SHAWORDS

rahaa kartaa hai murgh-e-fahm shaaki — Akbar Allahabadi

"rahaa kartaa hai murgh-e-fahm shaaki nai tahzib ke anDe hain khaaki chhuri se un ki kaTvaa kar falak ne khudaa jaane hamaari naak kyaa ki abhi engine gayaa hai is taraf se kahe deti hai taariki havaa ki rahi raat asia ghaflat mein soti nazar europe ki kaam apnaa kiyaa ki"
Urdu

رہا کرتا ہے مرغ فہم شاکی نئی تہذیب کے انڈے ہیں خاکی چھری سے ان کی کٹوا کر فلک نے خدا جانے ہماری ناک کیا کی ابھی انجن گیا ہے اس طرف سے کہے دیتی ہے تاریکی ہوا کی رہی رات ایشیا غفلت میں سوتی نظر یورپ کی کام اپنا کیا کی

Hindi

रहा करता है मुर्ग़-ए-फ़ह्म शाकी नई तहज़ीब के अंडे हैं ख़ाकी छुरी से उन की कटवा कर फ़लक ने ख़ुदा जाने हमारी नाक क्या की अभी इंजन गया है इस तरफ़ से कहे देती है तारीकी हवा की रही रात एशिया ग़फ़्लत में सोती नज़र यूरोप की काम अपना किया की

rahā kartā hai murġh-e-fahm shākī
Akbar Allahabadi
Akbar Allahabadi
Akbar Allahabadi
poet269 quotes

More by Akbar Allahabadi

View all →
Quote
"fitna uTThe koi yaa ghaat mein dushman baiThe kaar-e-ulfat pe to ab hazrat-e-dil Than baiThe shaikh kaa'be mein kalisaa mein barahman baiThe ham to kuche mein tire maar ke aasan baiThe su-e-daulat nazar aai na jo raah-e-e'zaaz masnad-e-sabr-o-tavakkul hi pe ham tan baiThe huun main vo rind agar hashr mein mulzim Thahrun faisle ke liye huron kaa commission baiThe inqilaab-e-ravish-e-charkh ko dekh ai 'akbar' kal jo the dost mire aaj 'adu ban baiThe hind se aap ko hijrat ho mubaarak 'akbar' ham to gangaa hi pe ab maar ke aasan baiThe"
Akbar AllahabadiAkbar Allahabadi
Quote
"jiine mein ye ghaflat fitrat ne kyon tab'-e-bashar mein daakhil ki marne ki musibat jaanon par kyon qudrat-e-haq ne naazil ki kyon tul-e-amal mein uljhaayaa insaan ne apne daaman ko kyon zulf-e-havas ke phande mein phansti hai tabi'at ghaafil ki kyon hijr ke sadme hote hain kyon murdon pe zinde rote hain kyon jang mein jaanein jaati hain kyon baDhti hai himmat qaatil ki mantiq kaa to daa'vaa ek taraf taaqat ki ye shokhi ek taraf kyaa farq hai khair-o-shar mein yahaan kyaa jaanch hai haqq-o-baatil ki"
Akbar AllahabadiAkbar Allahabadi
Quote
"hasti ke shajar mein jo ye chaaho ki chamak jaao kachche na raho balki kisi rang mein pak jaao main ne kahaa qaail main tasavvuf kaa nahin huun kahne lage is bazm mein aao to thirak jaao main ne kahaa kuchh khauf collector kaa nahin hai kahne lage aa jaaein abhi vo to dubak jaao main ne kahaa varzish ki koi had bhi hai aakhir kahne lage bas is ki yahi had hai ki thak jaao main ne kahaa afkaar se pichhaa nahin chhuTtaa kahne lage tum jaanib-e-mai-khaana lapak jaao main ne kahaa 'akbar' mein koi rang nahin hai kahne lage she'r us ke jo sun lo to phaDak jaao"
Akbar AllahabadiAkbar Allahabadi
Quote
"shikva-e-bedaad se mujh ko to Darnaa chaahiye dil mein lekin aap ko insaaf karnaa chaahiye ho nahin saktaa kabhi hamvaar duniyaa kaa nasheb is gaDhe ko apni hi miTTi se bharnaa chaahiye jam' saamaan-e-khud-aaraai hai lekin ai 'aziz jis ki surat khuub ho us ko sanvarnaa chaahiye 'aashiqi mein khanda-rui saalikon ko hai muhaal hai yahi manzil ki chehre ko utarnaa chaahiye har 'amal teraa hai 'akbar' taabe’-e-‘azm-e-harif jab ye mauqa' ho to bhaai kuchh na karnaa chaahiye"
Akbar AllahabadiAkbar Allahabadi
Quote
"duniyaa mein huun duniyaa kaa talabgaar nahin huun baazaar se guzraa huun kharidaar nahin huun zinda huun magar ziist ki lazzat nahin baaqi har-chand ki huun hosh mein hushyaar nahin huun is khaana-e-hasti se guzar jaaungaa be-laus saaya huun faqat naqsh-ba-divaar nahin huun afsurda huun ibrat se davaa ki nahin haajat gham kaa mujhe ye zoaf hai bimaar nahin huun vo gul huun khizaan ne jise barbaad kiyaa hai uljhun kisi daaman se main vo khaar nahin huun yaa rab mujhe mahfuz rakh us but ke sitam se main us ki inaayat kaa talabgaar nahin huun go daava-e-taqvaa nahin dargaah-e-khudaa mein but jis se hon khush aisaa gunahgaar nahin huun afsurdagi o zoaf ki kuchh had nahin 'akbar' kaafir ke muqaabil mein bhi din-daar nahin huun"
Akbar AllahabadiAkbar Allahabadi

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud