SHAWORDS

khushk kheti hai magar us ko hari kahte hain — Aale Ahmad Suroor

"khushk kheti hai magar us ko hari kahte hain kam-nigaahi ko bhi vo dida-vari kahte hain fikr-e-raushan ko vo shorida-sari kahte hain yaa'ni suraj ko charaagh-e-sahari kahte hain jo tire dar se uThaa phir vo kahin kaa na rahaa us ki qismat mein rahi dar-badari kahte hain kitni be-rahm hai fitrat unhein maa'lum nahin jo use kaargah-e-shishagari kahte hain husn ke baab mein 'akbar' ki sanad kaafi hai ham bhi har ik but-e-kamsin ko pari kahte hain ruh-e-sayyad pe khudaa jaane guzar jaaegi kyaa aam aligaDh mein hui kam-nazari kahte hain"
Urdu

خشک کھیتی ہے مگر اس کو ہری کہتے ہیں کم نگاہی کو بھی وہ دیدہ وری کہتے ہیں فکر روشن کو وہ شوریدہ سری کہتے ہیں یعنی سورج کو چراغ سحری کہتے ہیں جو ترے در سے اٹھا پھر وہ کہیں کا نہ رہا اس کی قسمت میں رہی در بدری کہتے ہیں کتنی بے رحم ہے فطرت انہیں معلوم نہیں جو اسے کارگہ شیشہ گری کہتے ہیں حسن کے باب میں اکبرؔ کی سند کافی ہے ہم بھی ہر اک بت کمسن کو پری کہتے ہیں روح سید پہ خدا جانے گزر جائے گی کیا عام علی گڑھ میں ہوئی کم نظری کہتے ہیں

Hindi

ख़ुश्क खेती है मगर उस को हरी कहते हैं कम-निगाही को भी वो दीदा-वरी कहते हैं फ़िक्र-ए-रौशन को वो शोरीदा-सरी कहते हैं या'नी सूरज को चराग़-ए-सहरी कहते हैं जो तिरे दर से उठा फिर वो कहीं का न रहा उस की क़िस्मत में रही दर-बदरी कहते हैं कितनी बे-रहम है फ़ितरत उन्हें मा'लूम नहीं जो उसे कारगह-ए-शीशागरी कहते हैं हुस्न के बाब में 'अकबर' की सनद काफ़ी है हम भी हर इक बुत-ए-कमसिन को परी कहते हैं रूह-ए-सय्यद पे ख़ुदा जाने गुज़र जाएगी क्या आम अलीगढ़ में हुई कम-नज़री कहते हैं

ḳhushk khetī hai magar us ko harī kahte haiñ
Aale Ahmad Suroor
Aale Ahmad Suroor
Aale Ahmad Suroor
poet51 quotes

More by Aale Ahmad Suroor

View all →
Quote
"vo jiein kyaa jinhein jiine kaa hunar bhi na milaa dasht mein khaak uDaate rahe ghar bhi na milaa khas-o-khaashaak se nisbat thi to honaa thaa yahi DhunDne nikle the shole ko sharar bhi na milaa na puraanon se nibhi aur na nae saath chale dil udhar bhi na milaa aur idhar bhi na milaa dhuup si dhuup mein ik umr kaTi hai apni dasht aisaa ki jahaan koi shajar bhi na milaa koi donon mein kahin rabt-e-nihaan hai shaayad but-kada chhuTaa to allaah kaa ghar bhi na milaa haath uTThe the qadam phir bhi baDhaayaa na gayaa kyaa taajjub jo duaaon mein asar bhi na milaa bazm ki bazm hui raat ke jaadu kaa shikaar koi dil-daada-e-afsun-e-sahar bhi na milaa"
Aale Ahmad SuroorAale Ahmad Suroor
Quote
"siyaah raat ki sab aazmaaishein manzur kisi sahar ke ujaale kaa aasraa to milaa nazar milaa na sake ham se vo to gham kyaa hai ki dil se dil ke dhaDakne kaa silsila to milaa hai aaj aur hi kuchh zulf-e-taabdaar mein kham bhaTakne vaale ko manzil kaa raasta to milaa sarishk-e-chashm se moti bahut luTaae gae tiri nigah ke shahidon ko khun-bahaa to milaa jahaan nigaah se insaan banaae jaate hain vo baab-e-mai-kada mere liye khulaa to milaa sitam-zarif mohabbat ko jurm kahte hain gunaah-gaar ko jiine kaa aasraa to milaa na rahnumaa hai na manzil dayaar-e-ulfat mein qadam uThaate hi khizr-e-shikasta-paa to milaa mire junun ne khilaae hain phuul sahraa mein mire junun se bahaaron ko hausla to milaa samajhte the ki vafaa-naa-shanaas hai duniyaa 'surur' ham ko bhi ik dard-aashnaa to milaa"
Aale Ahmad SuroorAale Ahmad Suroor
Quote
"jis ne kiye hain phuul nichhaavar kabhi kabhi aae hain us ki samt se patthar kabhi kabhi ham jis ke ho gae vo hamaaraa na ho sakaa yuun bhi huaa hisaab baraabar kabhi kabhi yaan tishna-kaamiyaan to muqaddar hain ziist mein milti hai hausle ke baraabar kabhi kabhi aati hai dhaar un ke karam se shuur mein dushman mile hain dost se behtar kabhi kabhi manzil ki justuju mein jise chhoD aae the aataa hai yaad kyuun vahi manzar kabhi kabhi maanaa ye zindagi hai farebon kaa silsila dekho kisi fareb ke jauhar kabhi kabhi yuun to nashaat-e-kaar ki sarshaariyaan milin anjaam-e-kaar kaa bhi rahaa Dar kabhi kabhi dil ki jo baat thi vo rahi dil mein ai 'surur' khole hain garche shauq ke daftar kabhi kabhi"
Aale Ahmad SuroorAale Ahmad Suroor
Quote
"fughaan-e-dard mein bhi dard ki khalish hi nahin dilon mein aag lagi hai magar tapish hi nahin kahaan se laaein vo soz-o-gudaaz dil vaale ki dilbari kaa vo aahang vo ravish hi nahin haqiqaton ke bhi tevar badal to sakte hain hamaari bazm mein khvaabon ki vo khalish hi nahin dimaagh kyuun na ho saahil pe sone vaalon kaa kabhi kabhaar jo tufaan ki sarzanish hi nahin lubhaaegaa use kyaa chaand kaa khunuk jaadu jise nasib kaDi dhuup ki tapish hi nahin zamaana qissa-e-daar-o-rasan ko bhuul na jaae kisi ke halqa-e-gesu mein vo kashish hi nahin ye rang-o-bu ke tilismaat kis liye hain 'surur' bahaar kyaa hai junun ki jo parvarish hi nahin"
Aale Ahmad SuroorAale Ahmad Suroor

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb