SHAWORDS

mukhDaa vo but jidhar karegaa — Ghamgeen Dehlvi

"mukhDaa vo but jidhar karegaa banda sajda udhar karegaa karnaa ho jise ki khaana viraan dil mein tire vo ghar karegaa vo lutf uThaaegaa safar kaa aap-apne mein jo safar karegaa vaaiz ye sukhan tiraa kabhi aah ham mein bhi kuchh asar karegaa ai shaikh tujhe buton se inkaar vallaah bahut zarar karegaa ho jis ko tamaam shab sar-e-shaam kyaa vasl mein vo sahar karegaa 'ghamgin' jo baiThe us ke dar par vo us ko na dar-ba-dar karegaa"
Urdu

مکھڑا وہ بت جدھر کرے گا بندہ سجدہ ادھر کرے گا کرنا ہو جسے کہ خانہ ویراں دل میں ترے وہ گھر کرے گا وہ لطف اٹھائے گا سفر کا آپ اپنے میں جو سفر کرے گا واعظ یہ سخن ترا کبھی آہ ہم میں بھی کچھ اثر کرے گا اے شیخ تجھے بتوں سے انکار واللہ بہت ضرر کرے گا ہو جس کو تمام شب سر شام کیا وصل میں وہ سحر کرے گا غمگیںؔ جو بیٹھے اس کے در پر وہ اس کو نہ در بدر کرے گا

Hindi

मुखड़ा वो बुत जिधर करेगा बंदा सज्दा उधर करेगा करना हो जिसे कि ख़ाना वीराँ दिल में तिरे वो घर करेगा वो लुत्फ़ उठाएगा सफ़र का आप-अपने में जो सफ़र करेगा वाइज़ ये सुख़न तिरा कभी आह हम में भी कुछ असर करेगा ऐ शैख़ तुझे बुतों से इंकार वल्लाह बहुत ज़रर करेगा हो जिस को तमाम शब सर-ए-शाम क्या वस्ल में वो सहर करेगा 'ग़मगीं' जो बैठे उस के दर पर वो उस को न दर-ब-दर करेगा

mukhḌā vo but jidhar karegā
G
Ghamgeen Dehlvi
Ghamgeen Dehlvi
poet19 quotes

More by Ghamgeen Dehlvi

View all →
Quote
"us shoala-ru se jab se miri aankh jaa lagi kyaa jaane tab se siine mein kyaa aag aa lagi kaabe mein vo zuhur hai jo but-kade mein hai ai shaikh munsifi se tu kahiyo khudaa-lagi paa tak bhi dastaras na ho mujh ko ye rashk hai aur tere haath mein rahe qaatil hinaa lagi dushnaam tum ne mujh ko jo di to main khush huaa aur main ne di duaa to tujhe bad-duaa lagi vo ghuncha-lab jo khanda-zanaan hai chaman mein aaj shaayad gulon ke khilne ki us ko havaa lagi khvaabida bakht ne vahin bedaar kar diyaa tere khayaal mein jo ye aankh ik zaraa lagi 'ghamgin' jo ek aan pe tere adaa huaa kyaa khush adaa use tiri ai khush-adaa lagi"
G
Ghamgeen Dehlvi
Quote
"us ke kuche mein gayaa main so phir aayaa na gayaa main vahaan aap ko DhunDaa to main paayaa na gayaa gum huaa dil mire pahlu se ki paayaa na gayaa shaayad us kuche mein jaa us se phir aayaa na gayaa dam-ba-khud ho ke muaa us ki nazaakat ke sabab aah-o-naala bhi mujhe us ko sunaayaa na gayaa us ne ik roz mein sau baar rulaayaa mujh ko mujh se par us but-e-khush-khu ko manaayaa na gayaa baad ik umar ke kyaa tujh se kahun ai 'ghamgin' haal-e-dil us ne jo puchhaa to sunaayaa na gayaa"
G
Ghamgeen Dehlvi
Quote
"jo na vahm-o-gumaan mein aave kis tarah tere dhyaan mein aave tujh se hamdam rakhun na poshida haal-e-dil gar bayaan mein aave meri ye aarzu hai vaqt-e-marg us ki aavaaz kaan mein aave main na dungaa javaab tu kah le jo ki teri zabaan mein aave ye shab-e-vasl khair se guzre to miri jaan jaan mein aave haae kyaa ho abhi jo ai hamdam vo sanam is makaan mein aave gar khule chashm-e-dil to tujh ko nazar vo hi saare jahaan mein aave us ki taarif kyaa karun 'ghamgin' hal-ataa jis ki shaan mein aave"
G
Ghamgeen Dehlvi
Quote
"us ki surat kaa tasavvur dil mein jab laate hain ham khud-ba-khud apne se hamdam aap ghabraate hain ham hosh gar rahtaa ho tujh ko ham se poshida na rakh jab vo yaan aataa hai ai dil tab kahaan jaate hain ham baiThe baiThe kyuun yakaayak haae dil khoyaa gayaa hamdam is kaa kuchh sabab DhunDe nahin paate hain ham khud-ba-khud kal shab ko vo bole uThaa munh se naqaab jo na dekhaa ho kisi ne mujh ko, dikhlaate hain ham be-sabab ho kar khafaa jab kuchh sunaataa hai vo shokh ji hi ji mein apne uupar haae jhunjhlaate hain ham shaam ko saaqi kabhi aataa hai gar teraa khayaal subh tak bhi hosh mein apne nahin aate hain ham ham ne gham kyaa khaak khaayaa gham ne ham ko khaa liyaa log ai hamdam samajhte hain ki gham khaate hain ham jaam le kar mujh se vo kahtaa hai apne munh ko pher ru-ba-ru yuun tere mai piine se sharmaate hain ham jo kalaam-e-ishq ye hargiz samajhtaa hi nahin dil ko sau sau tarah 'ghamgin' haae samjhaate hain ham"
G
Ghamgeen Dehlvi
Quote
"na puchh hijr mein jo haal ab hamaaraa hai umid-e-vasl hi par in dinon guzaaraa hai na dekhun tujh ko to aataa nahin kuchh aah nazar tu meri putli kaa aankhon ki yaar taaraa hai mujhe jo baam pe shab ko bulaae hai vo maah magar uruuj pe kyaa in dinon sitaaraa hai yaqin jaan tu vaaiz ki diin o duniyaa mein bas us ki sirf mujhe zaat kaa sahaaraa hai ajab tarah se nazar paD gayaa mire hamdam qayaamat aah vo mukhDaa bhi pyaaraa pyaaraa hai mujhe jo dosti hai us ko dushmani mujh se na ikhtiyaar hai us kaa na meraa chaaraa hai kahaa jo main ne pilaate ho bazm mein sab ko magar hamein hi nahin kyaa gunah hamaaraa hai to bole vo ki jise chaahein ham pilaaein sharaab khushi hamaari tiraa is mein kyaa ijaaraa hai gayaa vo parda-nashin jab se apne ghar 'ghamgin' tamaam khalq se dil ko mire kinaaraa hai"
G
Ghamgeen Dehlvi

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil