"shisha-e-dil ko fazaa mein na uchhaalo yaaro TuuT kar is ko bikharne se bachaa lo yaaro jism ke zakhm to bhar jaaeinge vaqt aane par ruuh zakhmi hai ilaaj is kaa nikaalo yaaro ku-e-qaatil mein bulaavaa hai ba-sad-shaan chalo aaj zakhmon se badan apnaa sajaa lo yaaro ziist ki talkh-navaai hai mire sheron mein be-tuki kah ke miri baat na Taalo yaaro kulfat-e-zist se mil jaaegi fursat tum ko mere ashaar ko honTon se lagaa lo yaaro"
mai-kasho mai-kashi ki baat karo — Abdul Majeed Khan Majeed
"mai-kasho mai-kashi ki baat karo ranj-o-gham mein khushi ki baat karo saaraa aalam hi raqs mein gum hai tum bhi kuchh be-khudi ki baat karo kyon udaasi hai aaj mahfil mein ham-nashin dil-lagi ki baat karo jo luTaa baiThe jaan ulfat mein aise ik aadmi ki baat karo chand lamha sukun-e-dil to mile amn aur aashti ki baat karo bhuul jaao tamaam shikve-gile dosto dosti ki baat karo talkhi-e-zist ko bhulaa ke 'majid' husn aur aashiqi ki baat karo"
مے کشو مے کشی کی بات کرو رنج و غم میں خوشی کی بات کرو سارا عالم ہی رقص میں گم ہے تم بھی کچھ بے خودی کی بات کرو کیوں اداسی ہے آج محفل میں ہم نشیں دل لگی کی بات کرو جو لٹا بیٹھے جان الفت میں ایسے اک آدمی کی بات کرو چند لمحہ سکون دل تو ملے امن اور آشتی کی بات کرو بھول جاؤ تمام شکوے گلے دوستو دوستی کی بات کرو تلخی زیست کو بھلا کے مجیدؔ حسن اور عاشقی کی بات کرو
मय-कशो मय-कशी की बात करो रंज-ओ-ग़म में ख़ुशी की बात करो सारा आलम ही रक़्स में गुम है तुम भी कुछ बे-ख़ुदी की बात करो क्यों उदासी है आज महफ़िल में हम-नशीं दिल-लगी की बात करो जो लुटा बैठे जान उल्फ़त में ऐसे इक आदमी की बात करो चंद लम्हा सुकून-ए-दिल तो मिले अम्न और आश्ती की बात करो भूल जाओ तमाम शिकवे-गिले दोस्तो दोस्ती की बात करो तल्ख़ी-ए-ज़ीस्त को भुला के 'मजीद' हुस्न और आशिक़ी की बात करो

More by Abdul Majeed Khan Majeed
View all →"rah-e-vafaa mein ba-sad-shauq jab bhi ham nikle qadam qadam pe sabhi maail-e-sitam nikle nahin ye gesu-e-jaanaan ye zulf-e-giti hai har ek biich mein pinhaan hazaaron kham nikle anaa-pasandi-e-fitrat ko ab qaraar kahaan bahisht chhoD ke mushkil safar pe ham nikle mili na manzil-e-jaanaan rakhe na paa-e-talab qadam qadam pe muqaddar ke pech-o-kham nikle junun-e-shauq mein jin ko samajh rahaa thaa khudaa paDaa jo vaqt to miTTi ke vo sanam nikle tamaam umr chale saath phir bhi saath the kab 'majid' khuub tumhaare ye ham-qadam nikle"
"ji mein aataa hai aaina dekhun haal-e-dil us mein khushnumaa dekhun jab haqiqat ho saamne mere kyaa muqaddar kaa main likhaa dekhun vaqt ke be-karaan samundar mein khud ko har lamha Dubtaa dekhun aaj apnon ke biich rishton mein har ghaDi baDhtaa faasla dekhun raah chalte jo mil gayaa thaa 'majid' umr-bhar us kaa raasta dekhun"
"hamein kyaa khabar hai kahaan chhoD aae bahut pichhe ham kaarvaan chhoD aae hamein tu ne bakhshe the gham ke andhere andheron mein ham kahkashaan chhoD aae azal se tabiat thi aavaara apni zamin ke liye aasmaan chhoD aae zamaana hamein bhuul paaegaa kaise har ik dil mein dard-e-nihaan chhoD aae bulaayaa hai tum ne to izzat bhi rakhnaa pas-e-pusht saaraa jahaan chhoD aae 'majid' apne daaman mein kaanTe sajaa kar tumhaare liye gulsitaan chhoD aae"
"jin ke liye zamaane kaa ham zahr pi chale ho kar vo bad-gumaan ba-sad-be-rukhi chale kuchh der Thahriye ki zaraa dil ki baat ho aae abhi abhi hain janaab aur abhi chale ghar se nikal ke ham to sar-e-dasht aa gae dekhein kahaan talak ye gham-e-aashiqi chale jaise kabhi bhi ham se koi vaasta na ho vo chal rahe hain jaise koi ajnabi chale ham rah-ravaan-e-shauq ko manzil se kyaa gharaz ham ko jidhar tumhaari Dagar le chali chale apne lahu se khuub hue surkh-ru 'majid' ham par hazaar sang-e-sitam aaj bhi chale"
"yuun zindagi ke marhale dushvaar ho gae gulshan ke phuul mere liye khaar ho gae suraj mire uruuj kaa jab Dubne lagaa apne tamaam log hi be-zaar ho gae vaaraftagi-e-shauq kaa eajaaz dekhiye shoale hamaare haq mein bhi gulzaar ho gae maidaan-e-kaar-zaar mein jo kuchh na kar sake mahfil mein vo bhi ghaazi-e-guftaar ho gae chaahaa thaa rasm-o-raah baDhe un se par 'majid' haalaat apne biich ki divaar ho gae"
More on Dosti
View all →"mahv-e-hairat huun miraa khaar ne rasta dekhaa ek kirdaar kaa kirdaar ne rasta dekhaa kaun kahtaa hai talabgaar ne rasta dekhaa ek be-daar kaa bedaar ne rasta dekhaa kam-nasibi ki mulaaqaat se mahrum rahe khush-nasibi ki mire yaar ne rasta dekhaa anginat aae ruke aur ravaana bhi hue kab kisi shakhs kaa sansaar ne rasta dekhaa apne vaalon ne musibat mein bhulaayaa lekin dosti ke liye aghyaar ne rasta dekhaa main ne sachchaai ko jis roz se apnaayaa hai meraa aksar rasan-o-daar ne rasta dekhaa tujh se 'mahmud' use pyaar bahut thaa shaayad marte dam tak tire bimaar ne rasta dekhaa"
"dushmani chalti rahi yaaron ke biich phuul bhi khilte rahe khaaron ke biich ho agar imaan-e-kaamil aaj bhi raqs ho saktaa hai angaaron ke biich dosti ki chhat banaanaa chaahiye ham ko bhi rahnaa hai divaaron ke biich aap ko to chaand kahte the sabhi aap kyon dhundlaa gae taaron ke biich khud-farebi ne sahaaraa de diyaa mil gayaa iqraar inkaaron ke biich khuub hai 'muztar' kaa rang-e-shaairi khuun ki surkhi hai ghazal-paaron ke biich"
"miri jaanib nigaah-e-naaz kar aahista aahista mire dil ke jazire mein utar aahista aahista mohabbat donon jaanib hai tafaavut sirf itnaa hai idhar hai tez-rau lekin udhar aahista aahista tiri beTi kaa qad tere baraabar ho gayaa shaayad tu apni khud-kushi par ghaur kar aahista aahista sahar aai na aae vo sitaaro jaao so jaao ki ab chalte hain ham bhi apne ghar aahista aahista jo kal tak meri barbaadi ki qasmein khaate phirte the vahi ab ho rahe hain dar-ba-dar aahista aahista na jaane rah-ravaan-e-raah kaa ab hashr kyaa hogaa bhaTakte jaa rahe hain raahbar aahista aahista khudaa ke vaaste samjhaa-bujhaa kar rok le koi vo dekho jaa rahe hain ruuTh kar aahista aahista adaavat dil mein rakhnaa muskuraa kar guftugu karnaa sabhi ko aa gayaa hai ye hunar aahista aahista nimaT luun doston ki dosti se pahle ai 'hamza' to lungaa dushmanon ki bhi khabar aahista aahista"
"gila hai apne muqaddar ki be-hisi se hamein aur is se baDh ke shikaayat hai zindagi se hamein kabhi nigaar-e-lab-e-shoala-vash kaa zikr chalaa kabhi hisaar-e-gham-e-jaan milaa kisi se hamein kabhi thaa qurb mein ik iztiraab kaa aalam kabhi qaraar milaa teri be-rukhi se hamein kabhi malaal huaa iltifaat-e-paiham se kabhi khushi thi bahut tark-e-dosti se hamein kabhi gumaan ki ye duniyaa hai ik fareb-e-nazar yaqin bhi hai khudaa ke vajud hi se hamein hayaat-e-jehd-e-musalsal mein kyon hai sargardaan zaraa pataa to chale ilm-o-aagahi se hamein agarche dil ko mili thi naved-e-subh-e-jamaal najaat mil na saki shab ki tirgi se hamein khaDe hain dasht-e-balaa-khez mein barahna-paa milaa hai izn-e-safar jazba-e-khudi se hamein 'sabaa' ye kaun si manzil hai dasht-e-imkaan mein na aashnaa se gharaz hai na ajnabi se hamein"
"ek dariyaa saa musalsal hai ravaan jaante hain ham zamaane se zamaane ko yahaan jaante hain raah-e-haq par hamein rakhnaa hain akele hi qadam saath degaa na hamaaraa ye jahaan jaante hain ham ne jo baat kahi vo bhi na samjhi tum ne dost to dost ki khaamosh zabaan jaante hain laakh aaraaishein mil jaaein magar un ke baghair ghar na ho paaegaa ham se ye makaan jaante hain daa'vaa karte hain khudaa ko bhi samajhne kaa magar ham yahaan Thiik se khud ko bhi kahaan jaante hain jism ke zakhm to sab bhar gae kab ke lekin ruuh par ab bhi jo hain ham vo nishaan jaante hain 'aarzu' kyon ho hamein ‘umr-daraazi ki jab zindagi ham tire sab sud-o-ziyaan jaante hain"
"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"