SHAWORDS

koi to tark-e-maraasim pe vaasta rah jaae — Sabir Zafar

HomeSabir ZafarGhazal
"koi to tark-e-maraasim pe vaasta rah jaae vo ham-navaa na rahe surat-aashnaa rah jaae ajab nahin ki miraa bojh bhi na mujh se uThe jahaan paDaa hai zar-e-jaan vahin paDaa rah jaae main sochtaa huun mujhe intizaar kis kaa hai kivaaD raat ko ghar kaa agar khulaa rah jaae kise khabar ki isi farsh-e-sang par so jaaun mire makaan mein bistar miraa bichhaa rah jaae 'zafar' hai behtari is mein ki main khamosh rahun khule zabaan to izzat kisi ki kyaa rah jaae"
Urdu

کوئی تو ترک مراسم پہ واسطہ رہ جائے وہ ہم نوا نہ رہے صورت آشنا رہ جائے عجب نہیں کہ مرا بوجھ بھی نہ مجھ سے اٹھے جہاں پڑا ہے زر جاں وہیں پڑا رہ جائے میں سوچتا ہوں مجھے انتظار کس کا ہے کواڑ رات کو گھر کا اگر کھلا رہ جائے کسے خبر کہ اسی فرش سنگ پر سو جاؤں مرے مکان میں بستر مرا بچھا رہ جائے ظفرؔ ہے بہتری اس میں کہ میں خموش رہوں کھلے زبان تو عزت کسی کی کیا رہ جائے

Hindi

कोई तो तर्क-ए-मरासिम पे वास्ता रह जाए वो हम-नवा न रहे सूरत-आश्ना रह जाए अजब नहीं कि मिरा बोझ भी न मुझ से उठे जहाँ पड़ा है ज़र-ए-जाँ वहीं पड़ा रह जाए मैं सोचता हूँ मुझे इंतिज़ार किस का है किवाड़ रात को घर का अगर खुला रह जाए किसे ख़बर कि इसी फ़र्श-ए-संग पर सो जाऊँ मिरे मकान में बिस्तर मिरा बिछा रह जाए 'ज़फ़र' है बेहतरी इस में कि मैं ख़मोश रहूँ खुले ज़बान तो इज़्ज़त किसी की क्या रह जाए

koī to tark-e-marāsim pe vāsta rah jaa.e
Sabir Zafar
Sabir Zafar
Sabir Zafar
poet70 quotes

More by Sabir Zafar

View all →
Quote
"kaam itni hi faqat raahguzar aaegi ham-safar jaaegaa aur yaad-e-safar aaegi duur tak ek khalaa hai so khalaa ke andar sirf tanhaai ki surat hi nazar aaegi main ne sochaa thaa magar ye to nahin sochaa thaa tirgi ruuh ke aangan mein utar aaegi jaagne vaalaa koi soyaa hamesha ke liye ab to maatam hi karegi jo sahar aaegi ik ajab bu-e-nafas aati hai divaaron se aur kuchh roz mein ye bhi na idhar aaegi haae kyaa log the zindaan mein bhi ham se pahle ik din is yaad ki surat bhi bikhar aaegi paDh rahaa huun main 'zafar' us ke bichhaDne ki khabar aur kuchh roz mein apni bhi khabar aaegi"
Sabir ZafarSabir Zafar
Quote
"qismat mein agar judaaiyaan hain phir kyuun tiri yaadein aaiyaan hain yaan jiine ki suratein hain jitni vo suratein sab paraaiyaan hain fariyaad-kunaan nahin bas ik main chaaron hi taraf duhaaiyaan hain har darje pe ishq kar ke dekhaa har darje mein bevafaaiyaan hain ik teraa buraa kabhi na chaahaa go ham mein bahut buraaiyaan hain taqrib-e-visaal-e-yaar hai kyaa kuche mein tire safaaiyaan hain us ne bhi kasar koi koi chhoDi ham ne bhi bahut sunaaiyaan hain ab aur kahin kaa rukh karein aap is jag mein to jag-hansaaiyaan hain kaise karein bandagi 'zafar' vaan bandon ki jahaan khudaaiyaan hain"
Sabir ZafarSabir Zafar
Quote
"vo sadaaein detaa rahaa ho main ne sunaa na ho kahin yuun na ho mujhe lag rahaa ho judaa magar vo judaa na ho kahin yuun na ho nahin koi raaz-e-yagaangi nahin koi saaz-e-fasaangi magar ek saaz-e-fasaana raaz-e-yagaana ho kahin yuun na ho main samajhtaa huun use khush-nasib koi chumtaa hai agar salib ki ye saaz-e-marg hi zindagi kaa taraana ho kahin yuun na ho main diyaa-salaai ki raushni mein talaash kartaa rahaa tumhein magar apnaa maqsad andheri raat bataanaa ho kahin yuun na ho main tumhaare 'ishq mein raat-din jo dikhaai detaa huun mutmain miraa ghar hi sirf luTaa ho dil to luTaa na ho kahin yuun na ho vo shumaar-e-maah-o-nujum ho ki khumaar-e-tark-e-rusum ho koi baar soch bichaar hi kaa paDaa na ho kahin yuun na ho kisi honT se koi ras mile koi dam farishta-nafas mile vo milaa bhi ho to mujhe dobaara milaa na ho kahin yuun na ho tire paanv chhuti vo saaatein vo taghayyuraat ki sabqatein kisi pul kaa jaise kahin bhi koi siraa na ho kahin yuun na ho jo hai apne rang mein sandali jo hai apne lams mein makhmali miri khalvaton ko usi ne jaise lubhaanaa ho kahin yuun na ho vo asaas-e-azm se aashnaa vo libaas-e-nazm se runumaa kisi qaafiye yaa radif se vo khulaa na ho kahin yuun na ho koi aabshaar na aab-e-ju kisi aur lahar ki aarzu miri pyaas bujhne kaa aur koi Thikaanaa ho kahin yuun na ho kahin yuun na ho koi pul-siraat ke paar ho miraa muntazir magar us ko jaa ke udhar talaash kiyaa na ho kahin yuun na ho kisi 'iid par yaa basant par vo milegaa 'umr ke ant par main ye sochtaa huun ki ye bhi koi bahaana ho kahin yuun na ho vo ufuq ba-nafsi jo kho chukaa koi aaftaab jo so chukaa unhein ranj mere akele-pan kaa rahaa na ho kahin yuun na ho mujhe naaz apne khayaal par mujhe naaz us ke jamaal par main samajh rahaa huun jise nayaa vo nayaa na ho kahin yuun na ho mire dil ke diin ko bech kar koi le gayaa mujhe khinch kar mire ang ang mein apnaa rang jamaanaa ho kahin yuun na ho yahi ham-qadam ki hain laghzish yahi zer-o-bam ki hain larzishein jise bhulnaa na ho vo hi yaad rahaa na ho kahin yuun na ho koi sho'la saa jo bhaDak uThaa koi dard saa jo chamak uThaa mare dard dil kaa ye aariza bhi puraanaa ho kahin yuun na ho main diye jalaaun munDer par ki zarur aaegaa vo idhar isi shaam vo kisi aur samt ravaana ho kahin yuun na ho kabhi surmai kabhi aatishi kabhi nuqrai kabhi kaasni kisi ek rang mein rah ke ji hi lagaanaa ho kahin yuun na ho kisi farsh-o-arsh mein kuchh nahin main jhukaa rahaa huun yunhi jabin jise DhunDun mein vo qadam hi us ne rakhaa na ho kahin yuun na ho hamein sar-kashi se muqaddaron ko badalnaa aayaa nahin abhi magar aisaa karnaa mohabbaton mein ridaa na ho kahin yuun na ho jo thi kal vo aaj hai zindagi abhi laa-'ilaaj hai zindagi ki masih-e-asr ke paas us ki davaa na ho kahin yuun na ho vo musavviri hui shaa'iri kisi kaam aae ye saahiri dil-e-paak-baaz bhi mah-rukhon kaa divaana ho kahin yuun na ho shab-e-vasl jalva-e-tur saa vo badan chamaktaa thaa nuur saa koi laa-zavaal vafur-e-rang-e-shabaana ho kahin yuun na ho main kahaan se laaun vo zindagi jo saraasar us ki ho bandagi miri ruuh ki jo talab hai us ki razaa na ho kahin yuun na ho miraa aakhirat pe to hai yaqin kahin zahr ho na ye angbin main haqiqat us ko samajh luun aur vo fasaana ho kahin yuun na ho ye satiza-kaari na ho shuru' hai kahaan ghurub kahaan tulua jo tiraa zamaana ho vo hi miraa zamaana ho kahin yuun na ho main guzar ke aayaa huun qabr se ki 'ilaaqa rakhtaa huun sabr se miri ruuh mein koi iztiraab-e-fanaa na ho kahin yuun na ho ye gurez to zaraa kam karo miri kaaenaat mein ram karo sau garm karo ki dobaara par ye khalaa na ho kahin yuun na ho na suhaag-raat chamak saki yunhi kasmasaate sahar hui koi diip gum-shuda thaaliyon mein jalaanaa ho kahin yuun na ho mujhe us ki shakl dikhaai de na hi apni shakl dikhaai de miraa aaina mire shishagar ki 'ataa na ho kahin yuun na ho mujhi tira-bakht ki baat hai ki ye vaqt vaqt ki baat hai jise yaad kar ke jiyun usi ko bhulaanaa ho kahin yuun na ho jo hai mere dil kaa mu'aamla jo hai nazm-e-dahr se maavaraa kahin us ke vaaste harf-e-kun hi kahaa na ho kahin yuun na ho vo barahnagi kaa qasida kahte hue idhar nikal aayaa thaa magar us ki aankhon mein satr-posh hayaa na ho kahin yuun na ho na vo yaar thaa na vo daashta mein kahaan panaah taraashtaa mujhe le ke dil miraa dar-ba-dar hi phiraa na ho kahin yuun na ho sar-e-raah siina nikaaltaa huaa aayaa thaa jo vo khush-nigaah dil-ishq-khu ko vo par ghurur lagaa na ho kahin yuun na ho ho 'abas yahaan use dekhnaa ho 'abas yahaan use DhunDhnaa miraa yaar mere baghair ji hi sakaa na ho kahin yuun na ho vo khayaal khol ke dekhnaa vo savaal taul ke dekhnaa ki samajh rahe ho jise khafaa vo khafaa na ho kahin yuun na ho miri zindagi tiri bandagi se judaa nahin kabhi ghaur kar mare ijtihaad pe tu ne ghaur kiyaa na ho kahin yuun na ho isi vaaste abhi zindagi huun ki tumhaaraa chehra hai saamne koi aur shakhs miri nazar mein jachaa na ho kahin yuun na ho vo koi daghaa koi maa'rka vo shujaaatein aur muhaasara vo koi qadim rajaz sunaa hi gayaa na ho kahin yuun na ho jo aziiz jaan se hai kaafira use zeb de na munaafira ye nahin baiid ki us ko paas-e-vafaa na ho kahin yuun na ho tiraa husn asiir na kar sakaa na main tere vaaste mar sakaa kahin meraa saath mire khudaa ne diyaa na ho kahin yuun na ho koi hijrati gham-e-dahr mein ho ravaan-davaan kisi lahar mein koi rah rahaa thaa jahaan vahaan vo rahaa na ho kahin yuun na ho vo qurun-e-asl ki saaatein vo junun-e-vasl ki raahatein mire vaaste hon mujhe pata hi chalaa na ho kahin yuun na ho kisi aur ke liye ho chhupaa ke hansi vo us ne rakhi hui 'zafar' ik mujhi ko hamesha khuun rulaanaa ho kahin yuun na ho"
Sabir ZafarSabir Zafar
Quote
"nazar aate nahin hain bahr mein ham yaani rahte hain apni lahr mein ham khul rahe hain bandhe hue pul se ghul rahe hain khud apne zahr mein ham hai qafas bhi tilism-khaana-e-khvaab aa gae ek aur shahr mein ham kisi zindaan mein sochnaa hai abas dahr ham mein hai yaa ki dahr mein ham ho gai raat so lein kuchh sardaar jaag uTTheinge pichhle pahr mein ham ham hain maqtal mein aur qaatil gham kaise laae gae the qahr mein ham ab jagaaegi yaad us ki 'zafar' chhoD aae jo niind nahr mein ham"
Sabir ZafarSabir Zafar

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud