SHAWORDS

ik sitaaron bharaa aasmaan ho gae — Danish Aligarhi

"ik sitaaron bharaa aasmaan ho gae ab khudaa ki qasam tum javaan ho gae muskuraae to tiron ki barsaat ki aur naaraaz ho kar kamaan ho gae yuun bazaahir to nazron se nazrein milin kaise kaise magar imtihaan ho gae tum bhi ik vaaqi'a ho ke rah jaaoge ham bhi bhuli hui daastaan ho gae aazmaanaa hai kyaa koi tir-e-sitam aaj 'daanish' vo kyon mehrbaan ho gae"
Urdu

اک ستاروں بھرا آسماں ہو گئے اب خدا کی قسم تم جواں ہو گئے مسکرائے تو تیروں کی برسات کی اور ناراض ہو کر کماں ہو گئے یوں بظاہر تو نظروں سے نظریں ملیں کیسے کیسے مگر امتحاں ہو گئے تم بھی اک واقعہ ہو کے رہ جاؤ گے ہم بھی بھولی ہوئی داستاں ہو گئے آزمانا ہے کیا کوئی تیر ستم آج دانشؔ وہ کیوں مہرباں ہو گئے

Hindi

इक सितारों भरा आसमाँ हो गए अब ख़ुदा की क़सम तुम जवाँ हो गए मुस्कुराए तो तीरों की बरसात की और नाराज़ हो कर कमाँ हो गए यूँ बज़ाहिर तो नज़रों से नज़रें मिलीं कैसे कैसे मगर इम्तिहाँ हो गए तुम भी इक वाक़ि'आ हो के रह जाओगे हम भी भूली हुई दास्ताँ हो गए आज़माना है क्या कोई तीर-ए-सितम आज 'दानिश' वो क्यों मेहरबाँ हो गए

ik sitāroñ bharā āsmāñ ho ga.e
Danish Aligarhi
Danish Aligarhi
Danish Aligarhi
poet28 quotes

More by Danish Aligarhi

View all →
Quote
"dil ki basti ko masarrat se sajaae rakhiye yaar ke gham ko muqaddar hi banaae rakhiye zauq-e-didaar ko kuchh aur baDhaae rakhiye chaand se chehre ko chilman mein chhupaae rakhiye kal bichhaD jaaein to rah jaaeingi yaadein baaqi aaj to saare hijaabaat uThaae rakhiye ye vo daulat hai jo qismat se milaa karti hai pyaar ke dard ko siine se lagaae rakhiye phir andhere miri raahon mein na aa jaaein kahin apni ulfat se mire dil ko jalaae rakhiye chashm-e-duniyaa ko kahaan diid kaa haasil hai shu'ur ru-e-raushan ko hijaabon mein chhupaae rakhiye dil-e-'daanish' na hamesha ke liye ruk jaae aap siine se zaraa haath lagaae rakhiye"
Danish AligarhiDanish Aligarhi
Quote
"hangaama kis liye hai bapaa tere shahr mein kyaa phir koi gharib luTaa tere shahr mein har shakhs kar rahaa hai jafaa tere shahr mein jiine kaa aa rahaa hai mazaa tere shahr mein rangin subh-o-shaam the shab bhi hasin thi dil ko magar sukun na thaa tere shahr mein is tarh ahl-e-shahr ne mujh par sitam kiye rahtaa nahin ho jaise khudaa tere shahr mein ab khud se puchhtaa huun pataa apne gaanv kaa aisaa milaa vafaa kaa sila tere shahr mein 'daanish' ko tere pyaar ne ki dushmani 'ataa pahle koi raqib na thaa tere shahr mein"
Danish AligarhiDanish Aligarhi

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb