SHAWORDS

nisti ke vahm ne muddat se kar rakkhaa hai tang — Krishna Mohan

HomeKrishna MohanGhazal
"nisti ke vahm ne muddat se kar rakkhaa hai tang raas aataa hi nahin hasti kaa rang ek 'arse se huaa huun be-niyaaz-e-naam-o-nang ab mire dil mein nahin koi umang hai shafaq kaa 'aks tere jism kaa aahang raqs rang kaa markaz hai teraa ang ang husn-e-tahzib-o-tamaddun phuul phal saktaa nahin is jahaan mein jab talak baaqi hai jang dard se kyon bhar na aae karb-e-duniyaa dekh kar 'krishn-mohan' dil nahin hai khisht-o-sang"
Urdu

نیستی کے وہم نے مدت سے کر رکھا ہے تنگ راس آتا ہی نہیں ہستی کا رنگ ایک عرصے سے ہوا ہوں بے نیاز نام و ننگ اب مرے دل میں نہیں کوئی امنگ ہے شفق کا عکس تیرے جسم کا آہنگ رقص رنگ کا مرکز ہے تیرا انگ انگ حسن‌ تہذیب و تمدن پھول پھل سکتا نہیں اس جہاں میں جب تلک باقی ہے جنگ درد سے کیوں بھر نہ آئے کرب دنیا دیکھ کر کرشن موہنؔ دل نہیں ہے خشت و سنگ

Hindi

नीस्ती के वहम ने मुद्दत से कर रख्खा है तंग रास आता ही नहीं हस्ती का रंग एक 'अर्से से हुआ हूँ बे-नियाज़-ए-नाम-ओ-नंग अब मिरे दिल में नहीं कोई उमंग है शफ़क़ का 'अक्स तेरे जिस्म का आहंग रक़्स रंग का मरकज़ है तेरा अंग अंग हुसन-ए-तहज़ीब-ओ-तमद्दुन फूल फल सकता नहीं इस जहाँ में जब तलक बाक़ी है जंग दर्द से क्यों भर न आए कर्ब-ए-दुनिया देख कर 'कृष्ण-मोहन' दिल नहीं है ख़िश्त-ओ-संग

nīstī ke vahm ne muddat se kar rakkhā hai tang
Krishna Mohan
Krishna Mohan
Krishna Mohan
poet39 quotes

More by Krishna Mohan

View all →
Quote
"ai asir-e-yaas kasrat ki hai tujh ko ehtiyaaj khubsurat auraton kaa qurb hai teraa 'ilaaj kaisi mushkil mein hai duniyaa-daar insaan kyaa kare ik taraf khvaahish ki shiddat ik taraf hai lok laaj dosto is haal mein jiinaa paDegaa kab talak zehn-o-dil par ek muddat se hai maayusi kaa raaj ham to us ko maante hain jaante hain us ko mard jo ki dushman se bhi le tausif-o-tahsin kaa khiraaj 'krishn-mohan' hiddat-e-gham se phunkaa hai tan-badan aur mere haal par hanstaa hai ye zaalim samaaj"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"yaas-o-gham mein ai milan ki aas ke aansu chamak 'aql ki zulmat mein ai ehsaas ke jugnu chamak dil rahin-e-yaas hai mahsus hoti hain udaas chaandni shokhi hayaa shabnam adaa khushbu chamak phiki phiki be-maza be-nur si hai zindagi 'aql ki shokhi damak ai husn ke jaadu chamak apni chanchaltaa se mere pyaar ko chamkaa gai tere albele nashile ruup ki dil-ju chamak haar kar tadbir ne taqdir se kah hi diyaa maan bhi jaa main to chamki huun bahut ab tu chamak zindagi mein ho kabhi to koi hangaama bapaa jazba-e-aavaara-o-shokh-e-dil-e-yaksu chamak aise chamkaataa hai qalb-e-zaar ko teraa khayaal jaise dasht-e-tira ko de dida-e-aahu chamak chirnaa hai be-hisi ki gahri zulmat ko tujhe aur abhi is taur se ai dashna-e-abru chamak tere tevar zevar-e-ehsaas hain almaas hain yaad ke kohre mein soz-o-kaavish-e-pahlu chamak ai fusun-e-raaz jalvat-saaz ai khalvat-navaaz pyaar ki aavaaz paa-e-naaz ke ghunghru chamak 'krishn-mohan' ke dukhi man par andheraa chhaa gayaa ruup ki dhuup ai birah ke dard ki daaru chamak"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"milaa ek guuna sukun hamein jo tumhaare hijr mein ro liye zaraa baar-e-qalb subuk huaa kai daagh dard ke dho liye ho nashaat-e-dil ki malaal-e-dil hamein pesh karnaa jamaal-e-dil kabhi hans ke phuul khilaa liye kabhi roke moti piro liye hai rahin gham miri justuju ye hai kaisaa gulshan-e-rang-o-bu yahaan kuchh gulo ki talaash mein kai khaar main ne chubho liye kai umr dauDte-bhaagte rahe yuun to shab ko bhi jaagte kabhi thak gae to Thahar gae kabhi niind aai to so liye sabhi log mast-e-shuur hain ki khudi ke nashshe mein chuur hain koi gham-shanaas nahin yahaan gham-e-dil kisi pe na kholiye ye unhin kaa nuur hai jis mein ham chale hausle se qadam qadam jo sarishk gham ke bahaa liye jo diye vafaa ke sanjo liye"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"maddham ho gae apne sapne be-dam ho gaiin apni talaashein viraan dil mein dafn hain kitni rangin ummidon ki laashein paiham apne ashk bahe hain dil ne kyaa kyaa jaur sahe hain aafaat-e-naagaah ke charke logon ke taa’non ki kharaashein har jaa zikr miri nikhat kaa har jaa mahrumi kaa charchaa duniyaa mein badnaam hui hain qismat se meri parkhaashein husn kaa josh na 'ishq ki garmi mahv hue saare hangaame be-jaan murda sard fasurda ziist ke lamhe barf ki qaashein kis ne meri biptaa rad ki kis ne meraa haath haTaayaa ab kyon sab apne begaane taa'ne dein ilzaam taraashein"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"dui kaa naqsh fanaa ho to lutf aa jaae anaa mein rang-e-ghinaa ho to lutf aa jaae hamaare jazb-e-darun ke liye dil-e-dauraan tamaam madh-o-sanaa ho to lutf aa jaae umang sang rahe zindagi mein rang rahe zamaana dost banaa ho to lutf aa jaae shab-e-visaal ba-roab-e-jamaal kaafir kaa anaa mein siina tanaa ho to lutf aa jaae milan ki shaam badan jaam kaam-ras ho tamaam vo ruuTh kar jo manaa ho to lutf aa jaae ghurur-e-husn mire shoK-e-fitna-saamaan kaa fanaa na ho jo fanaa ho to lutf aa jaae kaDaa safar hai kaDi dhuup hai umangon ki kahin jo saaya ghanaa ho to lutf aa jaae kisi bhi desh mein dharti ne ranj-o-gham sah kar jo koi viir janaa ho to lutf aa jaae khirad kaa ghor andheraa hai man ki chilman mein junun kaa nuur chhanaa ho to lutf aa jaae junun-taraaz koi sher 'krishn' mohan kaa fusun-e-raaz banaa ho to lutf aa jaae"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"hayaat ik silsila hai aashufta-jaaniyon kaa milaa mujhe khuub ye sila jaan-fishaaniyon kaa fareb-deh hai junun baqaa ki nishaaniyon kaa ye ‘aalam-e-aab-o-gil hai ijlaas faaniyon kaa nigaah-afroz kaif-andoz-o-‘aish-aamoz hai ek sail-e-nashaat uThti javaaniyon kaa junun-e-shaa'ir shu'ur-e-'aalim riyaaz-e-‘aabid hai sab ko andaaz apni apni ravaaniyon kaa bashar ke dil mein falak ki nilaahaTon ki aahaT zamin ki halchal fusun samundar ke paaniyon kaa mujhe ye Dar hai kahin na ho shahr-shahr charchaa tiri jafaa ki miri vafaa ki kahaaniyon kaa ye aadmi aadmi ke biich unch-nich yaarab banaa hai ye tafraqa tamaashaa jahaaniyon kaa visaal mein ham the itne madhosh jaante kyaa ki soz-e-hirmaan hai maa-hasal shaadmaaniyon kaa hayaat aur maut hain tiri dilbari ke ghamze tamaashaa-gah hai jahaan tiri dil-sitaaniyon kaa ye garm aansu ye sard aahein hazin nigaahein khayaal rakhnaa miri vafaa ki nishaaniyon kaa vo kaise mere dil-e-shikasta kaa dard jaanein hujum hai jin ki zindagi kaamraaniyon kaa kahaan hai chaahat ki dilkash-o-dil-navaaz ranjish hai tazkira har jagah tiri mehrbaaniyon kaa udaas hairaan shabaab meraa hadaf rahaa hai tumhaari raaton ki dil-shikan sargiraaniyon kaa vo shor uThaa laa-shu’ur ki nannhi bastiyon mein ghurur TuuTaa shu'ur ki raajdhaaniyon kaa panaah deti hai paap ko kyon vishaal dharti vichaar aisaa samajh kaa hai pher gyaaniyon kaa ye kaisi biptaa paDi hai sansaar par ki ai dil na dhiir qaaem na dhyaan baaqi hai dhyaaniyon kaa main us pe shaidaa huaa huun muddat se 'krishn-mohan' jo dil mein ras gholtaa hai shirin-bayaaniyon kaa jadid raahon kaa shokh raahi hai 'krishn-mohan' vo ham-navaa hai nae tamaddun ke baaniyon kaa"
Krishna MohanKrishna Mohan

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud