"dastaras mein nahin haalaat tujhe kyaa maalum ab zaruri hai mulaaqaat tujhe kyaa maalum raat ke pichhle pahar nind-shikan tanhaai kaise karti hai savaalaat tujhe kyaa maalum tu ba-zid hai ki sar-e-aam parastish ho tiri main huun paaband-e-rivaayaat tujhe kyaa maalum jashn saavan kaa yuun baDh-chaDh ke manaane vaale zulm kyaa Dhaati hai barsaat tujhe kyaa maalum shaana-e-vaqt pe ab zulf-e-pareshaan ki tarah bikhri rahti hai miri zaat tujhe kyaa maalum silsila-vaar dahakte hain sahar hone tak sar-e-mizhgaan mare jazbaat tujhe kyaa maalum saada baatein thiin 'khayaal' us ki magar un mein kai chup the rangin khayaalaat tujhe kyaa maalum"
shaam thi ham the aur samundar thaa — Rafique Khayal
"shaam thi ham the aur samundar thaa kis qadar dil-fareb manzar thaa ik taraf thi khushi ujaalon ki ik taraf shaam hone kaa Dar thaa the pareshaan tiir nazron ke jab talak dil miraa hadaf par thaa vo thaa kamsin ye sach sahi lekin hasraton mein mire baraabar thaa dil to thaa mutmain rifaaqat mein khauf saa dhaDkanon ke andar thaa apne haathon use ganvaayaa hai jis mein pinhaan miraa muqaddar thaa us ki rangin qurbaton ke sabab raat jannat-numaa miraa ghar thaa shahr-e-jaan ki udaas galiyon mein mushtail khvaahishon kaa lashkar thaa shor kamre mein thaa qayaamat kaa chup kaa aalam 'khayaal' baahar thaa"
شام تھی ہم تھے اور سمندر تھا کس قدر دل فریب منظر تھا اک طرف تھی خوشی اجالوں کی اک طرف شام ہونے کا ڈر تھا تھے پریشان تیر نظروں کے جب تلک دل مرا ہدف پر تھا وہ تھا کمسن یہ سچ سہی لیکن حسرتوں میں مرے برابر تھا دل تو تھا مطمئن رفاقت میں خوف سا دھڑکنوں کے اندر تھا اپنے ہاتھوں اسے گنوایا ہے جس میں پنہاں مرا مقدر تھا اس کی رنگین قربتوں کے سبب رات جنت نما مرا گھر تھا شہر جاں کی اداس گلیوں میں مشتعل خواہشوں کا لشکر تھا شور کمرے میں تھا قیامت کا چپ کا عالم خیالؔ باہر تھا
शाम थी हम थे और समुंदर था किस क़दर दिल-फ़रेब मंज़र था इक तरफ़ थी ख़ुशी उजालों की इक तरफ़ शाम होने का डर था थे परेशान तीर नज़रों के जब तलक दिल मिरा हदफ़ पर था वो था कमसिन ये सच सही लेकिन हसरतों में मिरे बराबर था दिल तो था मुतमइन रिफ़ाक़त में ख़ौफ़ सा धड़कनों के अंदर था अपने हाथों उसे गँवाया है जिस में पिन्हाँ मिरा मुक़द्दर था उस की रंगीन क़ुर्बतों के सबब रात जन्नत-नुमा मिरा घर था शहर-ए-जाँ की उदास गलियों में मुश्तइ'ल ख़्वाहिशों का लश्कर था शोर कमरे में था क़यामत का चुप का आलम 'ख़याल' बाहर था

More by Rafique Khayal
View all →"hijr-zada aaankhon se jab aansu nikle khaamoshi se kisi ne samjhaa raat samay do diip jale khaamoshi se main bhi aag lagaa saktaa huun is barsaat ke mausam mein thoDi duur talak vo mere saath chale khaamoshi se shaam ki dhimi aanch mein jab khurshid nahaa kar so jaae manzar aapas mein milte hain khuub gale khaamoshi se barf ki partein jab bhi dekhun main unchi divaaron par jism sulagne lagtaa hai aur dil pighle khaamoshi se chaahat ke phir phuul khileinge aap ki ye khush-fahmi hai kapDe mere saamne mausam ne badle khaamoshi se din ke ujaalon mein shaayad main khud se bichhDaa rahtaa huun raat ki taariki mein ik khvaahish machle khaamoshi se jab bhi naadida sapnon ne man aangan mein raqs kiyaa teri yaad ke jugnu chamke raat Dhale khaamoshi se mulk-e-sukhan ke shahzaadon ki saf mein khaDaa ho jaaegaa gar tire lahje ki dhaDkan khushbu ugle khaamoshi se"
"zinda hain mire khvaab ye kab yaad hai mujh ko haan tark-e-mohabbat kaa sabab yaad hai mujh ko tafsil-e-inaayaat to ab yaad nahin hai par pahli mulaaqaat ki shab yaad hai mujh ko khushbu ki rifaaqat kaa nasha TuuT rahaa hai lekin vo safar daad-talab yaad hai mujh ko ab shaam ke haathon jo giraftaar hai suraj dopahar mein thaa qahr-o-ghazab yaad hai mujh ko aivaan miri ruuh ke raushan kiye jis ne vo shokhi-e-yak-jumbish-e-lab yaad hai mujh ko kuchh din se muqayyad huun main viraana-e-jaan mein haalaanki koi shahr-e-tarab yaad hai mujh ko kyuun yaad dilaate ho mujhe chaandni raatein paimaan-e-vafaa tum se hai sab yaad hai mujh ko vo shakhs 'khayaal' aaj jo ru-posh hai mujh mein the us mein kamaalaat ajab yaad hai mujh ko"
"sannaaTaa chhaa gayaa hai shab-e-gham ki chaap par suraj ko thaa yaqin bahut apne-aap par vo saaiqa mizaaj hai main sard barf saa hairat-zada hain log tamaam is milaap par main huun fasurda shaam ki afsurdagi hai aur dhundlaa saa aks-e-yaar hai yaadon ki bhaap par main manzilon ki justuju mein thaa ba-rang-e-mauj ab raqs kar rahaa huun mohabbat ki thaap par laazim ye pesh-khema-e-aafaat hai 'khayaal' bejaa jamaa nahin hain parinde alaap par"
"narm lahje mein tahammul se zaraa baat karo phir ba-sad-shauq sar-e-aam mujhe maat karo yaa nisaar aaj karo mujh pe tamaam apne hunar yaa nazar-band mire saare kamaalaat karo main rivaayaat se baaghi to nahin huun lekin tum se mumkin ho to tabdil-e-khayaalaat karo ek muddat se mire dil kaa nagar hai viraan aao is dasht pe tum phulon ki barsaat karo fasl ujaalon ki siyah-bakht zamin uglegi zar-nigaar apne zaraa kashf-o-karaamaat karo is tarah mil ke bichhaDnaa to qayaamat hogaa mushtail tum na miri jaan mire jazbaat karo be-niyaazi to milaa karti hai duniyaa se 'khayaal' tum kisi taur na tajdid-e-gham-e-zaat karo"
"udaas shaam ki tanhaaiyon mein jaltaa huaa vo kaash aae kabhi mere paas chaltaa huaa shab-e-firaaq ne mismaar saare khvaab kiye koi to muzhda sunaae ye din nikaltaa huaa hai kyaa ajab ki kabhi chaand bhi andheron mein sukun talaash kare zaaviye badaltaa huaa mire masihaa khudaa aaj teraa rakkhe bharam nazar mujhe nahin aataa ye ji bahaltaa huaa main raushni ke nagar mein paDaav khaak karun Daraa rahaa hai mujhe apnaa saaya Dhaltaa huaa"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"