SHAWORDS

rang aur ruup ke pardip mein khone de mujhe — Nasir Shahzad

HomeNasir ShahzadGhazal
"rang aur ruup ke pardip mein khone de mujhe khud ko chaahat ki chaDhi rau mein Dubone de mujhe tu agar khush hai to jaa qaafiya-paimaai kar sher ko ruuh ki laDiyon mein pirone de mujhe priit kaa ant bichhaDnaa hai magar aur abhi apni baahon ke kanval-kund mein sone de mujhe chuum kar is ke madhur honTon ki ras-vant lavein zehn ko nashshon bhari mai se bhigone de mujhe kashT vaajib na sahi kaliyaan to kaanTe hi qubul nai rut mein nae ehsaas ko bone de mujhe teraa rishta hai falak se to zamin ko na ujaaD narm miTTi ki mahak man mein samone de mujhe 'haafiz'-o-'mir' se nisbat bhi bajaa lekin ab khitta-e-paak ki is khaak kaa hone de mujhe yaad aa jaae na jaane use bachpan ki lagan isi jangal mein isi jhiil pe rone de mujhe husn takrim sahi chaahatin taazim sahi haath ab aap shafaq-taab mein dhone de mujhe"
Urdu

رنگ اور روپ کے پردیپ میں کھونے دے مجھے خود کو چاہت کی چڑھی رو میں ڈبونے دے مجھے تو اگر خوش ہے تو جا قافیہ پیمائی کر شعر کو روح کی لڑیوں میں پرونے دے مجھے پریت کا انت بچھڑنا ہے مگر اور ابھی اپنی باہوں کے کنول کنڈ میں سونے دے مجھے چوم کر اس کے مدھر ہونٹوں کی رس ونت لویں ذہن کو نشوں بھری مے سے بھگونے دے مجھے کشٹ واجب نہ سہی کلیاں تو کانٹے ہی قبول نئی رت میں نئے احساس کو بونے دے مجھے تیرا رشتہ ہے فلک سے تو زمیں کو نہ اجاڑ نرم مٹی کی مہک من میں سمونے دے مجھے حافظؔ و میرؔ سے نسبت بھی بجا لیکن اب خطۂ پاک کی اس خاک کا ہونے دے مجھے یاد آ جائے نہ جانے اسے بچپن کی لگن اسی جنگل میں اسی جھیل پہ رونے دے مجھے حسن تکریم سہی چاہتیں تعظیم سہی ہاتھ اب آپ شفق تاب میں دھونے دے مجھے

Hindi

रंग और रूप के प्रदीप में खोने दे मुझे ख़ुद को चाहत की चढ़ी रौ में डुबोने दे मुझे तू अगर ख़ुश है तो जा क़ाफ़िया-पैमाई कर शेर को रूह की लड़ियों में पिरोने दे मुझे प्रीत का अंत बिछड़ना है मगर और अभी अपनी बाहोँ के कँवल-कुंड में सोने दे मुझे चूम कर इस के मधुर होंटों की रस-वन्त लवें ज़ेहन को नश्शों भरी मय से भिगोने दे मुझे कष्ट वाजिब न सही कलियाँ तो काँटे ही क़ुबूल नई रुत में नए एहसास को बोने दे मुझे तेरा रिश्ता है फ़लक से तो ज़मीं को न उजाड़ नर्म मिट्टी की महक मन में समोने दे मुझे 'हाफ़िज़'-ओ-'मीर' से निस्बत भी बजा लेकिन अब ख़ित्ता-ए-पाक की इस ख़ाक का होने दे मुझे याद आ जाए न जाने उसे बचपन की लगन इसी जंगल में इसी झील पे रोने दे मुझे हुस्न तकरीम सही चाहतीं ताज़ीम सही हाथ अब आप शफ़क़-ताब में धोने दे मुझे

rañg aur ruup ke pardīp meñ khone de mujhe
Nasir Shahzad
Nasir Shahzad
Nasir Shahzad
poet69 quotes

More by Nasir Shahzad

View all →
Quote
"dil se husul-e-zar ke sabhi zoam haT gae fikr-e-maaash baDh gai khaanon mein baT gae phir yuun huaa ki mujh se vo yunhi bichhaD gayaa phir yuun huaa ki ziist ke din yunhi kaT gae khenaa sakhi sakhi na sajan ki taraf mujhe lenaa sakhi sakhi mire paanv rapaT gae aaina us ko dekh ke mabhut ho gayaa gul-daan mein gulaab lajaa kar simaT gae akhroT khaaein taapein angeThi pe aag aa raste tamaam gaanv ke kohre se aT gae aane diyaa na mere buzurgon ne haq pe harf maidaan karbalaaon ke laashon se paT gae Daali nadi mein naav na bargad ke niche peing tu kyaa gayaa palaT ke vo sab din palaT gae khaadein lagin to chhoD gaiin khet titliyaan faslein baDhin to Daar parindon ke ghaT gae us se mili nazar to larazne lagaa badan diide sakhi ri dekh ke piritam ko phaT gae tu shaant ho ki teri muraadein huiin saphal baadal garaj-baraj ke jo aae the chhaT gae dekhaa to us ke tan pe gire kevDe ke phuul paanv se aabshaar ke paani lipaT gae"
Nasir ShahzadNasir Shahzad
Quote
"ik aks dil ke taT se be-ikhtiyaar phuTe jab chaand us nagar ki jhilon ke paar phuTe sadqa utaarne ko tere madhur nayan kaa ubhre kai sitaare ghunche hazaar phuTe vo aur main nadi ke naghmon pe bahti naav naav mein us ke mukh se ujlaa nikhaar phuTe kaanon mein ab bhi khankein gajre tire gajar-dam is ghar se jab dhuein kaa niilaa ghubaar phuTe mujh ko jhulaa rahe hain giton ke jhulne mein naghme jo paayalon ke sapnon ke dvaar phuTe us saanvle badan par mahkein khunuk savere un mast ankhDiyon se rangon ki phuvaar phuTe mat ro phir aaungaa main parbat pe tujh se milne jab barf-zaar pighle jab aabshaar phuTe"
Nasir ShahzadNasir Shahzad
Quote
"lahu mein saadh sat ko bhar rahaa huun koi hujra charaaghaan kar rahaa huun jhaTak kar dil se saare lobh laalach yahaan ban-baas mein behtar rahaa huun azaab-e-aakhirat ki baat aage itaab-e-zindagi se Dar rahaa huun miri pahchaan meraa gyaan hijrat sadaa ausaan mein be-ghar rahaa huun koi dekhe na aa kar daagh-e-hasrat badan par oDh kar chaadar rahaa huun mulavvis thaa main har be-rah-ravi mein magar ilzaam tujh par dhar rahaa huun taDapte tan ko miTTi par giraa kar sar-e-sahraa burida-sar rahaa huun darakte rang baadal khvaab khushbu samay ki saj se bahra-var rahaa huun Daraa huun tere khauf-e-be-bahaa se musalle par sar-e-mahshar rahaa huun tiri be-e'tinaai se gilaa kyaa main apne aap par dubhar rahaa huun"
Nasir ShahzadNasir Shahzad
Quote
"hasrat-e-ahd-e-vafaa baaqi hai teri aankhon mein hayaa baaqi hai baat mein kohna rivaayaat kaa lutf haath par rang-e-hinaa baaqi hai abhi haasil nahin zaalim ko davaam abhi duniyaa mein khudaa baaqi hai bujh gayaa gir ke khunuk aab mein chaand sath-e-dariyaa pe sadaa baaqi hai gopiyaan hi kisi gokul mein nahin bansiyon mein to navaa baaqi hai paanv ke niche sarakti hui khaak sar mein masnad ki havaa baaqi hai biich mein raat, bachan, biite milan oT mein jaltaa diyaa baaqi hai dekh ye chaand nadi phuul na jaa rut mein ras shab mein nasha baaqi hai"
Nasir ShahzadNasir Shahzad
Quote
"rabt bhi toDaa bani nit ki talab kaa base bhi patr bhi is ne likhe bheje mujhe sandes bhi chaukhaTaa dil kaa yahaan hai hu bahu tujh saa koi honT bhi aankhein bhi chhab Dhab bhi tujhi saa face bhi ziist ke path par nahin honaa thaa tujh mujh mein milaap har janam mein priit ne dekhe badal kar bhes bhi puut ki saaDi gulaabi aaftaabi jism par laT gundhi choTi ribbon shaanon pe sanvre kes bhi tujh se bichhDe gaanv chhoTaa shahr mein aakar base taj diye sab sangi-saathi tyaag Daalaa des bhi bas asaasa hai yahi ghar kaa yahi ghar ki mataaa sofa ik do bed kitaabein aur ik show kes bhi shaairi mein baazuon ke saath dil bhi shal huaa aakhirash majbur ho kar haar di ye race bhi niche in jharnon pe vaadi mein kise jaa kar milun sang ik sautan ke beri pi gae pardes bhi jaantaa thaa kaun jiite hain yahi kuchh dekhne dil pe sah leinge mohabbat mein birah ki Thes bhi"
Nasir ShahzadNasir Shahzad

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari