SHAWORDS

khamdaar aur gesu-e-khamdaar ho gayaa — Maharaja Sir Kishan Parashad Shad

"khamdaar aur gesu-e-khamdaar ho gayaa abru-e-yaar kaa ye taraf-daar ho gayaa be-ishq yak maraz thi mujhe apni zindagi achchhaa huaa jo ishq kaa aazaar ho gayaa dil us ke ishq se kabhi himmat na haartaa tegh-e-firaaq se jigar afgaar ho gayaa imaan aur kufr ke jhagDon ne ye kiyaa ik dil do aafaton mein giraftaar ho gayaa vaade ki raat aa ke vo kyaa soe mere ghar khvaabida bakht thaa miraa bedaar ho gayaa kyunkar na khaaein khaar adu is bahaar se vo rashk-e-gul gale kaa mire haar ho gayaa baiThe-biThaae ghar mein ye daulat hui nasib us maah-vash kaa khvaab mein didaar ho gayaa baazaar-e-ishq mein yahi saudaa gayaa hai aaj imaan de ke us kaa kharidaar ho gayaa kyaa us ko samjhe ho vo puraanaa hai baada-kash kab paarsaa thaa 'shaad' jo mai-khvaar ho gayaa"
Urdu

خم دار اور گیسوئے خم دار ہو گیا ابروئے یار کا یہ طرف دار ہو گیا بے عشق یک مرض تھی مجھے اپنی زندگی اچھا ہوا جو عشق کا آزار ہو گیا دل اس کے عشق سے کبھی ہمت نہ ہارتا تیغ فراق سے جگر افگار ہو گیا ایمان اور کفر کے جھگڑوں نے یہ کیا اک دل دو آفتوں میں گرفتار ہو گیا وعدے کی رات آ کے وہ کیا سوئے میرے گھر خوابیدہ بخت تھا مرا بیدار ہو گیا کیونکر نہ کھائیں خار عدو اس بہار سے وہ رشک گل گلے کا مرے ہار ہو گیا بیٹھے بٹھائے گھر میں یہ دولت ہوئی نصیب اس ماہ وش کا خواب میں دیدار ہو گیا بازار عشق میں یہی سودا گیا ہے آج ایمان دے کے اس کا خریدار ہو گیا کیا اس کو سمجھے ہو وہ پرانا ہے بادہ کش کب پارسا تھا شادؔ جو مے خوار ہو گیا

Hindi

ख़मदार और गेसू-ए-ख़मदार हो गया अबरू-ए-यार का ये तरफ़-दार हो गया बे-इश्क़ यक मरज़ थी मुझे अपनी ज़िंदगी अच्छा हुआ जो इश्क़ का आज़ार हो गया दिल उस के इश्क़ से कभी हिम्मत न हारता तेग़-ए-फ़िराक़ से जिगर अफ़गार हो गया ईमान और कुफ़्र के झगड़ों ने ये किया इक दिल दो आफ़तों में गिरफ़्तार हो गया वा'दे की रात आ के वो क्या सोए मेरे घर ख़्वाबीदा बख़्त था मिरा बेदार हो गया क्यूँकर न खाएँ ख़ार अदू इस बहार से वो रश्क-ए-गुल गले का मिरे हार हो गया बैठे-बिठाए घर में ये दौलत हुई नसीब उस माह-वश का ख़्वाब में दीदार हो गया बाज़ार-ए-इश्क़ में यही सौदा गया है आज ईमान दे के उस का ख़रीदार हो गया क्या उस को समझे हो वो पुराना है बादा-कश कब पारसा था 'शाद' जो मय-ख़्वार हो गया

ḳhamdār aur gesū-e-ḳhamdār ho gayā
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
poet28 quotes

More by Maharaja Sir Kishan Parashad Shad

View all →
Quote
"fikr-e-asbaab-e-tarab gham ke muqaabil ho gayaa kulfat-e-sabr-aazmaa kyunkar miraa dil ho gayaa ye jo hasti hai tiri ye hasti-e-mauhum hai dekh kar duniyaa ki nairangi ko ghaafil ho gayaa ho gai mushtaaq lazzat-haa-e-hasrat meri aankh aur kaan-e-naa-umidi haif ye dil ho gayaa tere jalvon ki tamanna mere aankhon ko rahi ik nishaana aalam-e-hairat kaa ye dil ho gayaa thi mataaa-e-jalva arzaan jabki tu thaa jalva-gar jab khayaal-e-ghair aayaa dil bhi ghaafil ho gayaa joshish-e-fasl-e-bahaari thi javaani yaar ki dekh kar main us gul-e-raanaa ko maail ho gayaa kis tarah jalva nazar aaegaa tujh ko ai kalim darmiyaan mein jab hijaab-e-ghair haail ho gayaa muddaaa mahv-e-tamaashaa-e-shikast-e-dil huaa aaina-khaane kaa ik jalva muqaabil ho gayaa Duub kar girdaab-e-gham mein ho gai haasil najaat mauja-e-sailaab-e-tufaan mujh ko saahil ho gayaa partav-e-khurshid-e-aalam-taab idhar bhi ik nazar der kyaa hai ab to main tere muqaabil ho gayaa hai miraa sar zer-e-baar-e-minnat-e-bedaad-e-yaar us ke altaaf-o-inaayat kaa main qaael ho gayaa apni surat hi nazar aai dui kaa zikr kyaa 'shaad' jis dam aaine ke main muqaabil ho gayaa"
Maharaja Sir Kishan Parashad ShadMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
Quote
"aariz-e-gul mein jhalak hai shaah ke rukhsaar ki ye koi taarif hai itne baDe sarkaar ki shaah ki taarif kaa aali se aali ho bayaan ye to vo taarif hai jaise kisi dildaar ki midhat-e-shah aise lafzon mein ho ye zebaa nahin zeb de sardaar ko vo madh ho sardaar ki gar kisi ko vasf karnaa hai to laazim hai use adl ki midhat kare yaa bazl yaa talvaar ki banda-parvar aadil-o-baazil shajia-o-din-panaah hain ye taarifein hamaare rahm-dil sarkaar ki banda-parvar aise hain un kaa koi saani nahin muttafiq hai sab dakan haajat nahin izhaar ki adl kaa misl-e-dar-e-tauba hai darvaaza khulaa kuchh zarurat hi nahin izhaar ki takraar ki sher bakri mil ke paani piite hain ik ghaaT ab ye haqiqi vasf hai midhat hai is sarkaar ki is tarah ke hain sakhi qatre ko dariyaa kar diyaa ho sake kyaa midhat un ke dast-e-dariyaa-baar ki be-taassub aise jaise aaina hai be-ghubaar ho gai hai rishta-daari subha-o-zunnaar ki 'shaad' mere shaah ko rakkhe hamesha kirdgaar umr-o-azmat ho fuzun yaa-rab mire sarkaar ki"
Maharaja Sir Kishan Parashad ShadMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
Quote
"vahaan hain apni khud-aaraaiyaan hijaab nahin maqaam-e-jalva hai parda nahin naqaab nahin main jis jahaan mein huun maah-o-aaftaab nahin taghayyuraat nahin koi inqalaab nahin hijaab-e-ahl-e-nazar hai farogh-e-husn tiraa jo be-naqaab bhi tu hai to be-naqaab nahin vo laakh chhupte magar ham to dekh hi lete hamaari aankh jahaan hai vahaan hijaab nahin mai-e-majaaz-o-haqiqat kaa nashsha ho jis mein hamaare jaam-e-sifaali mein vo sharaab nahin tamaam raat paDaa karvaTein badaltaa huun jo mere saamne vo chashm-e-nim-khvaab nahin likhe hue hain vo sab haath se farishton ke mire gunaahon kaa kyunkar kahun hisaab nahin bikher zulf-e-siyah ko na ru-e-raushan par chhupaae abr jise ye vo aaftaab nahin abhi hai naaz uThaane kaa hausla baaqi ki dil vahi hai agar mausam-e-shabaab nahin ye un ki uThti javaani ki ik haqiqat hai ulaT na de jo qayaamat ko vo shabaab nahin lagi hai kaisi ye chup tum ko ai adam vaalo kisi savaal kaa mere koi javaab nahin nazar-navaaz adaaein hain husn-e-khud-bin ki hayaa kaa shaaiba jin mein nahin hijaab nahin qadam sanbhaal ke rakh paaemaal ho na koi zamin-e-gor-e-gharibaan hai farsh-e-khvaab nahin nazar-fareb hai duniyaa-e-dun kaa nazzaara tilism-e-vahm-o-gumaan hai faqat saraab nahin azal se vaqf-e-taghayyur nizaam-e-hasti hai zamaana rang dikhaataa hai inqalaab nahin kuchh aaj lazzat-e-dard-e-jigar kaa lutf milaa huaa sukun to kyaa kuchh ab iztiraab nahin fidaa-e-naam-e-mubaarak hai 'shaad' suufi bhi kahe na koi sanaa-khvaan-e-bu-turaab nahin"
Maharaja Sir Kishan Parashad ShadMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
Quote
"lutf ab aae na kyon anjuman-aaraai kaa zarre zarre mein hai jalva tiri yaktaai kaa dekhne se tan-e-ranjur mein jaan aati hai zindagi naam hai ai jaan tiri zebaai kaa tere jalve ne kiyaa donon jahaan ko raushan hausla baDhne lagaa chashm-e-tamaashaai kaa ishq ne zulfon ke mashhur kiyaa saudaai bol-baalaa hai jahaan mein miri rusvaai kaa chashmak-e-barq-e-fusun-gar hai ki ye husn-e-azal baagh-e-aalam mein hai charchaa tiri raanaai kaa munhasir dair pe kaaba pe nahin kuchh didaar hausla chaahiye hai chashm-e-tamaashaai kaa chashm-e-bad-dur tiraa husn bhi hai ek eajaaz ki mukaddar hai yahaan aaina binaai kaa le zaraa is ki khabar bahr-e-khudaa ai zaalim in dinon haal buraa hai tire shaidaai kaa bandagi ho gai maqbul mili dil ki muraad mil gayaa 'shaad' sila tujh ko jabin-saai kaa"
Maharaja Sir Kishan Parashad ShadMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
Quote
"baada-e-khum-e-khaana-e-tauhid kaa mai-nosh huun chuur huun masti mein aisaa be-khud-o-madhosh huun gird phirne de mujhe saaqi ye meraa farz hai misl-e-saaghar daur mein huun baada-e-sar-josh huun tarz-e-khaamoshi miri batlaati hai is raaz ko huun navaasanj-e-haqiqat laakh main khaamosh huun dardmand-e-ishq ho kar zabt kaa khugar huun main surat-e-simaab ho kar paikar-e-khaamosh huun kis ki furqat vasl kis kaa aur hai maashuq kaun 'shaad' main is aalam-e-takvin kaa ham-aaghosh huun"
Maharaja Sir Kishan Parashad ShadMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
Quote
"ab dimaagh-o-dil mein vo quvvat nahin vo dil nahin 'shaad' ab ashaar mere dar-khur-e-mahfil nahin tu mire ashk-e-nadaamat ki haqiqat kuchh na puchh us kaa har qatra vo dariyaa hai jahaan saahil nahin ghar khudaa kaa thaa magar but is mein aa kar bas gae ab muraqqaa hai hasinon kaa hamaaraa dil nahin nukta-chin ho meri rindaana ravish par kyuun koi main koi zaahid nahin vaaiz nahin aaqil nahin parda-daari karti hai dar-parda lailaa ishq ki jazba-e-dil qais kaa hai parda-e-mahmil nahin inqalaab-e-dahr se ulTaa zamaane kaa varaq ahl-e-mahfil vo nahin vo raunaq-e-mahfil nahin hind mein chalne lagi hai ab havaa-e-inqalaab 'shaad' sach hai ye jagah rahne ke ab qaabil nahin saaghar-e-mai pesh kar ke shaikh kahlaataa huun main hadiya-e-ahqar hai ye go aap ke qaabil nahin haq mein ab aashiq ke dekhein faisla hotaa hai kyaa ishq kaa daavaa huzur-e-husn to baatil nahin"
Maharaja Sir Kishan Parashad ShadMaharaja Sir Kishan Parashad Shad

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb