SHAWORDS

kisi qismat mein ek ghar niklaa — Salman Akhtar

HomeSalman AkhtarGhazal
"kisi qismat mein ek ghar niklaa kisi taqdir mein safar niklaa zakhm se kuchh ghazal ke sher uge shaakh se phuuT kar samar niklaa dost ban kar vafaa na ki jis ne huaa dushman to mo'tabar niklaa nae aansu the aastin ke liye daaman-e-dil kabhi kaa tar niklaa jab ye maanaa ki dil mein Dar hai bahut tab kahin jaa ke dil se Dar niklaa"
Urdu

کسی قسمت میں ایک گھر نکلا کسی تقدیر میں سفر نکلا زخم سے کچھ غزل کے شعر اگے شاخ سے پھوٹ کر ثمر نکلا دوست بن کر وفا نہ کی جس نے ہوا دشمن تو معتبر نکلا نئے آنسو تھے آستیں کے لئے دامن دل کبھی کا تر نکلا جب یہ مانا کہ دل میں ڈر ہے بہت تب کہیں جا کے دل سے ڈر نکلا

Hindi

किसी क़िस्मत में एक घर निकला किसी तक़दीर में सफ़र निकला ज़ख़्म से कुछ ग़ज़ल के शेर उगे शाख़ से फूट कर समर निकला दोस्त बन कर वफ़ा न की जिस ने हुआ दुश्मन तो मो'तबर निकला नए आँसू थे आस्तीं के लिए दामन-ए-दिल कभी का तर निकला जब ये माना कि दिल में डर है बहुत तब कहीं जा के दिल से डर निकला

kisī qismat meñ ek ghar niklā
Salman Akhtar
Salman Akhtar
Salman Akhtar
poet37 quotes

More by Salman Akhtar

View all →
Quote
"dosti kuchh nahin ulfat kaa sila kuchh bhi nahin aaj duniyaa mein ba-juz zehn-e-rasaa kuchh bhi nahin patte sab gir gae peDon se magar kyaa kahiye aisaa lagtaa hai hamein jaise huaa kuchh bhi nahin kal ki yaadon ki jalaane ko jalaaein mishal ek taarik udaasi ke sivaa kuchh bhi nahin DhunDhnaa chhoD do parchhaain kaa maskan yaaro chaahe jis tarah jiyo is mein nayaa kuchh bhi nahin ik buroTas se shikaayat ho to dil dukhtaa hai ho jo har ek se shikva to gila kuchh bhi nahin"
Salman AkhtarSalman Akhtar

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri