SHAWORDS

ik taaraa gir kar TuuTaa thaa — Ameeta Parsuram Meeta

"ik taaraa gir kar TuuTaa thaa saari shab phir chaand jagaa thaa dhundle shishe par ungli se naam mohabbat kaa likkhaa thaa meri aankhon ne dhime se us ke honTon ko chumaa thaa chaaron or ghanaa jangal bas phir ik jugnu saa chamkaa thaa tishna-lab the dhuup kaDi thi us ke honTon kaa saaya thaa lambi kaali raat kaa saaya mere bistar par leTaa thaa"
Urdu

اک تارا گر کر ٹوٹا تھا ساری شب پھر چاند جگا تھا دھندلے شیشے پر انگلی سے نام محبت کا لکھا تھا میری آنکھوں نے دھیمے سے اس کے ہونٹوں کو چوما تھا چاروں اور گھنا جنگل بس پھر اک جگنو سا چمکا تھا تشنہ لب تھے دھوپ کڑی تھی اس کے ہونٹوں کا سایہ تھا لمبی کالی رات کا سایہ میرے بستر پر لیٹا تھا

Hindi

इक तारा गिर कर टूटा था सारी शब फिर चाँद जगा था धुँदले शीशे पर उँगली से नाम मोहब्बत का लिक्खा था मेरी आँखों ने धीमे से उस के होंटों को चूमा था चारों ओर घना जंगल बस फिर इक जुगनू सा चमका था तिश्ना-लब थे धूप कड़ी थी उस के होंटों का साया था लम्बी काली रात का साया मेरे बिस्तर पर लेटा था

ik taarā gir kar TuuTā thā
Ameeta Parsuram Meeta
Ameeta Parsuram Meeta
Ameeta Parsuram Meeta
poet100 quotes

More by Ameeta Parsuram Meeta

View all →
Quote
"zabaan kar ke muqaffal tum sadaaein chaahte ho sazaa dete ho pahle phir du'aaein chaahte ho ghuTan hai dard hai dil mein chhupi tanhaai hai sisakti hai mohabbat tum adaaein chaahte ho kiyaa barbaad qudrat ko kuchal Daalaa magar ab mahakti si fazaaein aur ghaTaaein chaahte ho simaT kar zaat mein apni qafas mein qaid ho kar tumhein parvaaz ki zid hai havaaein chaahte ho suno khud-gharziyon ki koi to ho intihaa naa jafaa kar ke hamin se tum vafaaein chaahte ho zamin aur aasmaan aae na tum ko raas 'mitaa' nahin hairat ki ab tum bhi khalaaein chaahte ho"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta
Quote
"nihaan si chaadar ki silvaTon mein na jaane kitni hikaayatein hain kahin to qisse visaal ke hain kahin sisakti nadaamatein hain jidhar bhi dekho hai nafraton kaa 'adaavaton kaa vahi tamaashaa kuduratein hain riqaabatein hain mohabbaton mein tijaaratein hain hain yaad ab bhi vo gul-mohar ke do peD mere hi ghar ke baahar magar jahaan tak nazar hai jaati ab unchi unchi 'imaaratein hain bahut hasin thaa vo ek lamha nazar nazar se gale mili jab nazar nazar mein sukhan kahe jab vo kitni pyaari samaa'atein hain"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta
Quote
"ye jo 'ishq hai ye balaa hai yaa hai tilism ye ki kamaal hai go ye zindagi kaa 'uruj hai yahi zindagi kaa zavaal hai hai jo raat din tiri aarzu ye jo har ghaDi tiri justuju ise kyaa kahun ki ye silsila khud-aziyyati ki misaal hai yuun hi gungunaataa hai dil miraa hai bharam ki tu hai yahaan kahin mujhe hai khabar tu yahaan nahin ye to mausamon ki hi chaal hai thi 'ajab si maang huzur ki rahein paas bhi zaraa duur bhi huaa ye natija ki ab jo hai na to hijr hai na visaal hai vahi uljhi uljhi si guftugu koi khel hai ye ki chaal hai tujhe jab bhi puchhun main kuchh kabhi tiraa har javaab savaal hai tu nahin yahaan tiri yaad hai tiraa hijr meri hayaat ab tu na ho ke bhi mire paas hai ye mohabbaton kaa kamaal hai"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta
Quote
"ik daf'a uljhe to uljhe hi rahe pyaar ke saude mein ghaaTe hi rahe dekh kar vo bas tamaashaai rahaa aur ham daldal mein dhanste hi rahe vo haqiqat ki taraf baDhtaa rahaa us ke sapne sirf sapne hi rahe vaqt dariyaa ki tarah bahtaa rahaa be-'amal bas haath malte hi rahe jaise jaise raushni baDhti gai sab ke chehre phike paDte hi rahe shaakh se TuuTe the jo patte kabhi abr bhi barsaa to sukhe hi rahe rahmaton ki baarishein hoti rahin aur zamin vaale ki pyaase hi rahe 'ishq ne barzakh mein rakkhaa yuun ki ham un ke ho paae na khud ke hi rahe vaqt kaa suraj jagaataa hi rahaa vo magar aankhon ko munde hi rahe rahbari par naaz thaa jin ko kabhi dil ki raahon mein vo bhaTke hi rahe chehra paDhnaa mujh ko aataa thaa magar chehre ke pichhe bhi chehre hi rahe"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud