SHAWORDS

hijr se vasl is qadar bhaari — Rais Amrohvi

HomeRais AmrohviGhazal
"hijr se vasl is qadar bhaari subh se dil pe haul hai taari apni uftaad-e-taba kyaa kahiye! vahi derina dil ki bimaari un ke chehre pe fath ke baa-vasf infiaal-e-shikast hai taari dil kai roz se dhaDaktaa hai hai kisi haadse ki tayyaari baaz auqaat azm-e-tark-e-vafaa ain min-jumla-e-vafaadaari un ko taklif-e-naaz detaa huun haae ye khu-e-dost-aazaari jaan-levaa sahi jaraahat-e-ishq aql kaa zakhm hai bahut kaari kaash mujh ko hisaar mein le le mere ghar ki chahaar-divaari"
Urdu

ہجر سے وصل اس قدر بھاری صبح سے دل پہ ہول ہے طاری اپنی افتاد طبع کیا کہیے! وہی دیرینہ دل کی بیماری ان کے چہرے پہ فتح کے با وصف انفعال شکست ہے طاری دل کئی روز سے دھڑکتا ہے ہے کسی حادثے کی تیاری بعض اوقات عزم ترک وفا عین من جملۂ وفاداری ان کو تکلیف ناز دیتا ہوں ہائے یہ خوئے دوست آزاری جان لیوا سہی جراحت عشق عقل کا زخم ہے بہت کاری کاش مجھ کو حصار میں لے لے میرے گھر کی چہار دیواری

Hindi

हिज्र से वस्ल इस क़दर भारी सुब्ह से दिल पे हौल है तारी अपनी उफ़्ताद-ए-तब्अ क्या कहिए! वही देरीना दिल की बीमारी उन के चेहरे पे फ़त्ह के बा-वस्फ़ इंफ़िआल-ए-शिकस्त है तारी दिल कई रोज़ से धड़कता है है किसी हादसे की तय्यारी बाज़ औक़ात अज़्म-ए-तर्क-ए-वफ़ा ऐन मिन-जुमला-ए-वफ़ादारी उन को तकलीफ़-ए-नाज़ देता हूँ हाए ये ख़ू-ए-दोस्त-आज़ारी जान-लेवा सही जराहत-ए-इश्क़ अक़्ल का ज़ख़्म है बहुत कारी काश मुझ को हिसार में ले ले मेरे घर की चहार-दीवारी

hijr se vasl is qadar bhārī
Rais Amrohvi
Rais Amrohvi
Rais Amrohvi
poet31 quotes

More by Rais Amrohvi

View all →
Quote
"bataa kyaa kyaa tujhe ai shauq-e-hairaan yaad aataa hai vo jaan-e-aarzu vo raahat-e-jaan yaad aataa hai pareshaan-khaatiri had se guzarti hai to vahshat ko kisi kaa aalam-e-zulf-e-pareshaan yaad aataa hai guzartaa hai kabhi jab chaudhvin kaa chaand badli se mahin aanchal mein un kaa ru-e-taabaan yaad aataa hai andheri raat mein jugnu chamakte hain to rah rah kar dupaTTe ke sitaaron kaa charaaghaan yaad aataa hai ufuq par phailti hain surkhiyaan jab subh-e-taaza ki koi siina pas-e-chaak-e-garebaan yaad aataa hai kali ko phuul bante dekh kar ahd-e-bahaaraan mein koi chehra bahut nau-khez-o-khandaan yaad aataa hai ghazal jab chheD detaa hai koi ahd-e-javaani ki kisi kaa jism-e-mauzun-o-ghazal-khvaan yaad aataa hai vo tufaan karvaTein letaa thaa jo ik jism-e-raaanaa mein vo tufaan ham-kinaari kaa vo tufaan yaad aataa hai vo armaan jo kisi ke shokh honTon par machaltaa thaa vo armaan bosa-e-lab kaa vo armaan yaad aataa hai vufur-e-shauq se khud haath apne chuum letaa huun vufur-e-shauq mein jab un kaa daamaan yaad aataa hai bahut kuchh yaad aataa hai 'rais' un ki judaai mein magar jaise koi khvaab-e-pareshaan yaad aataa hai"
Rais AmrohviRais Amrohvi
Quote
"dayaar-e-shaahid-e-bilqis-adaa se aayaa huun main ik faqir huun shahr-e-sabaa se aayaa huun jahaan-e-nau ki talab aur is kharaabe mein savaad-e-istakhr-o-nainvaa se aayaa huun shab-e-siyaah-e-khizaan ke sumum-o-sar-sar tak nigaar-khaana-e-shubh-o-sabaa se aayaa huun abhi kahaan hai mujhe nauha-o-navaa kaa shuur ki ek naahiya-e-be-navaa se aayaa huun mire rumuz kaa irfaan kise nasib ki main sarosh-e-ruh-e-azal huun samaa se aayaa huun damak rahi hai zamaan-o-makaan ki peshaani sitaara-e-abadi huun khalaa se aayaa huun tumhaare ghuncha-o-gul se gharaz nahin mujh ko idhar ishaara-e-baad-e-sabaa se aayaa huun"
Rais AmrohviRais Amrohvi
Quote
"ye faqat shorish-e-havaa to nahin koi mujh ko pukaartaa to nahin bol ai akhtar-e-ghunuda-e-subh koi raaton ko jaagtaa to nahin sun ki ye madd-o-jazr-e-saahil-e-bahr maajraaon kaa maajraa to nahin zehn par ek khurduri si lakir kankhajure kaa raastaa to nahin ret par chaDh rahi hai ret ki tah baabul o misr o nainvaa to nahin nok-e-har-khaar-o-khas hai khun-aalud ruh-e-sahraa barahna-paa to nahin ai miri jaan-e-mubtalaa ke sukun tu koi jaan-e-mubtalaa to nahin tere jism-e-hasin mein khvaabida baagh-e-jannat kaa azhdahaa to nahin"
Rais AmrohviRais Amrohvi
Quote
"tiraa khayaal ki khvaabon mein jin se hai khushbu vo khvaab jin mein miraa paikar-e-khayaal hai tu sataa rahi hain mujhe bachpane ki kuchh yaadein vo garmiyon ke shab-o-roz dopahar ki vo lu pachaas saal ki yaadon ke naqsh aur naqshe vo koi nisf sadi qabl kaa zamaana-e-hu vo garm-o-khushk mahine vo jeTh vo baisaakh ki haafize mein kabhi aah hain kabhi aansu vo zaaein zaaein ke kitne muhib zanaaTe? fazaa kaa haul havaa ki vo vahshatein har su vo saaein saaein ke kitne ajiib sannaaTe? vo sansani vo pur-asraar ek aalam-e-hu vo dopahar vo habuDe vo seingi baai kuuT fazaa-e-shoala-bajaan o havaa-e-aatish-e-khu vo khiDkiyon mein havaaon ki sar-kashi tundi vo baam-o-dar pe musallat jahannami jaadu vo pech-o-taab bagulon kaa mere aangan main chuDelein ghar mein ghus aai hain khaul kar gesu vo lu kaa zor ki saare kivaaD bajte hain ki jaise lashkar-e-jinnaat kaa amal har su vo shor jaise bagulon mein bhuut hon raqsaan vo qaah-qaah vo haa-haa vo honk vo hu-hu guzar rahaa hai tasavvur se jeTh kaa mausam aur is samay mein mujhe yaad aa rahaa hai tu"
Rais AmrohviRais Amrohvi
Quote
"siyaah hai dil-e-giti siyaah-tar ho jaae khudaa kare ki har ik shaam be-sahar ho jaae kuchh is ravish se chale baad-e-barg-e-rez-e-khizaan ki duur tak saf-e-ashjaar be-samar ho jaae bajaae rang rag-e-ghunchaa se lahu Tapke khile jo phuul to har barg-e-gul sharar ho jaae zamaana pi to rahaa hai sharaab-e-daanish ko khudaa kare ki yahi zahr kaargar ho jaae koi qadam na uThe su-e-manzil-e-maqsud duaa karo ki har ik raah pur-khatar ho jaae ye log rah-guzar-e-zist se bhaTak jaaein ajal qavaafil-e-hasti ki ham-safar ho jaae ba-qadr yak-do-nafs bhi giraan hai zahmat-e-zist hayaat-e-nau-e-bashar aur mukhtasar ho jaae"
Rais AmrohviRais Amrohvi
Quote
"'rais' ham jo su-e-kucha-e-habib chale hamaare saath hazaaron balaa-nasib chale rafaaqaton ki saaadat liye rafiq aae raqaabaton ki nahusat liye raqib chale jo qaafile ki hamaari talab mein nikle the kabhi baiid se guzre kabhi qarib chale aqab mein haadisa-e-subh-o-shaam ke ifrit jilau mein gardish-e-ayyaam ke naqib chale jahaan ko jin ke nasibe pe rashk aataa thaa nikal ke apne gharon se vo bad-nasib chale ye chal-chalaav ajib-o-gharib thaa ai dost gharib log su-e-aalam-e-ajib chale"
Rais AmrohviRais Amrohvi

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud