"kab kahaa tir-e-jigar paar buraa lagtaa hai us ki nazron kaa bhalaa vaar buraa lagtaa hai apne baare mein kahun kuchh to mujhe kahti hai gul ke pahlu mein kabhi khaar buraa lagtaa hai teri galiyon se jo guzraa huun to ab har rasta khvaah kitnaa bhi ho hamvaar buraa lagtaa hai niind ke maare hue dasht-zada khvaabon ko yaar har dida-e-bedaar buraa lagtaa hai tum nahin ho to zamaane ko buraa huun jaise aaine ke binaa zangaar buraa lagtaa hai tujh ko hai 'ilm ki ham jaise junun-zaadon ko koi ho teraa giraftaar buraa lagtaa hai itnaa khaamosh-tabi'at huun azal se 'saadiq' mujh ko har saahib-e-guftaar buraa lagtaa hai"
nafraton ki nai divaar uThaate hue log — Ahtamam Sadiq
"nafraton ki nai divaar uThaate hue log kyaa ajab log hain zindaan banaate hue log teraa har naqsh miTaati hui yaadein teri aur phir mujh ko tiri yaad dilaate hue log kyaa khabar kis ko tire hijr ne bakhshi hai najaat jaane vo kaun the ashkon mein nahaate hue log ab to har-gaam pe har moD pe mil jaate hain dekh kar mujh ko tiraa naam bulaate hue log dhuup mein saaya mile bhi to kahaan se 'saadiq' jal gae phuus ke chhappar ko banaate hue log"
نفرتوں کی نئی دیوار اٹھاتے ہوئے لوگ کیا عجب لوگ ہیں زندان بناتے ہوئے لوگ تیرا ہر نقش مٹاتی ہوئی یادیں تیری اور پھر مجھ کو تری یاد دلاتے ہوئے لوگ کیا خبر کس کو ترے ہجر نے بخشی ہے نجات جانے وہ کون تھے اشکوں میں نہاتے ہوئے لوگ اب تو ہر گام پہ ہر موڑ پہ مل جاتے ہیں دیکھ کر مجھ کو ترا نام بلاتے ہوئے لوگ دھوپ میں سایہ ملے بھی تو کہاں سے صادقؔ جل گئے پھوس کے چھپر کو بناتے ہوئے لوگ
नफ़रतों की नई दीवार उठाते हुए लोग क्या अजब लोग हैं ज़िंदान बनाते हुए लोग तेरा हर नक़्श मिटाती हुई यादें तेरी और फिर मुझ को तिरी याद दिलाते हुए लोग क्या ख़बर किस को तिरे हिज्र ने बख़्शी है नजात जाने वो कौन थे अश्कों में नहाते हुए लोग अब तो हर-गाम पे हर मोड़ पे मिल जाते हैं देख कर मुझ को तिरा नाम बुलाते हुए लोग धूप में साया मिले भी तो कहाँ से 'सादिक़' जल गए फूस के छप्पर को बनाते हुए लोग

More by Ahtamam Sadiq
View all →"ye shikasta saa jo kuchh haal mire andar hai koi to hai ki jo paamaal mire andar hai mere andar thaa tire saath guzaaraa lamha aur ab tanhaa mah-o-saal mire andar hai roz martaa hai koi bhuuk se mere andar aisaa lagtaa hai ki bangaal mire andar hai mere chehre pe koi aur nahin hai chehra mere zaahir kaa khad-o-khaal mire andar hai fikr-dar-fikr jo rah-rah ke ulajh paDtaa huun shiddat-e-gham kaa koi jaal mire andar hai kyaa kahaa jaan miri jaaegi furqat ke taiin yaa'ni vo jo hai miraa kaal mire andar hai sab luTaa kar bhi bharaa rahtaa hai daaman 'saadiq' kyaa ghani hai ye jo kangaal mire andar hai"
"teri mahfil mein jo ham dard ke maare aae ahl-e-dastaar bhi dastaar utaare aae kitni muddat pe miri jhiil ki viraani gai kitni muddat pe yahaan phir se shikaare aae jo sukun the vo samundar ne sabhi dhaar liye aur dariyaaon ke daaman mein kinaare aae us ne is baar nai tarz ki kheli baazi mere gham ab ke nae ruup ko dhaare aae ab udaasi hai na vahshat hai na gham hai na qazaa saans aae bhi to phir kis ke sahaare aae aakhiri saans talak duniyaa nahin aai samajh zindagi ke mujhe ab tak na guzaare aae raqs-e-vahshat vo kiyaa saari hadein TuuT gaiin ik zaraa dil ki taraf se jo ishaare aae is se baDh kar nahin ho saktaa mohabbat kaa subut saans-dar-saans faqat aap pe haare aae naf' nuqsaan ho 'saadiq' to karein bhi tafriq apne hisse to khasaare hi khasaare aae"
"dil ki hasti kaa kyaa huaa hogaa jab koi aaina huaa hogaa pahle rukh ki chamak baDhi hogi phir koi haadisa huaa hogaa mil gayaa 'ishq tujh ko tere saath phir koi mo'jiza huaa hogaa dard bhi ruThaa hai kai din se mujh se kuchh to buraa huaa hogaa kaise kartaa 'adu mujhe mismaar yaar meraa milaa huaa hogaa dekho kyaa ho gayaa mukammal 'ishq dekho kurtaa phaTaa huaa hogaa teraa 'saadiq' shikasta saa hai kahin raaste mein paDaa huaa hogaa"
"jalne lag jaataa hai khvaabon kaa nagar shaam ke baa'd kitnaa mushkil hai ye jazbon kaa safar shaam ke baa'd 'ain-mumkin hai mulaaqaat miri vahshat se aisaa kar tu ki mire dil mein utar shaam ke baa'd hamla-zan hijr ki baabat koi puchhe mujh se lene aae to koi meri khabar shaam ke baa'd din ko to yaar kaa zikr aur hujum-e-yaaraan shaam ho jaaegi is taur magar shaam ke baa'd ik tiraa rog ghuTan aur sulagte saae aise ho jaataa hai ye jism khanDar shaam ke baa'd"
"tu jinhein kahtaa hai aaina-e-sahraai dikhaa main kahin huun ki nahin laa mujhe binaai dikhaa saans ruk jaae miri itni bhi taakhir na kar apne bimaar pe kuchh apni masihaai dikhaa naasehaa dil pe na guzri ho to baatein na banaa jab koi chhoD ke jaae to shakebaai dikhaa soch lo ghar se nikalte hue ab ke 'aashiq puchhte pahle hain aanchal mein tu kyaa laai dikhaa jaanne vaale nazar aae hazaaron lekin is bhare shahr mein koi na shanaasaai dikhaa yunhi to hotaa nahin 'ishq-sahifon kaa nuzul pahle gham jhel yaa phir chashm-e-tamannaai dikhaa sirf daa’von se koi baat nahin ban sakti laa ke 'saadiq' saa koi ik sar-e-saudaai dikhaa"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"kal shab dil-e-aavaara ko siine se nikaalaa ye aakhiri kaafir bhi madine se nikaalaa ye fauj nikalti thi kahaan khaana-e-dil se yaadon ko nihaayat hi qarine se nikaalaa main khuun bahaa kar bhi huaa baagh mein rusvaa us gul ne magar kaam pasine se nikaalaa Thahre hain zar-o-sim ke haqdaar tamaashaai aur maar-e-siyah ham ne dafine se nikaalaa ye soch ke saahil pe safar khatm na ho jaae baahar na kabhi paanv safine se nikaalaa"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"