"ik e'timaad ajab saa yaqin pe rakhtaa huun vo kyaa hai main jise apni jabin pe rakhtaa huun yahi to baat hui jaa rahi hai mere khilaaf kahin pe milti hai ik shai kahin pe rakhtaa huun jo chiiz dekhne ki hai vo baar baar rahe main is tarah kaa tamaasha zamin pe rakhtaa huun ghubaar hoti hui jaa rahi hai ye duniyaa hai haan kaa shaaiba jis ko nahin pe rakhtaa huun kise khabar hai ye kis vaqt kaam aa jaae hai khaak khaak jise aastin pe rakhtaa huun havaa ho yaa ki na ho 'tur' main charaagh-e-ishq huun chaahtaa jahaan rakhnaa vahin pe rakhtaa huun"
is darja apne aap se kal Dar lagaa mujhe — Krishna Kumar Toor
"is darja apne aap se kal Dar lagaa mujhe ik qatra ashk kaa bhi samandar lagaa mujhe kar le mire khulus se zebaaish-e-dukaan andar ki chiiz jaan ke baahar lagaa mujhe ehsaas kaa ye husn-e-nazaakat bhi khuub hai us ne to phuul pheinkaa thaa patthar lagaa mujhe khaae hain itne zakhm mohabbat ke naam par dekhaa kisi ne pyaar se to Dar lagaa mujhe main apni rif’aton se rahaa khud hi ajnabi us se judaa huaa huun to aksar lagaa mujhe dekhaa kisi ko hanste hue 'tur' jab kabhi maanus saa ye dard kaa manzar lagaa mujhe"
اس درجہ اپنے آپ سے کل ڈر لگا مجھے اک قطرہ اشک کا بھی سمندر لگا مجھے کر لے مرے خلوص سے زیبائش دکاں اندر کی چیز جان کے باہر لگا مجھے احساس کا یہ حسن نزاکت بھی خوب ہے اس نے تو پھول پھینکا تھا پتھر لگا مجھے کھائے ہیں اتنے زخم محبت کے نام پر دیکھا کسی نے پیار سے تو ڈر لگا مجھے میں اپنی رفعتوں سے رہا خود ہی اجنبی اس سے جدا ہوا ہوں تو اکثر لگا مجھے دیکھا کسی کو ہنستے ہوئے طورؔ جب کبھی مانوس سا یہ درد کا منظر لگا مجھے
इस दर्जा अपने आप से कल डर लगा मुझे इक क़तरा अश्क का भी समंदर लगा मुझे कर ले मिरे ख़ुलूस से ज़ेबाइश-ए-दुकाँ अंदर की चीज़ जान के बाहर लगा मुझे एहसास का ये हुस्न-ए-नज़ाकत भी ख़ूब है उस ने तो फूल फेंका था पत्थर लगा मुझे खाए हैं इतने ज़ख़्म मोहब्बत के नाम पर देखा किसी ने प्यार से तो डर लगा मुझे मैं अपनी रिफ़’अतों से रहा ख़ुद ही अजनबी उस से जुदा हुआ हूँ तो अक्सर लगा मुझे देखा किसी को हँसते हुए 'तूर' जब कभी मानूस सा ये दर्द का मंज़र लगा मुझे

More by Krishna Kumar Toor
View all →"ye dar ye taaq ye chaukhaT ye ghar malaal kaa hai safar mein jitnaa hai zaad-e-safar malaal kaa hai main kaisi saaat-e-bad-bakht mein muqayyad huun duaa khushi ki hai zaahir asar malaal kaa hai ruki hui hai hayaat ik ajab doraahe par idhar hansi kaa ijaara udhar malaal kaa hai sajaae rakkhaa hai ham ko anaa ki suuli par koi agar hai to bas ye hunar malaal kaa hai sambhaal rakkhaa hai ab jis qadar hai sarmaaya ziyaada kuchh nahin bas ek ghar malaal kaa hai ravaan huun main usi jaanib jidhar hai vo basti mire liye to ye saaraa safar malaal kaa hai lagaae rakkheinge siine se us ko ham ai 'tur' hayaat mein koi TukDaa agar malaal kaa hai"
"ek diyaa dahliz pe rakkhaa bhuul gayaa ghar ko lauT ke aane vaalaa bhuul gayaa ye kaisi be-aab zamin kaa saamnaa thaa khud ko qatra qatre ko dariyaa bhuul gayaa main to thaa maujud kitaab ke lafzon mein vo hi shaayad mujh ko paDhnaa bhuul gayaa kis ke jism ki baarish ne sairaab kiyaa kyuun uDnaa mausam kaa parinda bhuul gayaa aakhir ye honaa thaa aakhir yahi huaa duniyaa mujh ko aur main duniyaa bhuul gayaa main bhi huun mansub kisi ke qatl se ab suraj meri chhat pe chamaknaa bhuul gayaa vafaa kaa khoTaa sikka kab tak chaltaa 'tur' achchhaa huaa jo apnaa paraayaa bhuul gayaa"
"bahut kahaa thaa sukhan-varon mein guzar na karnaa bahut kahaa thaa ki baat sunnaa magar na karnaa bahut kahaa thaa ki Dubne kaa hai Dar ziyaada bahut kahaa thaa ki paaniyon kaa safar na karnaa bahut kahaa thaa ki tum akele na rah sakoge bahut kahaa thaa ki ham ko yuun dar-ba-dar na karnaa bahut kahaa thaa vo tum ko pahchaantaa nahin hai bahut kahaa thaa tum us ko apni khabar na karnaa bahut kahaa thaa ki raabton ko daraaz rakhnaa bahut kahaa thaa mohabbatein mukhtasar na karnaa bahut kahaa thaa ki ishq aakhir to ishq Thahraa bahut kahaa thaa kisi ko is ki khabar na karnaa bahut kahaa thaa zamin se rishta na 'tur' TuuTe bahut kahaa thaa falak ko zer-e-asar na karnaa"
"bhalaa kahaan kise mumkin hai ye adaa har baar charaagh rakhtaa hai lau par dam-e-havaa har baar tu apne haathon ki ThanDak se kar mujhe maanus tu meri aankhon pe rakh shoala-e-hinaa har baar kabhi to mere lahu ke nishaan baneinge phuul main gham ke dasht se guzraa barahna-paa har baar ye meri zaat se nisbat hui hai ab kis ko main khud ko dekhtaa huun kyuun judaa judaa har baar kabhi to chamkegaa dil raas aaegi duniyaa jahaan se guzraa huun ye sochtaa huaa har baar bachaa ke rakkhe salaamat na koi jaan apni sunaai deti hai bas ik yahi sadaa har baar vo 'tur' kyuun miri baaton pe ghussa kartaa hai akhartaa kyuun hai use meraa puchhnaa har baar"
"maujud jo thaa maa'dum samajh mein aayaa ik ulTaa hi mafhum samajh mein aayaa main jab peD se gir ke zamin ki khaak huaa tab ik 'aalam-e-mauhum samajh mein aayaa main hi main huun aankh uThti hai jidhar bhi ab naa-maa'lum bhi maa'lum samajh mein aayaa ulTe mantar hi shaayad main paDhtaa huun jo zaahir thaa maa'dum samajh mein aayaa ziist ko main ik aab-e-ravaan kahtaa huun 'tur' kyaa tum ko ye mafhum samajh mein aayaa"
More on Maa
View all →"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"