SHAWORDS

safar kaa shauq na manzil ki justuju baaqi — Aabid Adeeb

HomeAabid AdeebGhazal
"safar kaa shauq na manzil ki justuju baaqi musaafiron ke badan mein nahin lahu baaqi tamaam raat havaaon kaa gasht jaari thaa savere tak na rahaa koi hu-ba-hu baaqi sabhi tarah se taaaruf to ho gayaa un kaa rahi hai ab to mulaaqaat ru-ba-ru baaqi jo bhiiD bikhre to dekhun talab ye kaisi hai dayaar-e-ghair mein hai kis ki justuju baaqi vahi nazaare vahi garmi-e-sukhan hai magar na hi vo baat na vo tarz-e-guftugu baaqi zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi usi lihaaz kaa 'aabid' malaal hai ham ko rahaa na aaj jo dauraan-e-guftugu baaqi"
Urdu

سفر کا شوق نہ منزل کی جستجو باقی مسافروں کے بدن میں نہیں لہو باقی تمام رات ہواؤں کا گشت جاری تھا سویرے تک نہ رہا کوئی ہو بہ ہو باقی سبھی طرح سے تعارف تو ہو گیا ان کا رہی ہے اب تو ملاقات روبرو باقی جو بھیڑ بکھرے تو دیکھوں طلب یہ کیسی ہے دیار غیر میں ہے کس کی جستجو باقی وہی نظارے وہی گرمئ سخن ہے مگر نہ ہی وہ بات نہ وہ طرز گفتگو باقی زمانہ مجھ سے جدا ہو گیا زمانہ ہوا رہا ہے اب تو بچھڑنے کو مجھ سے تو باقی اسی لحاظ کا عابدؔ ملال ہے ہم کو رہا نہ آج جو دوران گفتگو باقی

Hindi

सफ़र का शौक़ न मंज़िल की जुस्तुजू बाक़ी मुसाफ़िरों के बदन में नहीं लहू बाक़ी तमाम रात हवाओं का गश्त जारी था सवेरे तक न रहा कोई हू-ब-हू बाक़ी सभी तरह से तआ'रुफ़ तो हो गया उन का रही है अब तो मुलाक़ात रू-ब-रू बाक़ी जो भीड़ बिखरे तो देखूँ तलब ये कैसी है दयार-ए-ग़ैर में है किस की जुस्तुजू बाक़ी वही नज़ारे वही गर्मी-ए-सुख़न है मगर न ही वो बात न वो तर्ज़-ए-गुफ़्तुगू बाक़ी ज़माना मुझ से जुदा हो गया ज़माना हुआ रहा है अब तो बिछड़ने को मुझ से तू बाक़ी उसी लिहाज़ का 'आबिद' मलाल है हम को रहा न आज जो दौरान-ए-गुफ़्तुगू बाक़ी

safar kā shauq na manzil kī justujū baaqī
Aabid Adeeb
Aabid Adeeb
Aabid Adeeb
poet18 quotes

More by Aabid Adeeb

View all →
Quote
"giton kaa shahr hai ki nagar soz-o-saaz kaa qalb-e-shikasta aur ye aalam gudaaz kaa chaaron taraf saji hain dukaanein khulus ki chamkaa hai kaarobaar har ik hilaa-saaz kaa vo chaahe khvaab ho ki haqiqat magar kabhi ehsaan uThaaegaa na libaas-e-majaaz kaa jis tarah chaahaa jaae hai chaahaa nahin abhi andesha jaan khaae hai ifshaa-e-raaz kaa bahrupiyaa hai koi phire hai nagar nagar qaatil kaa ruup dhaare kabhi chaarasaaz kaa yuun hanste hanste daar-e-fanaa se chalaa hai vo jaise safar nasib ho arz-e-hijaaz kaa 'aabid' ghamon ki dhuup mein jalnaa hai chaar din bas qissa mukhtasar hai ye umr-e-daraaz kaa"
Aabid AdeebAabid Adeeb
Quote
"sharik-e-aalam-e-kaif-o-surur main bhi thaa ki raat jashn mein tere huzur main bhi thaa ajiib vaqt thaa duniyaa qarib thi mere ghazab ye thaa tire daaman se duur main bhi thaa ghamon ke ghere mein jab raqs kar rahi thi hayaat tamaash-bin ki tarah be-shuur main bhi thaa na ruknaa raah mein shart-e-safar mein shaamil thaa thakan se varna bahut chuur chuur main bhi thaa utar rahaa thaa lahu kis balaa kaa aankhon mein tire khayaal mein us dam zarur main bhi thaa guzarte vaqt ne pahre baiThaa diye 'aabid' khataaein un ki na thiin be-qusur main bhi thaa"
Aabid AdeebAabid Adeeb
Quote
"kaar-naama ai gham-e-dil kuchh tiraa ye kam nahin bah gae aankhon se dariyaa aur aankhein nam nahin saaf thaa har lafz us ki be-badal taqrir kaa phir lahu ne naqsh jo chhoDe hain vo mubham nahin har zamaane mein nahin pahchaannaa mushkil unhein sar qalam hote raheinge un ke lekin gham nahin karbalaa hi ne kiye hain murtasim dil par nuqush varna is duniyaa mein gham ki vaardaatein kam nahin dil hi dil vo bhigi lakDi ki tarah sulgaa kiyaa us ke chehre se to lagtaa thaa ki koi gham nahin kaifiyat kaisi ajab is shahr ki yaadon ki hai garm hai aatish nahin aur sard hai shabnam nahin ik alag tahzib hai tanhaaiyon ke shahr ki ek hi aalam hamesha aur koi mausam nahin phir rahe hain log phir haathon mein sang-reze liye aur apne sar mein saudaa is ghaDi kuchh kam nahin ham se 'aabid' apne rahbar ko shikaayat ye rahi aankh munde un ke pichhe chalne vaale ham nahin"
Aabid AdeebAabid Adeeb
Quote
"ye mere shahr kaa ik aur haadisa hogaa vo kal yahaan miraa mehmaan ban chukaa hogaa talaash mein huun kisi ki main kab se sargardaan usi tarah koi mujh ko bhi DhunDhtaa hogaa miri tarah se koi chikhtaa hai raahon mein miri tarah koi duniyaa ko dekhtaa hogaa lagaa ke aaegaa chehra koi nayaa shab mein vo jis ko baiTh ke din mein taraashtaa hogaa shanaasaa chehre bhi lagne lage hain begaane ab apnaa vaqt hi shaayad badal rahaa hogaa udaas udaas saa khoyaa huaa saa rahtaa hai kuchh us se bhi koi kah kar badal gayaa hogaa thakaa thakaa saa usi dar pe aa ke baiThaa thaa na puchhaa hogaa kisi ne to chal diyaa hogaa jahaan pahunch ke qadam Dagmagaae hain sab ke usi maqaam se ab apnaa raasta hogaa"
Aabid AdeebAabid Adeeb
Quote
"jab jab bhi dekhiye use khun-baar si lage duniyaa hamesha barsar-e-paikaar si lage har har nafas pe rang badalti hai zindagi ik phuul si lage hai kabhi khaar si lage chehra hai mere dost kaa yaa koi aaina dekhun ulaT-palaT ke to bhi aarsi lage aadat si paD gai hai use bolne ki tez vo baat bhi kare hai to takraar si lage tum saath ho to ham bhi bayaabaan ko ghar karein ye sakht dhuup saaya-e-divaar si lage har har qadam pe jaise ki biktaa ho aadmi basti tamaam misr ke baazaar si lage 'aabid' tamaam shahr pe aalam hai kaun saa har ek shakl naqsh-ba-divaar si lage"
Aabid AdeebAabid Adeeb

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud