SHAWORDS

nigaah-e-naaz ne parde uThaae hain kyaa kyaa — Firaq Gorakhpuri

"nigaah-e-naaz ne parde uThaae hain kyaa kyaa hijaab ahl-e-mohabbat ko aae hain kyaa kyaa jahaan mein thi bas ik afvaah tere jalvon ki charaagh-e-dair-o-haram jhilmilaae hain kyaa kyaa do-chaar barq-e-tajalli se rahne vaalon ne fareb narm-nigaahi ke khaae hain kyaa kyaa dilon pe karte hue aaj aati jaati choT tiri nigaah ne pahlu bachaae hain kyaa kyaa nisaar nargis-e-mai-gun ki aaj paimaane labon tak aae hue thartharaae hain kyaa kyaa vo ik zaraa si jhalak barq-e-kam-nigaahi ki jigar ke zakhm-e-nihaan muskuraae hain kyaa kyaa charaagh-e-tur jale aaina-dar-aaina hijaab barq-e-adaa ne uThaae hain kyaa kyaa ba-qadr-e-zauq-e-nazar did-e-husn kyaa ho magar nigaah-e-shauq mein jalve samaae hain kyaa kyaa kahin charaagh kahin gul kahin dil-e-barbaad khiraam-e-naaz ne fitne uThaae hain kyaa kyaa taghaaful aur baDhaa us ghazaal-e-raanaa kaa fusun-e-gham ne bhi jaadu jagaae hain kyaa kyaa hazaar fitna-e-bedaar khvaab-e-rangin mein chaman mein ghuncha-e-gul-rang laae hain kyaa kyaa tire khulus-e-nihaan kaa to aah kyaa kahnaa suluk uchaTTe bhi dil mein samaae hain kyaa kyaa nazar bachaa ke tire ishva-haa-e-pinhaan ne dilon mein dard-e-mohabbat uThaae hain kyaa kyaa payaam-e-husn payaam-e-junun payaam-e-fanaa tiri nigah ne fasaane sunaae hain kyaa kyaa tamaam husn ke jalve tamaam mahrumi bharam nigaah ne apne ganvaae hain kyaa kyaa 'firaaq' raah-e-vafaa mein subuk-ravi teri baDe-baDon ke qadam Dagmagaae hain kyaa kyaa"
Urdu

نگاہ ناز نے پردے اٹھائے ہیں کیا کیا حجاب اہل محبت کو آئے ہیں کیا کیا جہاں میں تھی بس اک افواہ تیرے جلووں کی چراغ دیر و حرم جھلملائے ہیں کیا کیا دو چار برق تجلی سے رہنے والوں نے فریب نرم نگاہی کے کھائے ہیں کیا کیا دلوں پہ کرتے ہوئے آج آتی جاتی چوٹ تری نگاہ نے پہلو بچائے ہیں کیا کیا نثار نرگس مے گوں کہ آج پیمانے لبوں تک آئے ہوئے تھرتھرائے ہیں کیا کیا وہ اک ذرا سی جھلک برق کم نگاہی کی جگر کے زخم نہاں مسکرائے ہیں کیا کیا چراغ طور جلے آئنہ در آئینہ حجاب برق ادا نے اٹھائے ہیں کیا کیا بقدر ذوق نظر دید حسن کیا ہو مگر نگاہ شوق میں جلوے سمائے ہیں کیا کیا کہیں چراغ کہیں گل کہیں دل برباد خرام ناز نے فتنے اٹھائے ہیں کیا کیا تغافل اور بڑھا اس غزال رعنا کا فسون غم نے بھی جادو جگائے ہیں کیا کیا ہزار فتنۂ بیدار خواب رنگیں میں چمن میں غنچۂ گل رنگ لائے ہیں کیا کیا ترے خلوص نہاں کا تو آہ کیا کہنا سلوک اچٹے بھی دل میں سمائے ہیں کیا کیا نظر بچا کے ترے عشوہ ہائے پنہاں نے دلوں میں درد محبت اٹھائے ہیں کیا کیا پیام حسن پیام جنوں پیام فنا تری نگہ نے فسانے سنائے ہیں کیا کیا تمام حسن کے جلوے تمام محرومی بھرم نگاہ نے اپنے گنوائے ہیں کیا کیا فراقؔ راہ وفا میں سبک روی تیری بڑے بڑوں کے قدم ڈگمگائے ہیں کیا کیا

Hindi

निगाह-ए-नाज़ ने पर्दे उठाए हैं क्या क्या हिजाब अहल-ए-मोहब्बत को आए हैं क्या क्या जहाँ में थी बस इक अफ़्वाह तेरे जल्वों की चराग़-ए-दैर-ओ-हरम झिलमिलाए हैं क्या क्या दो-चार बर्क़-ए-तजल्ली से रहने वालों ने फ़रेब नर्म-निगाही के खाए हैं क्या क्या दिलों पे करते हुए आज आती जाती चोट तिरी निगाह ने पहलू बचाए हैं क्या क्या निसार नर्गिस-ए-मय-गूँ कि आज पैमाने लबों तक आए हुए थरथराए हैं क्या क्या वो इक ज़रा सी झलक बर्क़-ए-कम-निगाही की जिगर के ज़ख़्म-ए-निहाँ मुस्कुराए हैं क्या क्या चराग़-ए-तूर जले आइना-दर-आईना हिजाब बर्क़-ए-अदा ने उठाए हैं क्या क्या ब-क़द्र-ए-ज़ौक़-ए-नज़र दीद-ए-हुस्न क्या हो मगर निगाह-ए-शौक़ में जल्वे समाए हैं क्या क्या कहीं चराग़ कहीं गुल कहीं दिल-ए-बर्बाद ख़िराम-ए-नाज़ ने फ़ित्ने उठाए हैं क्या क्या तग़ाफ़ुल और बढ़ा उस ग़ज़ाल-ए-रअना का फ़ुसून-ए-ग़म ने भी जादू जगाए हैं क्या क्या हज़ार फ़ित्ना-ए-बेदार ख़्वाब-ए-रंगीं में चमन में ग़ुंचा-ए-गुल-रंग लाए हैं क्या क्या तिरे ख़ुलूस-ए-निहाँ का तो आह क्या कहना सुलूक उचटटे भी दिल में समाए हैं क्या क्या नज़र बचा के तिरे इश्वा-हा-ए-पिन्हाँ ने दिलों में दर्द-ए-मोहब्बत उठाए हैं क्या क्या पयाम-ए-हुस्न पयाम-ए-जुनूँ पयाम-ए-फ़ना तिरी निगह ने फ़साने सुनाए हैं क्या क्या तमाम हुस्न के जल्वे तमाम महरूमी भरम निगाह ने अपने गँवाए हैं क्या क्या 'फ़िराक़' राह-ए-वफ़ा में सुबुक-रवी तेरी बड़े-बड़ों के क़दम डगमगाए हैं क्या क्या

nigāh-e-nāz ne parde uThā.e haiñ kyā kyā
Firaq Gorakhpuri
Firaq Gorakhpuri
Firaq Gorakhpuri
poet251 quotes

More by Firaq Gorakhpuri

View all →
Quote
"daur-e-aaghaaz-e-jafaa dil kaa sahaaraa niklaa hausla kuchh na hamaaraa na tumhaaraa niklaa teraa naam aate hi sakte kaa thaa 'aalam mujh par jaane kis tarah ye mazkur dobaaraa niklaa hosh jaataa hai jigar jaataa hai dil jaataa hai parde hi parde mein kyaa teraa ishaaraa niklaa hai tire kashf-o-karaamaat ki duniyaa qaail tujh se ai dil na magar kaam hamaaraa niklaa kitne saffaak sar-e-qatl-gah-e-aalam the laakhon mein bas vahi allaah kaa pyaaraa niklaa ibrat-angez hai kyaa us ki javaan-margi bhi haae vo dil jo hamaaraa na tumhaaraa niklaa 'ishq ki lau se farishton ke bhi par jalte hain rashk-e-khurshid-e-qayaamat ye sharaaraa niklaa sar-ba-sar be-sar-o-saamaan jise samjhe the vo dil rashk-e-jamshed-o-kai-o-khusrau-o-daaraa niklaa rone vaale hue chup hijr ki duniyaa badli sham' be-nur hui subh kaa taaraa niklaa ungliyaan uTThin 'firaaq'-e-vatan-aavaara par aaj jis samt se vo dard kaa maaraa niklaa"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"sunaa to hai ki kabhi be-niyaaz-e-gham thi hayaat dilaai yaad nigaahon ne teri kab ki baat zamaan makaan hai faqat madd-o-jazr-e-josh-e-hayaat bas ek mauj ki hain jhalkiyaan qaraar-o-sabaat hayaat ban gai thi jin mein ek khvaab-e-hayaat are davaam-o-abad the vahi to kuchh lamhaat hayaat-e-dozakhiyaan bhi tamaam mubham hai azaab bhi na mayassar huaa kahaan ki najaat tiri nigaah ki subhein nigaah ki shaamein harim-e-raaz ye duniyaa jahaan na dan hain na raat bas ik sharaab-e-kuhan ke karishme hain saaqi nae zamaane nai mastiyaan nai barsaat kisi pe zulm buraa hai magar ye kahtaa huun ki aadmi pe ho ehsaan aadmi haihaat sukut-e-raaz vahi hai jo daastaan ban jaae nigaah-e-naaz vahi jo nikaale baat mein baat gham-o-nishaat mohabbat ki chhoD de laalach har ik se uThte nahin ye azaab ye barkaat tamaam aks hai duniyaa tamaam aks adam kahaan tak aaina-dar-aaina hayaat-o-mamaat fazaa mein mahki hui chaandni ki naghma-e-raaz ki utrein sina-e-shaair mein jis tarah naghmaat bas ek raaz-e-tasalsul bas ik tasalsul-e-raaz kahaan pahunch ke hui khatm bahs-e-zaat-o-sifaat chamakte dard khile chehre muskuraate ashk sajaai jaaegi ab tarz-e-nau se bazm-e-hayaat jise sab ahl-e-jahaan zindagi samajhte hain kabhi kabhi to mile aisi zindagi se najaat agar khudaa bhi mile to na le ki o naadaan hai tu hi kaaba-e-din tu hi qibla-e-haajaat tamaam khastagi-o-maandgi hai aalam-e-hijr thake thake se ye taare thaki thaki si ye raat tiri ghazal to nai ruuh phunk deti hai 'firaaq' der se chhuTi hui hai nabz-e-hayaat"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"hijr-o-visaal-e-yaar kaa parda uThaa diyaa khud baDh ke ishq ne mujhe meraa pataa diyaa gard-o-ghubaar-e-hasti-e-faani uDaa diyaa ai kimiyaa-e-ishq mujhe kyaa banaa diyaa vo saamne hai aur nazar se chhupaa diyaa ai ishq-e-be-hijaab mujhe kyaa dikhaa diyaa vo shaan-e-khaamushi ki bahaarein hain muntazir vo rang-e-guftugu ki gulistaan banaa diyaa dam le rahi thiin husn ki jab sehr-kaariyaan in vaqfa-haa-e-kufr ko imaan banaa diyaa maalum kuchh mujhi ko hain un ki ravaaniyaan jin qatra-haa-e-ashk ko dariyaa banaa dayaa ik barq-e-be-qaraar thi tamkin-e-husn bhi jis vaqt ishq ko gham-e-sabr-aazmaa diyaa saaqi mujhe bhi yaad hain vo tishna-kaamiyaan jin ko harif-e-saaghar-o-minaa banaa diyaa maalum hai haqiqat-e-gham-haa-e-rozgaar duniyaa ko tere dard ne duniyaa banaa diyaa ai shokhi-e-nigaah-e-karam muddaton ke baad khvaab-e-giraan-e-gham se mujhe kyuun jagaa diyaa kuchh shorishein taghaaful-e-pinhaan mein thiin jinhein hangaama-zaar-e-hashr-e-tamannaa banaa diyaa baDhtaa hi jaa rahaa hai jamaal-e-nazar-fareb husn-e-nazar ko husn-e-khud-aaraa banaa diyaa phir dekhnaa nigaah laDi kis se ishq ki gar husn ne hijaab-e-taghaaful uThaa diyaa jab khuun ho chukaa dil-e-hasti-e-etibaar kuchh dard bach rahe jinhein insaan banaa diyaa gum-karda-e-vafur-e-gham-e-intizaar huun tu kyaa chhupaa ki mujh ko mujhi se chhupaa diyaa raat ab harif-e-subh-e-qayaamat hi kyuun na ho jo kuchh bhi ho us aankh ko ab to jagaa diyaa ab main huun aur lutf-o-karam ke takallufaat ye kyuun hijaab-e-ranjish-e-be-jaa banaa diyaa thi yuun to shaam-e-hijr magar pichhli raat ko vo dard uThaa 'firaaq' ki main muskuraa diyaa"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"haath aae to vahi daaman-e-jaanaan ho jaae chhuT jaae to vahi apnaa garebaan ho jaae ishq ab bhi hai vo mahram-e-be-gaana-numaa husn yuun laakh chhupe laakh numaayaan ho jaae hosh-o-ghaflat se bahut duur hai kaifiyyat-e-ishq us ki har be-khabari manzil-e-irfaan ho jaae yaad aati hai jab apni to taDap jaataa huun meri hasti tiraa bhulaa havaa paimaan ho jaae aankh vo hai jo tiri jalva-gah-e-naaz bane dil vahi hai jo saraapaa tiraa armaan ho jaae paak-baazaan-e-mohabbat mein jo bebaaki hai husn gar us ko samajh le to pashemaan ho jaae sahl ho kar hui dushvaar mohabbat teri use mushkil jo banaa lein to kuchh aasaan ho jaae ishq phir ishq hai jis ruup mein jis bhes mein ho ishrat-e-vasl bane yaa gham-e-hijraan ho jaae kuchh mudaavaa bhi ho majruh dilon kaa ai dost marham-e-zakhm tiraa jaur-pashemaan ho jaae ye bhi sach hai koi ulfat mein pareshaan kyuun ho ye bhi sach hai koi kyunkar na pareshaan ho jaae ishq ko arz-e-tamannaa mein bhi laakhon pas-o-pesh husn ke vaaste inkaar bhi aasaan ho jaae jhilmilaati hai sar-e-bazm-e-jahaan sham-e-khudi jo ye bujh jaae charaagh-e-rah-e-irfaan ho jaae sar-e-shorida diyaa dasht-o-bayaabaan bhi diye ye miri khubi-e-qismat ki vo zindaan ho jaae uqda-e-ishq ajab uqda-e-mohmal hai 'firaaq' kabhi laa-hal kabhi mushkil kabhi aasaan ho jaae"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"ab daur-e-aasmaan hai na daur-e-hayaat hai ai dard-e-hijr tu hi bataa kitni raat hai har kaaenaat se ye alag kaaenaat hai hairat-saraa-e-ishq mein din hai na raat hai jiinaa jo aa gayaa to ajal bhi hayaat hai aur yuun to umr-e-khizr bhi kyaa be-sabaat hai kyuun intihaa-e-hosh ko kahte hain be-khudi khurshid hi ki aakhiri manzil to raat hai hasti ko jis ne zalzala-saamaan banaa diyaa vo dil qaraar paae muqaddar ki baat hai ye mushagaafiyaan hain giraan tab-e-ishq par kis ko dimaagh-e-kaavish-e-zaat-o-sifaat hai toDaa hai laa-makaan ki hadon ko bhi ishq ne zindaan-e-aql teri to kyaa kaaenaat hai gardun sharaar-e-barq-e-dil-e-be-qaraar dekh jin se ye teri taaron bhari raat raat hai gum ho ke har jagah hain za-khud raftagaan-e-ishq un ki bhi ahl-e-kashf-o-karaamaat zaat hai hasti ba-juz fanaa-e-musalsal ke kuchh nahin phir kis liye ye fikr-e-qaraar-o-sabaat hai us jaan-e-dosti kaa khulus-e-nihaan na puchh jis kaa sitam bhi ghairat-e-sad-iltifaat hai yuun to hazaar dard se rote hain bad-nasib tum dil dukhaao vaqt-e-musibat to baat hai unvaan ghaflaton ke hain qurbat ho yaa visaal bas fursat-e-hayaat 'firaaq' ek raat hai"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil