SHAWORDS

kaar-e-hunar sanvaarne vaalon mein aaegaa — Anjum Khaleeq

HomeAnjum KhaleeqGhazal
"kaar-e-hunar sanvaarne vaalon mein aaegaa jab bhi hamaaraa naam havaalon mein aaegaa Tilon ko saath le ke jo uDti rahi havaa sahraa kaa rang barf ke gaalon mein aaegaa jab aaftaab-e-umr ki Dhalne lagegi dhuup tab raushni kaa fan mire baalon mein aaegaa kaisaa firaaq kaisi judaai kahaan kaa hijr vo jaaegaa agar to khayaalon mein aaegaa insaan se pyaar husn-parasti vatan se ishq ham ne kiyaa hai yuun ki misaalon mein aaegaa 'anjum'-khaliq ik nae anjum ko dekhnaa jis din vo aagahi ke ujaalon mein aaegaa"
Urdu

کار ہنر سنوارنے والوں میں آئے گا جب بھی ہمارا نام حوالوں میں آئے گا ٹیلوں کو ساتھ لے کے جو اڑتی رہی ہوا صحرا کا رنگ برف کے گالوں میں آئے گا جب آفتاب عمر کی ڈھلنے لگے گی دھوپ تب روشنی کا فن مرے بالوں میں آئے گا کیسا فراق کیسی جدائی کہاں کا ہجر وہ جائے گا اگر تو خیالوں میں آئے گا انساں سے پیار حسن پرستی وطن سے عشق ہم نے کیا ہے یوں کہ مثالوں میں آئے گا انجمؔ خلیق اک نئے انجم کو دیکھنا جس دن وہ آگہی کے اجالوں میں آئے گا

Hindi

कार-ए-हुनर सँवारने वालों में आएगा जब भी हमारा नाम हवालों में आएगा टीलों को साथ ले के जो उड़ती रही हवा सहरा का रंग बर्फ़ के गालों में आएगा जब आफ़ताब‌‌‌‌-ए-उम्र की ढलने लगेगी धूप तब रौशनी का फ़न मिरे बालों में आएगा कैसा फ़िराक़ कैसी जुदाई कहाँ का हिज्र वो जाएगा अगर तो ख़यालों में आएगा इंसाँ से प्यार हुस्न-परस्ती वतन से इश्क़ हम ने किया है यूँ कि मिसालों में आएगा 'अंजुम'-ख़लीक़ इक नए अंजुम को देखना जिस दिन वो आगही के उजालों में आएगा

kār-e-hunar sañvārne vāloñ meñ aa.egā
Anjum Khaleeq
Anjum Khaleeq
Anjum Khaleeq
poet62 quotes

More by Anjum Khaleeq

View all →
Quote
"khaak kaa rizq yahaan har kas-o-naa-kas niklaa ye badan sinchne vaalaa baDaa bebas niklaa vo jo kartaa thaa sadaa khirqa-e-darvesh ki baat vo bhi darbaar mein vaarafta-e-atlas niklaa zarfishaan hai miri zarkhez zaminon kaa badan zarra zarra mire punjab kaa paaras niklaa meri hairat ko bhi taarikh mein mahfuz karo mere ahbaab mein har shakhs buroTas niklaa titliyaan pyaar ki thak-haar ke lauT aai hain ghuncha-e-chashm hi us shakhs kaa be-ras niklaa ye qalam mujrim-e-tausif-e-ghazaalaan 'anjum' vaqt paDne pe to ye fiil kaa aankas niklaa"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"mire junun ko havas mein shumaar kar legaa vo mere tiir se mujh ko shikaar kar legaa mujhe gumaan bhi nahin thaa ki Dubtaa huaa dil muhit jism ko ik roz paar kar legaa main us ki raah chalun bhi to faaeda kyaa hai vo koi aur ravish ikhtiyaar kar legaa fasil-e-shahr mein rukne ki hi nahin ye khabar jo kaam ham se na hogaa ghubaar kar legaa vo gul-badan kabhi niklaa jo sair-e-sahraa ko to apne saath havaa-e-bahaar kar legaa jahaan pe baat faqat naqd-e-jaan se banti ho vo khush-kalaam vahaan bhi udhaar kar legaa ham aise log bahut khush-gumaan hote hain ye dil zarur tiraa e'tibaar kar legaa khulegaa is pe hi 'anjum'-khaliq baab-e-qubul jo apnaa haqq-e-talab ustuvaar kar legaa"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"kuchh 'uzr pas-e-vaada-khilaafi nahin rakhte ho kaise masihaa dam-e-shaafi nahin rakhte aise to na the zakhm ki jo bhar hi na paate ahbaab magar zarf-e-talaafi nahin rakhte is chain se jiine mein koi bhed nahin hai bas ye ki tamannaaein izaafi nahin rakhte is daur mein insaaf panap hi nahin saktaa ikhlaas-e-qalam jis mein sahaafi nahin rakhte hain aur bhi duniyaa mein sukhanvar bahut achchhe ham jaisaa magar zauq-e-qavaafi nahin rakhte ye mo'jiza mohtaaj hai pindaar-e-vafaa kaa sab teshe dam-e-koh-shigaafi nahin rakhte har baat mein kam-maaya nazar aate hain 'anjum' raahat to kujaa dard bhi kaafi nahin rakhte"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"biite hue lamhaat ko pahchaan mein rakhnaa murjhaae hue phuul bhi gul-daan mein rakhnaa kyaa jaanein safar khair se guzre ki na guzre tum ghar kaa pata bhi mire saamaan mein rakhnaa kyaa din the mujhe shauq se mehmaan bulaanaa aur khud ko magar khidmat-e-mehmaan mein rakhnaa kyaa vaqt thaa kyaa vaqt hai is soch se haasil chhoDo jo huaa kyaa use mizaan mein rakhnaa insaan ki niyyat kaa bharosa nahin koi milte ho to is baat ko imkaan mein rakhnaa pursish hai bahut sakht vahaan fard-e-amal ki kuchh naat ke ashaar bhi divaan mein rakhnaa mukhlis ho raho Tokaa hai kis ne tumhein 'anjum' raftaar-e-zamaana bhi magar dhyaan mein rakhnaa"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"jab tak fasil-e-jism kaa dar khul na jaaegaa is dil ki yurishon kaa tasalsul na jaaegaa khemon se taa-furaat jo dariyaa-e-khun hai ye us par se maslahat kaa koi pul na jaaegaa us ko gumaan nahin thaa ki ahd-e-khizaan mein bhi ye zauq-e-naghma-rezi-e-bulbul na jaaegaa ye abr-e-aagahi jo barastaa rahaa yunhi miTTi kaa ye vajud miraa ghul na jaaegaa girtaa rahegaa yunhi balaaon kaa aabshaar jab tak ghubaar-e-qalb-o-nazar dhul na jaaegaa vo shakhs to khudaai ke daave pe tul gayaa is had pe ham samajhte the bilkul na jaaegaa bas ai nigaar-e-zist yaqin aa gayaa hamein ye teri be-rukhi ye taammul na jaaegaa 'anjum' nigaar-e-zist ko phir chaahiye vahi ik sar jo khvaahishon ke evaz tul na jaaegaa"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"badal chuke hain sab agli rivaayaton ke nisaab jo the savaab-o-gunah ho gae gunaah-o-savaab numu ke baab mein vo bebasi kaa aalam hai bahaar maang rahi hai khizaan ruton se gulaab badal ke jaam bhi ham to rahe khasaare mein hamaare paas lahu thaa tumhaare paas sharaab mire kahe ko amaanat samajhnaa mauj-e-havaa main aane vaale zamaanon se kar rahaa huun khitaab so meri pyaas kaa donon taraf ilaaj nahin udhar hai ek samundar idhar hai ek saraab khud aagahi kaa saliqa sikhaa gayaa 'anjum' mire khilaaf mire doston kaa istisvaab"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
N
Naeem Sameer