"us se ji bhar ke mili daad-e-tamannaa mujh ko jis ne tasvir tiri dekh ke dekhaa mujh ko dekhne vaale ye kis shaan se dekhaa mujh ko aaj duniyaa ke maze de gai duniyaa mujh ko jazb-e-dil tere karishmon ne ulaT di duniyaa ab sunaate hain vo khud meraa fasaanaa mujh ko be-tahaashaa tiri tasvir pe jaati hai nigaah jab koi kahtaa hai taqdir kaa maaraa mujh ko ek dhaj 'aalam-e-vahshat mein badaltaa huun roz chaahtaa huun ki kahein log tumhaaraa mujh ko ghar ko chhoDaa hai khudaa jaane kahaan jaane ko ab samajh lijiye TuuTaa huaa taaraa mujh ko dil lahu kar gayaa aaghaaz-e-mohabbat 'manzar' aur abhi dekhnaa baaqi hai natija mujh ko"
shab-e-hijr yuun dil ko bahlaa rahe hain — Manzar Lakhnavi
"shab-e-hijr yuun dil ko bahlaa rahe hain ki din bhar ki biiti ko dohraa rahe hain mire dil ke TukDe kiye jaa rahe hain mohabbat ki tashrih farmaa rahe hain miraa dard jaa hi nahin saktaa tauba khudaai ke daave kiye jaa rahe hain hansi aane ki baat hai hans rahaa huun mujhe log divaana farmaa rahe hain ajab shai hai soz-o-gudaaz-e-mohabbat ki dil jalne mein bhi maze aa rahe hain usi bevafaa paas phir kuchh umidein liye jaa rahi hain chale jaa rahe hain zidein tauba tauba haTein allaah allaah hamin hain jo is dil ko bahlaa rahe hain miri raat kyuun kar kaTegi ilaahi mujhe din ko taare nazar aa rahe hain na aaghaaz ulfat kaa achchhaa thaa 'manzar' na anjaam achchhe nazar aa rahe hain"
شب ہجر یوں دل کو بہلا رہے ہیں کہ دن بھر کی بیتی کو دہرا رہے ہیں مرے دل کے ٹکڑے کیے جا رہے ہیں محبت کی تشریح فرما رہے ہیں مرا درد جا ہی نہیں سکتا توبہ خدائی کے دعوے کیے جا رہے ہیں ہنسی آنے کی بات ہے ہنس رہا ہوں مجھے لوگ دیوانہ فرما رہے ہیں عجب شے ہے سوز و گداز محبت کہ دل جلنے میں بھی مزے آ رہے ہیں اسی بے وفا پاس پھر کچھ امیدیں لیے جا رہی ہیں چلے جا رہے ہیں ضدیں توبہ توبہ ہٹیں اللہ اللہ ہمیں ہیں جو اس دل کو بہلا رہے ہیں مری رات کیوں کر کٹے گی الٰہی مجھے دن کو تارے نظر آ رہے ہیں نہ آغاز الفت کا اچھا تھا منظرؔ نہ انجام اچھے نظر آ رہے ہیں
शब-ए-हिज्र यूँ दिल को बहला रहे हैं कि दिन भर की बीती को दोहरा रहे हैं मिरे दिल के टुकड़े किए जा रहे हैं मोहब्बत की तशरीह फ़रमा रहे हैं मिरा दर्द जा ही नहीं सकता तौबा ख़ुदाई के दा'वे किए जा रहे हैं हँसी आने की बात है हँस रहा हूँ मुझे लोग दीवाना फ़रमा रहे हैं अजब शय है सोज़-ओ-गुदाज़-ए-मोहब्बत कि दिल जलने में भी मज़े आ रहे हैं उसी बेवफ़ा पास फिर कुछ उमीदें लिए जा रही हैं चले जा रहे हैं ज़िदें तौबा तौबा हटें अल्लाह अल्लाह हमीं हैं जो इस दिल को बहला रहे हैं मिरी रात क्यूँ कर कटेगी इलाही मुझे दिन को तारे नज़र आ रहे हैं न आग़ाज़ उल्फ़त का अच्छा था 'मंज़र' न अंजाम अच्छे नज़र आ रहे हैं

More by Manzar Lakhnavi
View all →"kis zabaan se shikva-e-jaur-e-sitam-aaraa karein jis ko achchhaa kah chuke us ki buraai kyaa karein un se jab puchhaa gayaa bismil tumhaare kyaa karein hans ke bole zakhm-e-dil dekhaa karein royaa karein ho ke ghash jalve se naql-e-hazrat-e-musaa karein aap agar parda uThaa bhi dein to ham pardaa karein husn se vaada-khilaafi ishq se taubaa karein diin ke bhi hon bure duniyaa ko bhi rusvaa karein kam se kam aisi to kuchh tadbir kar ai jazb-e-ishq vo hamein dekhein na dekhein ham unhein dekhaa karein ik zamaana ho rahaa hai ishq mein ham se khilaaf kis ke kis ke dil mein dil Daalein ilaahi kyaa karein har taraf zindaan ki divaaron pe hai tasvir-e-dost ab jidhar chaahein asiraan-e-sitam sajda karein vaah kyaa achchhaa taqaazaa vaah kyaa insaaf hai dard to dein aap aur taasir ham paidaa karein hazrat-e-'manzar' nahin hain vaaizo is rang ke aaj mai-khvaari karein kal baiTh kar taubaa karein"
"hasraton mein ab ye ik hasrat hamaare dil mein hai itnaa kah diije ki be-chaara baDi mushkil mein hai ek muusaa the ki in kaa zikr har mahfil mein hai aur ik main huun ki ab tak mere dil ki dil mein hai aaj kyuun had se sivaa uljhan hamaare dil mein hai kyaa nasib-e-dushmanaan vo bhi kisi mushkil mein hai hai koi aisaa jo saaqi se kahe mere liye ye bhi ik allaah kaa banda tiri mahfil mein hai yaa ilaahi khair yuun hamdardiyaan hoti hain aaj jaise mere dil kaa saaraa dard unhin ke dil mein hai dekhnaa ye hai un aankhon mein samaa jaataa hai kaun yuun to hone ko zamaana bhar tiri mahfil mein hai dekhiye kis ke muqaddar mein likhi hai ye bahaar aaj to ik haar phulon kaa kaf-e-qaatil mein hai dekhiye to apne vahshi ki tasavvur mein khushi ghar mein tanhaa hai magar jaise bhari mahfil mein hai hai mohabbat koi bimaari to bimaari qubul haae 'manzar' kis maze kaa dard apne dil mein hai"
"ek neamat tire mahjur ke haath aai hai iid kaa chaand charaagh-e-shab-e-tanhaai hai qaid mein bas ye koi kah de bahaar aai hai phir to main huun miri zanjir hai angDaai hai kitnaa dilchasp hai allaah miraa qissa-e-gham aaj koi nahin kahtaa mujhe niind aai hai zahr aur zahr ki taasir bataane vaale ab samajh le ki na saudaa hai na saudaai hai subh tak hogaa mire ghar pe hujum-e-khilqat raat ki raat faqat aalam-e-tanhaai hai daaman-o-jeb-o-garebaan bhi nisaar-e-vahshat ab kisi baat mein zillat hai na rusvaai hai do ghaDi dil ke bahalne kaa sahaaraa bhi gayaa lijiye aaj tasavvur mein bhi tanhaai hai muddatein guzrin hamein ashk bahaate 'manzar' aaj khud us ne hansaayaa to hansi aai hai"
"sham-o-gul ne saj to di mahfil tiri tere baghair vo rahi apni jagah jo thi kami tere baghair aamad-o-raft-e-nafas dushvaar thi tere baghair ek nashtar saa chubhaa jab saans li tere baghair ho gaiin thiin sab bhali baatein buri tere baghair haan magar achchhi hui to shaairi tere baghair haae dil jis ki umangein thiin bahaarein baagh ki vo miri jannat jahannam ban gai tere baghair thaa bahut mumkin ki bach jaati gham-e-duniyaa se jaan sach to ye hai ham ne koshish bhi na ki tere baghair mujh ko rone se mile fursat to phir DhunDun use hans rahaa hai kaun qismat kaa dhani tere baghair jaane vaale jaa khudaa haafiz magar ye soch le kuchh se kuchh ho jaaegi divaangi tere baghair tere divaane bhi puuje jaaeinge ik din yuun hi ho rahi hai jaise teri bandagi tere baghair teraa 'manzar' jo kabhi thaa andalib-e-khush-navaa kho gayaa duniyaa se yuun chup saadh li tere baghair"
"kuchh is andaaz se maangaa gayaa dil khushaamad kar ke de denaa paDaa dil are dil ai mere dil be-vafaa dil to kyaa maangun khudaa se dusraa dil gile shikvon ki kar liije safaai buraa kyuun kijiye achchhaa bhalaa dil hue khaamosh to rulvaa ke chhoDaa agar ki baat to barmaa diyaa dil mujhe to bakhshiye aur jiine diije mubaarak aap hi ko aap kaa dil vo maqtal hi sahi mahfil kisi ki magar kab maantaa hai manchalaa dil na kahne degi ye chashm-e-muravvat na puchhe ham se koi kyaa huaa dil phir ab kaahe ki hai saahib-salaamat tumhein darkaar thaa dil de diyaa dil badon se bhi nahin karte buraai ham aisaa sab ko de 'manzar' khudaa dil"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"