈھال کر یہ کون چھپ گیا ہے ستارے اچھال کر ایسے ڈرے ہوئے ہیں زمانے کی چال سے گھر میں بھی پاؤں رکھتے ہیں ہم تو سنبھال کر خانہ خرابیوں میں ترا بھی پتہ نہیں تجھ کو بھی کیا ملا ہمیں گھر سے نکال کر جھلسا گیا ہے کاغذی چہروں کی داستاں جلتی ہوئی خموشیاں لفظوں میں ڈھال کر یہ پھول خود ہی سوکھ کر آئیں گے خاک پر تو اپنے ہاتھ سے نہ انہیں پائمال کر

Hindi

हर ख़्वाब काली रात के साँचे में ढाल कर ये कौन छुप गया है सितारे उछाल कर ऐसे डरे हुए हैं ज़माने की चाल से घर में भी पाँव रखते हैं हम तो सँभाल कर ख़ाना-ख़राबियों में तिरा भी पता नहीं तुझ को भी क्या मिला हमें घर से निकाल कर झुलसा गया है काग़ज़ी चेहरों की दास्ताँ जलती हुई ख़मोशियाँ लफ़्ज़ों में ढाल कर ये फूल ख़ुद ही सूख कर आएँगे ख़ाक पर तू अपने हाथ से न इन्हें पाएमाल कर

har ḳhvāb kaalī raat ke sāñche meñ Dhaal kar
Adil Mansuri
Adil Mansuri
Adil Mansuri
poet86 quotes

More by Adil Mansuri

View all →
Quote
"pahlu ke aar-paar guzartaa huaa saa ho ik shakhs aaine mein utartaa huaa saa ho jiitaa huaa saa ho kabhi martaa huaa saa ho ik shahr apne aap se Dartaa huaa saa ho saare kabira aap hi kartaa huaa saa ho ilzaam dusre hi pe dhartaa huaa saa ho har ik nayaa khayaal jo Tapke hai zehn se yuun lag rahaa hai jaise ki bartaa huaa saa ho qailula kar rahe hon kisi niim ke tale maidaan mein rakhsh-e-umr bhi chartaa huaa saa ho maashuq aisaa DhunDiye qahtur-rijaal mein har baat mein agartaa magartaa huaa saa ho phir baad mein vo qatl bhi kar de to harj kyaa lekin vo pahle pyaar bhi kartaa huaa saa ho gar daad tu na de na sahi gaaliyaan sahi apnaa bhi koi aib hunartaa huaa saa ho"
Adil MansuriAdil Mansuri
Quote
"jo chiiz thi kamre mein vo be-rabt paDi thi tanhaai-e-shab band-e-qabaa khol rahi thi aavaaz ki divaar bhi chup-chaap khaDi thi khiDki se jo dekhaa to gali uungh rahi thi baalon ne tiraa lams to mahsus kiyaa thaa lekin ye khabar dil ne baDi der se di thi haathon mein nayaa chaand paDaa haanp rahaa thaa raanon pe barahna si nami reing rahi thi yaadon ne use toD diyaa maar ke patthar aaine ki khandaq mein jo parchhaain paDi thi duniyaa ki guzarte hue paDti thiin nigaahein shishe ki jagah khiDki mein rusvaai jaDi thi TuuTi hui mehraab se gumbad ke khanDar tak ik buDhe moazzin ki sadaa guunj rahi thi"
Adil MansuriAdil Mansuri
Quote
"ek qatra ashk kaa chhalkaa to dariyaa kar diyaa ek musht-e-khaak jo bikhri to sahraa kar diyaa mere TuuTe hausle ke par nikalte dekh kar us ne divaaron ko apni aur unchaa kar diyaa vaardaat-e-qalb likkhi ham ne farzi naam se aur haathon-haath us ko khud hi le jaa kar diyaa us ki naaraazi kaa suraj jab savaa neze pe thaa apne harf-e-ijz hi ne sar pe saaya kar diyaa duniyaa bhar ki khaak koi chhaantaa phirtaa hai ab aap ne dar se uThaa kar kaisaa rusvaa kar diyaa ab na koi khauf dil mein aur na aankhon mein umiid tu ne marg-e-naa-gahaan bimaar achchhaa kar diyaa bhuul jaa ye kal tire naqsh-e-qadam the chaand par dekh un haathon ko kis ne aaj kaasa kar diyaa ham to kahne jaa rahe the hamza-e-ye vassalaam biich mein us ne achaanak nun-ghunna kar diyaa ham ko gaali ke liye bhi lab hilaa sakte nahin ghair ko bosa diyaa to munh se dikhlaa kar diyaa tirgi ki bhi koi had hoti hai aakhir miyaan surkh parcham ko jalaa kar hi ujaalaa kar diyaa bazm mein ahl-e-sukhan taqtia farmaate rahe aur ham ne apne dil kaa bojh halkaa kar diyaa jaane kis ke muntazir baiThe hain jhaaDu pher kar dil se har khvaahish ko 'aadil' ham ne chaltaa kar diyaa"
Adil MansuriAdil Mansuri

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud