SHAWORDS

naqaab chehre se mere haTaa rahi hai ghazal — Obaidur Rahman

HomeObaidur RahmanGhazal
"naqaab chehre se mere haTaa rahi hai ghazal hisaar-e-zaat se baahar bulaa rahi hai ghazal ye kaun hai jo bahut be-qaraar hai mujh mein ye kis ke qurb mein yuun kasmasaa rahi hai ghazal vo khol jis mein muqayyad huun TuTne ko hai mujhe bahaar kaa muzhda sunaa rahi hai ghazal vajud kaa huaa jaataa hai falsafa paani rumuz-e-zaat se parde uThaa rahi hai ghazal jo mo'tariz the hue vo bhi mo'tarif us ke har ek daur mein jaadu-numaa rahi hai ghazal sahaa hai khud pe har ik tiir tanz kaa hans kar piyaa hai zahr magar muskuraa rahi hai ghazal hai qadr-daan ko apne ye vajh-e-sarshaari ye haasidon ke dilon ko jalaa rahi hai ghazal ki sirf gul hi nahin khaar se bhi nisbat hai ye aur baat ki baad-e-sabaa rahi hai ghazal kare hai us pe riyaazat ki us kaa husn khule 'obaid' ke liye misl-e-hinaa rahi hai ghazal thaa ek shaghl miraa meri ye ghazal-goi 'obaid' zaat ko ab apni bhaa rahi hai ghazal"
Urdu

نقاب چہرے سے میرے ہٹا رہی ہے غزل حصار ذات سے باہر بلا رہی ہے غزل یہ کون ہے جو بہت بے قرار ہے مجھ میں یہ کس کے قرب میں یوں کسمسا رہی ہے غزل وہ خول جس میں مقید ہوں ٹوٹنے کو ہے مجھے بہار کا مژدہ سنا رہی ہے غزل وجود کا ہوا جاتا ہے فلسفہ پانی رموز ذات سے پردے اٹھا رہی ہے غزل جو معترض تھے ہوئے وہ بھی معترف اس کے ہر ایک دور میں جادو نما رہی ہے غزل سہا ہے خود پہ ہر اک تیر طنز کا ہنس کر پیا ہے زہر مگر مسکرا رہی ہے غزل ہے قدردان کو اپنے یہ وجہ سرشاری یہ حاسدوں کے دلوں کو جلا رہی ہے غزل کہ صرف گل ہی نہیں خار سے بھی نسبت ہے یہ اور بات کہ باد صبا رہی ہے غزل کرے ہے اس پہ ریاضت کہ اس کا حسن کھلے عبیدؔ کے لیے مثل حنا رہی ہے غزل تھا ایک شغل مرا میری یہ غزل گوئی عبیدؔ ذات کو اب اپنی بھا رہی ہے غزل

Hindi

नक़ाब चेहरे से मेरे हटा रही है ग़ज़ल हिसार-ए-ज़ात से बाहर बुला रही है ग़ज़ल ये कौन है जो बहुत बे-क़रार है मुझ में ये किस के क़ुर्ब में यूँ कसमसा रही है ग़ज़ल वो ख़ोल जिस में मुक़य्यद हूँ टूटने को है मुझे बहार का मुज़्दा सुना रही है ग़ज़ल वजूद का हुआ जाता है फ़ल्सफ़ा पानी रुमूज़-ए-ज़ात से पर्दे उठा रही है ग़ज़ल जो मो'तरिज़ थे हुए वो भी मो'तरिफ़ उस के हर एक दौर में जादू-नुमा रही है ग़ज़ल सहा है ख़ुद पे हर इक तीर तंज़ का हँस कर पिया है ज़हर मगर मुस्कुरा रही है ग़ज़ल है क़द्र-दान को अपने ये वज्ह-ए-सरशारी ये हासिदों के दिलों को जला रही है ग़ज़ल कि सिर्फ़ गुल ही नहीं ख़ार से भी निस्बत है ये और बात कि बाद-ए-सबा रही है ग़ज़ल करे है उस पे रियाज़त कि उस का हुस्न खुले 'उबैद' के लिए मिस्ल-ए-हिना रही है ग़ज़ल था एक शग़्ल मिरा मेरी ये ग़ज़ल-गोई 'उबैद' ज़ात को अब अपनी भा रही है ग़ज़ल

naqāb chehre se mere haTā rahī hai ġhazal
Obaidur Rahman
Obaidur Rahman
Obaidur Rahman
poet34 quotes

More by Obaidur Rahman

View all →
Quote
"to ab haalat mein apni yuun bhi tabdili nahin hoti ye miTTi khuun bhi pi kar kabhi giili nahin hoti huaa jaataa hai qudrat ke usulon mein dakhil insaan havaa ab to december mein bhi barfili nahin hoti chalo aankhon se ab ke baat kar ke dekhte hain ham zabaan se baat to hoti hai tafsili nahin hoti vo jo mahsus karti hai bayaan karti hai ab khul kar ghazal pahle zamaane jaisi sharmili nahin hoti hamein hai shauq aisaa Thokaron ko aazmaane kaa ki us rah par nahin chalte jo pathrili nahin hoti sambhal kar ai 'obaid'-e-khush-gumaan rahnaa Thahar kar yaan bilaa maqsad miyaan rassi kabhi Dhili nahin hoti"
Obaidur RahmanObaidur Rahman
Quote
"justuju ke safar mein rahte hain ham ki paiham khabar mein rahte hain ham ko kis ki nazar mein rahnaa thaa aur us ki nazar mein rahte hain aarzu tum hamaari mat karnaa ham duaa ke asar mein rahte hain ham-navaa apnaa koi ban na sakaa yuun to paiham safar mein rahte hain kal talak the charaagh-e-raahguzar bujh gae ham to ghar mein rahte hain juD rahi hai amal se ye duniyaa ham agar aur magar mein rahte hain aib kyunkar hon be-hunar mein 'obaid' aib to baa-hunar mein rahte hain"
Obaidur RahmanObaidur Rahman
Quote
"ghar ke andar bholi-bhaali suratein achchhi lagin muskuraati gul khilaati raunaqein achchhi lagin jab sisakti reingti si zindagi dekhi kahin phir khudaa ki di hui sab nematein achchhi lagin ek dil se dusre dil tak safar karte rahe rahguzaar-e-shauq mein ye hijratein achchhi lagin dhuup ke lambe safar se lauT ke aae jo ghar band kamre mein sukun ki saaatein achchhi lagin dil ki duniyaa hasraton ke dam se hi aabaad hai gaahe gaahe ham ko apni hasratein achchhi lagin jin gharon mein azmat-e-rafta ke raushan the charaagh un ke baam-o-dar hamein un ki chhatein achchhi lagin aib apne chehre kaa kis ko nazar aayaa 'obaid' aaine mein sab ko apni suratein achchhi lagin"
Obaidur RahmanObaidur Rahman
Quote
"shuur tak abhi un ki kahaan rasaai hai abhi to kitne khudaaon ki vaan khudaai hai gumaan-e-tirgi rakhshandagi pe hone lagaa dayaar-e-shab ne ajab daastaan sunaai hai ab is pe duur nikal aae to khafaa kyuun ho ye raah bhi to tumhi ne hamein dikhaai hai kabhi jo mujh se mile vo rahe khamosh magar pas-e-sukut-e-zabaan khuub ham-navaai hai har ek fikr ki tah mein ho jazba-e-khaalis bahut hi sakht taqaazaa-e-paarsaai hai bahut hi khuub ki dariyaa ke paas rahte ho kaho ki pyaas bhi apni kabhi bujhaai hai jo khud hi jaada-o-manzil se naa-balad hai 'obaid' ajiib baat yahaan us ki rahnumaai hai"
Obaidur RahmanObaidur Rahman
Quote
"apnaa muhaasba kabhi karne nahin diyaa khud-biniyon ne ham ko sanvarne nahin diyaa haalaat ne agarche sujhaai gadaagari meri anaa ne mujh ko bikharne nahin diyaa tufaan se khelne kaa rahaa shauq umr bhar saahil pe jis ne mujh ko utarne nahin diyaa almaariyon mein qaid rahaa apnaa saaraa ilm qalb-o-nazar ko ham ne nikharne nahin diyaa duniyaa se kab kaa uTh gayaa hotaa main ai sanam lekin tire khayaal ne marne nahin diyaa manzil to mere saamne aati rahi 'obaid' josh-e-junun ne mujh ko Thaharne nahin diyaa"
Obaidur RahmanObaidur Rahman
Quote
"gumrahi kaa miri saamaan huaa jaataa hai raasta ziist kaa aasaan huaa jaataa hai ik taraf ruuh ki parvaaz ko jaise tayyaar ik taraf jism ki be-jaan huaa jaataa hai dasht-e-ghurbat hai ki aabaad hamaare dam se ghar kaa aangan hai ki viraan huaa jaataa hai kyuun na phir dhuup bhi ban jaae ghaTaa jab ham par aap kaa saaya-e-mizhgaan huaa jaataa hai kah diyaa aap ne kyaa kaan mein chupke se ise dil mein barpaa mire haijaan huaa jaataa hai aap ki meri hi ghazlon ki hain katran saari jin se vo saahab-e-divaan huaa jaataa hai di hai chupke se 'obaid' us ne labon par dastak shor barpaa tah-e-shiryaan huaa jaataa hai"
Obaidur RahmanObaidur Rahman

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri