SHAWORDS

maskan-e-maah-o-saal chhoD gayaa — Jaun Eliya

HomeJaun EliyaGhazal
"maskan-e-maah-o-saal chhoD gayaa dil ko us kaa khayaal chhoD gayaa taaza-dam jism-o-jaan the furqat mein vasl us kaa niDhaal chhoD gayaa ahd-e-maazi jo thaa ajab pur-haal ek viraan haal chhoD gayaa jhaalaa-baari ke marhalon kaa safar qaafile paaemaal chhoD gayaa dil ko ab ye bhi yaad ho ki na ho kaun thaa kyaa malaal chhoD gayaa main bhi ab khud se huun javaab-talab vo mujhe be-savaal chhoD gayaa"
Urdu

مسکن ماہ و سال چھوڑ گیا دل کو اس کا خیال چھوڑ گیا تازہ دم جسم و جاں تھے فرقت میں وصل اس کا نڈھال چھوڑ گیا عہد ماضی جو تھا عجب پر حال ایک ویران حال چھوڑ گیا جھالا باری کے مرحلوں کا سفر قافلے پائمال چھوڑ گیا دل کو اب یہ بھی یاد ہو کہ نہ ہو کون تھا کیا ملال چھوڑ گیا میں بھی اب خود سے ہوں جواب طلب وہ مجھے بے سوال چھوڑ گیا

Hindi

मस्कन-ए-माह-ओ-साल छोड़ गया दिल को उस का ख़याल छोड़ गया ताज़ा-दम जिस्म-ओ-जाँ थे फ़ुर्क़त में वस्ल उस का निढाल छोड़ गया अहद-ए-माज़ी जो था अजब पुर-हाल एक वीरान हाल छोड़ गया झाला-बारी के मरहलों का सफ़र क़ाफ़िले पाएमाल छोड़ गया दिल को अब ये भी याद हो कि न हो कौन था क्या मलाल छोड़ गया मैं भी अब ख़ुद से हूँ जवाब-तलब वो मुझे बे-सवाल छोड़ गया

maskan-e-māh-o-sāl chhoḌ gayā
Jaun Eliya
Jaun Eliya
Jaun Eliya
poet171 quotes

More by Jaun Eliya

View all →
Quote
"kyaa yaqin aur kyaa gumaan chup rah shaam kaa vaqt hai miyaan chup rah ho gayaa qissa-e-vajud tamaam hai ab aaghaaz-e-daastaan chup rah main to pahle hi jaa chukaa huun kahin tu bhi jaanaan nahin yahaan chup rah tu ab aayaa hai haal mein apne jab zamin hai na aasmaan chup rah tu jahaan thaa jahaan jahaan thaa kabhi tu bhi ab to nahin vahaan chup rah zikr chheDaa khudaa kaa phir tu ne yaan hai insaan bhi raaegaan chup rah saaraa saudaa nikaal de sar se ab nahin koi aastaan chup rah ahrman ho khudaa ho yaa aadam ho chukaa sab kaa imtihaan chup rah darmiyaani hi ab sabhi kuchh hai tu nahin apne darmiyaan chup rah ab koi baat teri baat nahin nahin teri tiri zabaan chup rah hai yahaan zikr-e-haal-e-maujudaan tu hai ab az-guzishtagaan chup rah hijr ki jaan-kani tamaam hui dil huaa 'jaun' be-amaan chup rah"
Jaun EliyaJaun Eliya
Quote
"hamaare zakhm-e-tamannaa puraane ho gae hain ki us gali mein gae ab zamaane ho gae hain tum apne chaahne vaalon ki baat mat suniyo tumhaare chaahne vaale divaane ho gae hain vo zulf dhuup mein furqat ki aai hai jab yaad to baadal aae hain aur shaamiyaane ho gae hain jo apne taur se ham ne kabhi guzaare the vo subh o shaam to jaise fasaane ho gae hain ajab mahak thi mire gul tire shabistaan ki so bulbulon ke vahaan aashiyaane ho gae hain hamaare baa'd jo aaein unhein mubaarak ho jahaan the kunj vahaan kaar-khaane ho gae hain"
Jaun EliyaJaun Eliya
Quote
"jo zindagi bachi hai use mat gavaaiye behtar ye hai ki aap mujhe bhuul jaaiye har aan ik judaai hai khud apne aap se har aan kaa hai zakhm jo har aan khaaiye thi mashvarat ki ham ko basaanaa hai ghar nayaa dil ne kahaa ki mere dar-o-baam Dhaaiye thukaa hai main ne khuun hamesha mazaaq mein meraa mazaaq aap hamesha uDaaiye hargiz mire huzur kabhi aaiye na aap aur aaiye agar to khudaa ban ke aaiye ab koi bhi nahin hai koi dil-mohalle mein kis kis gali mein jaaiye aur gul machaaiye ik taur-e-dah-sadi thaa jo be-taur ho gayaa ab jantari bajaaiye taarikh gaaiye ik laal-qila thaa jo miyaan zard paD gayaa ab rang-rez kaun se kis jaa se laaiye shaair hai aap yaani ki saste latif-go rishton ko dil se roiye sab ko hansaaiye jo haalaton kaa daur thaa vo to guzar gayaa dil ko jalaa chuke hain so ab ghar jalaaiye ab kyaa fareb dijiye aur kis ko dijiye ab kyaa fareb khaaiye aur kis se khaaiye hai yaad par madaar mere kaarobaar kaa hai arz aap mujh ko bahut yaad aaiye bas filon kaa bojh uThaayaa karein janaab misra ye 'jaun' kaa hai ise mat uThaaiye"
Jaun EliyaJaun Eliya
Quote
"ham to jaise vahaan ke the hi nahin be-amaan the amaan ke the hi nahin ham ki hain teri daastaan yaksar ham tiri daastaan ke the hi nahin un ko aandhi mein hi bikharnaa thaa baal o par aashiyaan ke the hi nahin ab hamaaraa makaan kis kaa hai ham to apne makaan ke the hi nahin ho tiri khaak-e-aastaan pe salaam ham tire aastaan ke the hi nahin ham ne ranjish mein ye nahin sochaa kuchh sukhan to zabaan ke the hi nahin dil ne Daalaa thaa darmiyaan jin ko log vo darmiyaan ke the hi nahin us gali ne ye sun ke sabr kiyaa jaane vaale yahaan ke the hi nahin"
Jaun EliyaJaun Eliya

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb