"shisha-e-dil ko fazaa mein na uchhaalo yaaro TuuT kar is ko bikharne se bachaa lo yaaro jism ke zakhm to bhar jaaeinge vaqt aane par ruuh zakhmi hai ilaaj is kaa nikaalo yaaro ku-e-qaatil mein bulaavaa hai ba-sad-shaan chalo aaj zakhmon se badan apnaa sajaa lo yaaro ziist ki talkh-navaai hai mire sheron mein be-tuki kah ke miri baat na Taalo yaaro kulfat-e-zist se mil jaaegi fursat tum ko mere ashaar ko honTon se lagaa lo yaaro"
rah-e-vafaa mein ba-sad-shauq jab bhi ham nikle — Abdul Majeed Khan Majeed
"rah-e-vafaa mein ba-sad-shauq jab bhi ham nikle qadam qadam pe sabhi maail-e-sitam nikle nahin ye gesu-e-jaanaan ye zulf-e-giti hai har ek biich mein pinhaan hazaaron kham nikle anaa-pasandi-e-fitrat ko ab qaraar kahaan bahisht chhoD ke mushkil safar pe ham nikle mili na manzil-e-jaanaan rakhe na paa-e-talab qadam qadam pe muqaddar ke pech-o-kham nikle junun-e-shauq mein jin ko samajh rahaa thaa khudaa paDaa jo vaqt to miTTi ke vo sanam nikle tamaam umr chale saath phir bhi saath the kab 'majid' khuub tumhaare ye ham-qadam nikle"
رہ وفا میں بصد شوق جب بھی ہم نکلے قدم قدم پہ سبھی مائل ستم نکلے نہیں یہ گیسوئے جاناں یہ زلف گیتی ہے ہر ایک بیچ میں پنہاں ہزاروں خم نکلے انا پسندیٔ فطرت کو اب قرار کہاں بہشت چھوڑ کے مشکل سفر پہ ہم نکلے ملی نہ منزل جاناں رکھے نہ پائے طلب قدم قدم پہ مقدر کے پیچ و خم نکلے جنون شوق میں جن کو سمجھ رہا تھا خدا پڑا جو وقت تو مٹی کے وہ صنم نکلے تمام عمر چلے ساتھ پھر بھی ساتھ تھے کب مجیدؔ خوب تمہارے یہ ہم قدم نکلے
रह-ए-वफ़ा में ब-सद-शौक़ जब भी हम निकले क़दम क़दम पे सभी माइल-ए-सितम निकले नहीं ये गेसू-ए-जानाँ ये ज़ुल्फ़-ए-गीती है हर एक बीच में पिन्हाँ हज़ारों ख़म निकले अना-पसंदी-ए-फ़ितरत को अब क़रार कहाँ बहिश्त छोड़ के मुश्किल सफ़र पे हम निकले मिली न मंज़िल-ए-जानाँ रखे न पा-ए-तलब क़दम क़दम पे मुक़द्दर के पेच-ओ-ख़म निकले जुनून-ए-शौक़ में जिन को समझ रहा था ख़ुदा पड़ा जो वक़्त तो मिट्टी के वो सनम निकले तमाम उम्र चले साथ फिर भी साथ थे कब 'मजीद' ख़ूब तुम्हारे ये हम-क़दम निकले

More by Abdul Majeed Khan Majeed
View all →"ji mein aataa hai aaina dekhun haal-e-dil us mein khushnumaa dekhun jab haqiqat ho saamne mere kyaa muqaddar kaa main likhaa dekhun vaqt ke be-karaan samundar mein khud ko har lamha Dubtaa dekhun aaj apnon ke biich rishton mein har ghaDi baDhtaa faasla dekhun raah chalte jo mil gayaa thaa 'majid' umr-bhar us kaa raasta dekhun"
"hamein kyaa khabar hai kahaan chhoD aae bahut pichhe ham kaarvaan chhoD aae hamein tu ne bakhshe the gham ke andhere andheron mein ham kahkashaan chhoD aae azal se tabiat thi aavaara apni zamin ke liye aasmaan chhoD aae zamaana hamein bhuul paaegaa kaise har ik dil mein dard-e-nihaan chhoD aae bulaayaa hai tum ne to izzat bhi rakhnaa pas-e-pusht saaraa jahaan chhoD aae 'majid' apne daaman mein kaanTe sajaa kar tumhaare liye gulsitaan chhoD aae"
"jin ke liye zamaane kaa ham zahr pi chale ho kar vo bad-gumaan ba-sad-be-rukhi chale kuchh der Thahriye ki zaraa dil ki baat ho aae abhi abhi hain janaab aur abhi chale ghar se nikal ke ham to sar-e-dasht aa gae dekhein kahaan talak ye gham-e-aashiqi chale jaise kabhi bhi ham se koi vaasta na ho vo chal rahe hain jaise koi ajnabi chale ham rah-ravaan-e-shauq ko manzil se kyaa gharaz ham ko jidhar tumhaari Dagar le chali chale apne lahu se khuub hue surkh-ru 'majid' ham par hazaar sang-e-sitam aaj bhi chale"
"aap shishe kaa gar makaan rakhiye kuchh to mazbut saaebaan rakhiye tinkaa tinkaa bikhar na jaae kahin aandhiyon mein na aashiyaan rakhiye lamha lamha azaab-e-jaan hogaa dard dil mein na yuun nihaan rakhiye sirf apnaa hi gham nahin sab kuchh kuchh khayaal-e-gham-e-jahaan rakhiye haq adaa kijiye sadaaqat kaa aap munh mein agar zabaan rakhiye log barson kareinge yaad 'majid' lafz mein dard-e-be-karaan rakhiye"
"yuun zindagi ke marhale dushvaar ho gae gulshan ke phuul mere liye khaar ho gae suraj mire uruuj kaa jab Dubne lagaa apne tamaam log hi be-zaar ho gae vaaraftagi-e-shauq kaa eajaaz dekhiye shoale hamaare haq mein bhi gulzaar ho gae maidaan-e-kaar-zaar mein jo kuchh na kar sake mahfil mein vo bhi ghaazi-e-guftaar ho gae chaahaa thaa rasm-o-raah baDhe un se par 'majid' haalaat apne biich ki divaar ho gae"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"