SHAWORDS

maut ik giit raat gaati thi — Firaq Gorakhpuri

"maut ik giit raat gaati thi zindagi jhuum jhuum jaati thi kabhi divaane ro bhi paDte the kabhi teri bhi shab aati thi zikr thaa rang-o-bu kaa aur dil mein teri tasvir utarti jaati thi the na aflaak gosh-bar-aavaaz be-khudi daastaan sunaati thi jalva-gar ho rahaa thaa koi udhar dhuup idhar phiki paDti jaati thi hama-tan-gosh zindagi thi 'firaaq' maut dhime suron mein gaati thi"
Urdu

موت اک گیت رات گاتی تھی زندگی جھوم جھوم جاتی تھی کبھی دیوانے رو بھی پڑتے تھے کبھی تیری بھی یاد آتی تھی ذکر تھا رنگ و بو کا اور دل میں تیری تصویر اترتی جاتی تھی تھے نہ افلاک گوش بر آواز بے خودی داستاں سناتی تھی جلوہ گر ہو رہا تھا کوئی ادھر دھوپ ادھر پھیکی پڑتی جاتی تھی ہمہ تن گوش زندگی تھی فراقؔ موت دھیمے سروں میں گاتی تھی

Hindi

मौत इक गीत रात गाती थी ज़िंदगी झूम झूम जाती थी कभी दीवाने रो भी पड़ते थे कभी तेरी भी याद आती थी ज़िक्र था रंग-ओ-बू का और दिल में तेरी तस्वीर उतरती जाती थी थे न अफ़्लाक गोश-बर-आवाज़ बे-ख़ुदी दास्ताँ सुनाती थी जल्वा-गर हो रहा था कोई उधर धूप इधर फीकी पड़ती जाती थी हमा-तन-गोश ज़िंदगी थी 'फ़िराक़' मौत धीमे सुरों में गाती थी

maut ik giit raat gaatī thī
Firaq Gorakhpuri
Firaq Gorakhpuri
Firaq Gorakhpuri
poet251 quotes

More by Firaq Gorakhpuri

View all →
Quote
"daur-e-aaghaaz-e-jafaa dil kaa sahaaraa niklaa hausla kuchh na hamaaraa na tumhaaraa niklaa teraa naam aate hi sakte kaa thaa 'aalam mujh par jaane kis tarah ye mazkur dobaaraa niklaa hosh jaataa hai jigar jaataa hai dil jaataa hai parde hi parde mein kyaa teraa ishaaraa niklaa hai tire kashf-o-karaamaat ki duniyaa qaail tujh se ai dil na magar kaam hamaaraa niklaa kitne saffaak sar-e-qatl-gah-e-aalam the laakhon mein bas vahi allaah kaa pyaaraa niklaa ibrat-angez hai kyaa us ki javaan-margi bhi haae vo dil jo hamaaraa na tumhaaraa niklaa 'ishq ki lau se farishton ke bhi par jalte hain rashk-e-khurshid-e-qayaamat ye sharaaraa niklaa sar-ba-sar be-sar-o-saamaan jise samjhe the vo dil rashk-e-jamshed-o-kai-o-khusrau-o-daaraa niklaa rone vaale hue chup hijr ki duniyaa badli sham' be-nur hui subh kaa taaraa niklaa ungliyaan uTThin 'firaaq'-e-vatan-aavaara par aaj jis samt se vo dard kaa maaraa niklaa"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"sunaa to hai ki kabhi be-niyaaz-e-gham thi hayaat dilaai yaad nigaahon ne teri kab ki baat zamaan makaan hai faqat madd-o-jazr-e-josh-e-hayaat bas ek mauj ki hain jhalkiyaan qaraar-o-sabaat hayaat ban gai thi jin mein ek khvaab-e-hayaat are davaam-o-abad the vahi to kuchh lamhaat hayaat-e-dozakhiyaan bhi tamaam mubham hai azaab bhi na mayassar huaa kahaan ki najaat tiri nigaah ki subhein nigaah ki shaamein harim-e-raaz ye duniyaa jahaan na dan hain na raat bas ik sharaab-e-kuhan ke karishme hain saaqi nae zamaane nai mastiyaan nai barsaat kisi pe zulm buraa hai magar ye kahtaa huun ki aadmi pe ho ehsaan aadmi haihaat sukut-e-raaz vahi hai jo daastaan ban jaae nigaah-e-naaz vahi jo nikaale baat mein baat gham-o-nishaat mohabbat ki chhoD de laalach har ik se uThte nahin ye azaab ye barkaat tamaam aks hai duniyaa tamaam aks adam kahaan tak aaina-dar-aaina hayaat-o-mamaat fazaa mein mahki hui chaandni ki naghma-e-raaz ki utrein sina-e-shaair mein jis tarah naghmaat bas ek raaz-e-tasalsul bas ik tasalsul-e-raaz kahaan pahunch ke hui khatm bahs-e-zaat-o-sifaat chamakte dard khile chehre muskuraate ashk sajaai jaaegi ab tarz-e-nau se bazm-e-hayaat jise sab ahl-e-jahaan zindagi samajhte hain kabhi kabhi to mile aisi zindagi se najaat agar khudaa bhi mile to na le ki o naadaan hai tu hi kaaba-e-din tu hi qibla-e-haajaat tamaam khastagi-o-maandgi hai aalam-e-hijr thake thake se ye taare thaki thaki si ye raat tiri ghazal to nai ruuh phunk deti hai 'firaaq' der se chhuTi hui hai nabz-e-hayaat"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"hijr-o-visaal-e-yaar kaa parda uThaa diyaa khud baDh ke ishq ne mujhe meraa pataa diyaa gard-o-ghubaar-e-hasti-e-faani uDaa diyaa ai kimiyaa-e-ishq mujhe kyaa banaa diyaa vo saamne hai aur nazar se chhupaa diyaa ai ishq-e-be-hijaab mujhe kyaa dikhaa diyaa vo shaan-e-khaamushi ki bahaarein hain muntazir vo rang-e-guftugu ki gulistaan banaa diyaa dam le rahi thiin husn ki jab sehr-kaariyaan in vaqfa-haa-e-kufr ko imaan banaa diyaa maalum kuchh mujhi ko hain un ki ravaaniyaan jin qatra-haa-e-ashk ko dariyaa banaa dayaa ik barq-e-be-qaraar thi tamkin-e-husn bhi jis vaqt ishq ko gham-e-sabr-aazmaa diyaa saaqi mujhe bhi yaad hain vo tishna-kaamiyaan jin ko harif-e-saaghar-o-minaa banaa diyaa maalum hai haqiqat-e-gham-haa-e-rozgaar duniyaa ko tere dard ne duniyaa banaa diyaa ai shokhi-e-nigaah-e-karam muddaton ke baad khvaab-e-giraan-e-gham se mujhe kyuun jagaa diyaa kuchh shorishein taghaaful-e-pinhaan mein thiin jinhein hangaama-zaar-e-hashr-e-tamannaa banaa diyaa baDhtaa hi jaa rahaa hai jamaal-e-nazar-fareb husn-e-nazar ko husn-e-khud-aaraa banaa diyaa phir dekhnaa nigaah laDi kis se ishq ki gar husn ne hijaab-e-taghaaful uThaa diyaa jab khuun ho chukaa dil-e-hasti-e-etibaar kuchh dard bach rahe jinhein insaan banaa diyaa gum-karda-e-vafur-e-gham-e-intizaar huun tu kyaa chhupaa ki mujh ko mujhi se chhupaa diyaa raat ab harif-e-subh-e-qayaamat hi kyuun na ho jo kuchh bhi ho us aankh ko ab to jagaa diyaa ab main huun aur lutf-o-karam ke takallufaat ye kyuun hijaab-e-ranjish-e-be-jaa banaa diyaa thi yuun to shaam-e-hijr magar pichhli raat ko vo dard uThaa 'firaaq' ki main muskuraa diyaa"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"haath aae to vahi daaman-e-jaanaan ho jaae chhuT jaae to vahi apnaa garebaan ho jaae ishq ab bhi hai vo mahram-e-be-gaana-numaa husn yuun laakh chhupe laakh numaayaan ho jaae hosh-o-ghaflat se bahut duur hai kaifiyyat-e-ishq us ki har be-khabari manzil-e-irfaan ho jaae yaad aati hai jab apni to taDap jaataa huun meri hasti tiraa bhulaa havaa paimaan ho jaae aankh vo hai jo tiri jalva-gah-e-naaz bane dil vahi hai jo saraapaa tiraa armaan ho jaae paak-baazaan-e-mohabbat mein jo bebaaki hai husn gar us ko samajh le to pashemaan ho jaae sahl ho kar hui dushvaar mohabbat teri use mushkil jo banaa lein to kuchh aasaan ho jaae ishq phir ishq hai jis ruup mein jis bhes mein ho ishrat-e-vasl bane yaa gham-e-hijraan ho jaae kuchh mudaavaa bhi ho majruh dilon kaa ai dost marham-e-zakhm tiraa jaur-pashemaan ho jaae ye bhi sach hai koi ulfat mein pareshaan kyuun ho ye bhi sach hai koi kyunkar na pareshaan ho jaae ishq ko arz-e-tamannaa mein bhi laakhon pas-o-pesh husn ke vaaste inkaar bhi aasaan ho jaae jhilmilaati hai sar-e-bazm-e-jahaan sham-e-khudi jo ye bujh jaae charaagh-e-rah-e-irfaan ho jaae sar-e-shorida diyaa dasht-o-bayaabaan bhi diye ye miri khubi-e-qismat ki vo zindaan ho jaae uqda-e-ishq ajab uqda-e-mohmal hai 'firaaq' kabhi laa-hal kabhi mushkil kabhi aasaan ho jaae"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"tum ho jahaan ke shaayad main bhi vahaan rahaa huun kuchh tum bhi bhulte ho kuchh main bhi bhultaa huun miTtaa bhi jaa rahaa huun puuraa bhi ho rahaa huun main kis ki aarzu huun main kis kaa muddaaa huun manzil ki yuun to mujh ko koi khabar nahin hai dil mein kisi taraf ko kuchh sochtaa chalaa huun leti hain ulTi saansein jab shaam-e-gham fazaaein us dam fanaa-baqaa ki main nabz dekhtaa huun huun vo shuaa-e-fardaa jo aankh mal rahi hai vo surmagin ufuq par main thartharaa rahaa huun jis se shajar-hajar mein ik ruuh dauD jaae vo saaz-e-sarmadi main ghazlon mein chheDtaa huun"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"ab daur-e-aasmaan hai na daur-e-hayaat hai ai dard-e-hijr tu hi bataa kitni raat hai har kaaenaat se ye alag kaaenaat hai hairat-saraa-e-ishq mein din hai na raat hai jiinaa jo aa gayaa to ajal bhi hayaat hai aur yuun to umr-e-khizr bhi kyaa be-sabaat hai kyuun intihaa-e-hosh ko kahte hain be-khudi khurshid hi ki aakhiri manzil to raat hai hasti ko jis ne zalzala-saamaan banaa diyaa vo dil qaraar paae muqaddar ki baat hai ye mushagaafiyaan hain giraan tab-e-ishq par kis ko dimaagh-e-kaavish-e-zaat-o-sifaat hai toDaa hai laa-makaan ki hadon ko bhi ishq ne zindaan-e-aql teri to kyaa kaaenaat hai gardun sharaar-e-barq-e-dil-e-be-qaraar dekh jin se ye teri taaron bhari raat raat hai gum ho ke har jagah hain za-khud raftagaan-e-ishq un ki bhi ahl-e-kashf-o-karaamaat zaat hai hasti ba-juz fanaa-e-musalsal ke kuchh nahin phir kis liye ye fikr-e-qaraar-o-sabaat hai us jaan-e-dosti kaa khulus-e-nihaan na puchh jis kaa sitam bhi ghairat-e-sad-iltifaat hai yuun to hazaar dard se rote hain bad-nasib tum dil dukhaao vaqt-e-musibat to baat hai unvaan ghaflaton ke hain qurbat ho yaa visaal bas fursat-e-hayaat 'firaaq' ek raat hai"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb