"sunaa kisi ne na girya-e-mukhtasar hamaaraa huaa hai chhalni chhanan chhanan se jigar hamaaraa ye zard vahshat hamaare baatin mein ras gai hai tavil muddat se ham pe haavi hai Dar hamaaraa tire qabile se jang laD ke shahid honge kaTaa huaa hi milegaa tujh ko ye sar hamaaraa sabhi manaazil pe jaa ke vaapas palaT rahe hain ki raaegaan jaa rahaa hai har ik safar hamaaraa chahaar jaanib pahaaD masti se jhumte hon hasin shaadaab vaadiyon mein ho ghar hamaaraa hui nahin hai kisi taraf se bhi ajnabiyyat huaa thaa in jangalon se pahle guzar hamaaraa khabar mili hai vafaa ki sarhad pe mar gayaa hai vo ik sipaahi jo thaa bahut mo'atabar hamaaraa karein to kis tarah baat ashaar pe hamaare khulaa nahin hai kisi pe ab tak hunar hamaaraa"
jab peDon ki khidmat par maamur thaa main — Mohammad Mustahsan Jami
"jab peDon ki khidmat par maamur thaa main 'jaami' puure jangal mein mashhur thaa main mujhe khabar hai kyaa kuchh hai buniyaadon mein teri basti kaa pahlaa mazdur thaa main kuchh na kuchh to faasla thaa jo maapaa gayaa chaahe paas thaa chaahe tujh se duur thaa main ek sunahre nuur ne mujh mein rang bhare mujh mein koi rang na thaa be-nur thaa main soch rahaa huun kitnaa raushan manzar thaa tu zaakir thaa aur jahaan mazkur thaa main sar pe jab tak maan kaa dast-e-shafqat thaa rab shaahid hai har ik dukh se duur thaa main teri ek nazar se main tabdil huaa ishq se pahle had-darja maghrur thaa main"
جب پیڑوں کی خدمت پر مامور تھا میں جامیؔ پورے جنگل میں مشہور تھا میں مجھے خبر ہے کیا کچھ ہے بنیادوں میں تیری بستی کا پہلا مزدور تھا میں کچھ نہ کچھ تو فاصلہ تھا جو ماپا گیا چاہے پاس تھا چاہے تجھ سے دور تھا میں ایک سنہرے نور نے مجھ میں رنگ بھرے مجھ میں کوئی رنگ نہ تھا بے نور تھا میں سوچ رہا ہوں کتنا روشن منظر تھا تو ذاکر تھا اور جہاں مذکور تھا میں سر پہ جب تک ماں کا دست شفقت تھا رب شاہد ہے ہر اک دکھ سے دور تھا میں تیری ایک نظر سے میں تبدیل ہوا عشق سے پہلے حد درجہ مغرور تھا میں
जब पेड़ों की ख़िदमत पर मामूर था मैं 'जामी' पूरे जंगल में मशहूर था मैं मुझे ख़बर है क्या कुछ है बुनियादों में तेरी बस्ती का पहला मज़दूर था मैं कुछ न कुछ तो फ़ासला था जो मापा गया चाहे पास था चाहे तुझ से दूर था मैं एक सुनहरे नूर ने मुझ में रंग भरे मुझ में कोई रंग न था बे-नूर था मैं सोच रहा हूँ कितना रौशन मंज़र था तू ज़ाकिर था और जहाँ मज़कूर था मैं सर पे जब तक माँ का दस्त-ए-शफ़क़त था रब शाहिद है हर इक दुख से दूर था मैं तेरी एक नज़र से मैं तब्दील हुआ इश्क़ से पहले हद-दर्जा मग़रूर था मैं

More by Mohammad Mustahsan Jami
View all →"kiyaa hai hijr mein daaman ko taar aahista-aahista huaa huun ek se main be-shumaar aahista-aahista ham ahl-e-hijr vahshat mein kabhi maskan na badleinge uThaa leinge tamannaaon kaa baar aahista-aahista bhale jaisi bhi mushkil ho safon mein muntazir rahnaa vo karte hain ghulaamon ko shumaar aahista-aahista yahaan pe sabza-o-gul mustaqil bilkul nahin rahte mire gulshan mein aati hai bahaar aahista-aahista abhi in pe tasallut hai ajab duniyaa-e-vahshat kaa palaT aaeinge tere jaan-nisaar aahista-aahista hamaari zindagaani karb ke aalam mein guzri hai hamein hijrat ke lamhon se guzaar aahista-aahista miri is girya-o-zaari kaa 'jaami' khaas maqsad hai bichhaDte jaa rahe hain mere yaar aahista-aahista"
"khushbu hai agar yaar to khushbu pe fidaa main vo husn charaaghon kaa charaaghon ki ziyaa main kartaa huun safar guzre zamaanon kaa shab-o-roz rahtaa nahin ik lamha buzurgon se judaa main duniyaa ke jaziron mein tiraa bhed na paayaa haalaanki khalaaon mein bhi har samt gayaa main shaayad koi zarkhez bhanvar yaad kaa ubhraa kal raat kisi aankh se bahtaa hi rahaa main maare hain gham-e-zist ne pur-dard tamaanche lekin kisi manzil pe nahin thak ke giraa main hairat ki nigaahon se sabhi dekh rahe the jab kucha-e-jaanaan mein gayaa ban ke gadaa main 'jaami' miri guftaar kisi par na khuli thi sab log puraane the faqat ek nayaa main"
"ik main huun jo hotaa nahin divaana-e-duniyaa hai raas har ik shakhs ko viraana-e-duniyaa sab aarzi lazzaat ke divaane hue hain ik roz kabhi dekhiye mai-khaana-e-duniyaa buniyaad mein jis chiiz ke hain maaddi anaasir aabaad bhalaa kaise ho vo khaana-e-duniyaa darvesh huun aur duur hi rahtaa huun hamesha so mujh ko mayassar nahin kaashaana-e-duniyaa duniyaavi khuraafaat se nafrat thi azal se main sun nahin paayaa kabhi afsaana-e-duniyaa"
"tu jaantaa nahin ki vo vaqt-e-zavaal thaa aankhon kaa rang karb se jis vaqt laal thaa duniyaa ke sab hasin yahi sochte rahe kis ki nazar kaa nuur thaa kis kaa jamaal thaa mujh se bichhaD ke hausle us ke bhi past the ye kaar-gaah-e-ishq mein pahlaa malaal thaa dekhaa tujhe to nuur ki kirnein umaD paDin is dasht mein azal se charaaghon kaa kaal thaa masrufiyat mein beTon se barsi na ho saki guzre abhi to baap ko pahlaa hi saal thaa us faaqa-kash ko faqr ki taalim dijiye chehre pe jis ke roab na jaah-o-jalaal thaa main ne kisi kaa hijr kamaayaa thaa raat-din ab kharch kar rahaa huun jo rizq-e-halaal thaa"
"is kaifiyat ki koi nahin hai khabar mujhe ye kaun kar rahaa hai musalsal basar mujhe raas aa gayaa hai dasht kaa paiham safar mujhe rahnaa hai is dayaar mein ab umr-bhar mujhe bikhraao apni zaat kaa mujh ko pasand hai jitnaa bhi TuuT jaaun sameTaa na kar mujhe apni to koi samt nahin raasta nahin jaanaa hai tere saath tu le jaa jidhar mujhe haalat ko meri dekh pareshaan yuun na ho hairaan khaDe hain dekh ke sab naqsh-gar mujhe is ke sivaa koi bhi Thikaana nahin miraa baahu sakhi kaa yaad hai har pal nagar mujhe"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"