Quote
"kyaa dikhaataa hai ye safar dekho ab kahaan rukti hai nazar dekho vaqt har aaine kaa dushman hai phir bhi kuchh roz ban-sanvar dekho khud ko gar dekho ghair aankhon se 'umr ne kyaa kiyaa asar dekho raat ke baa'd raat aaegi dil se jaataa hai kab ye Dar dekho aae bhi aur gae bhi khaali haath chhoDo duniyaa ko aur ghar dekho"
