SHAWORDS

shahr-bhar mein mujhe aise na ghumaayaa jaataa — Adnan Munawar

HomeAdnan MunawarGhazal
"shahr-bhar mein mujhe aise na ghumaayaa jaataa is mohabbat ko tamaashaa na banaayaa jaataa main ki jis chaak pe TuuTaa thaa tire haathon se kaash us chaak pe ab phir se banaayaa jaataa yaad rakhne ki aziyyat se guzarne ke liye bhulne kaa bhi hunar mujh ko sikhaayaa jaataa dhuup hoti to mujhe itni suhulat rahti main na jaataa bhi to us tak miraa saaya jaataa ik nae zakhm ki hai dil ko zarurat 'adnaan' ab puraane se nahin kaam chalaayaa jaataa"
Urdu

شہر بھر میں مجھے ایسے نہ گھمایا جاتا اس محبت کو تماشا نہ بنایا جاتا میں کہ جس چاک پہ ٹوٹا تھا ترے ہاتھوں سے کاش اس چاک پہ اب پھر سے بنایا جاتا یاد رکھنے کی اذیت سے گزرنے کے لیے بھولنے کا بھی ہنر مجھ کو سکھایا جاتا دھوپ ہوتی تو مجھے اتنی سہولت رہتی میں نہ جاتا بھی تو اس تک مرا سایہ جاتا اک نئے زخم کی ہے دل کو ضرورت عدنانؔ اب پرانے سے نہیں کام چلایا جاتا

Hindi

शहर-भर में मुझे ऐसे न घुमाया जाता इस मोहब्बत को तमाशा न बनाया जाता मैं कि जिस चाक पे टूटा था तिरे हाथों से काश उस चाक पे अब फिर से बनाया जाता याद रखने की अज़िय्यत से गुज़रने के लिए भूलने का भी हुनर मुझ को सिखाया जाता धूप होती तो मुझे इतनी सुहूलत रहती मैं न जाता भी तो उस तक मिरा साया जाता इक नए ज़ख़्म की है दिल को ज़रूरत 'अदनान' अब पुराने से नहीं काम चलाया जाता

shahr-bhar meñ mujhe aise na ghumāyā jaatā
Adnan Munawar
Adnan Munawar
Adnan Munawar
poet10 quotes

More by Adnan Munawar

View all →
Quote
"jagmagaate shahr ki tah jagmagaati ret hai aasmaani khvaab hain aur kaaenaati ret hai hai samundar ke labon par shaadiyaanon ki sadaa saahilon par apni dhun mein gungunaati ret hai uDte phirte hain havaa ke saath zarron ki tarah zindagi ke roz-o-shab ki be-sabaati ret hai ye masaafat tishnagi hai aur main sahraa mein huun phaanktaa paani huun lekin munh mein aati ret hai is safar mein baarhaa aankhon ne dekhe hain saraab maujzan paani ki surat jhilmilaati ret hai ik fasaana likh rahaa hai saarbaan-e-zindagi vaaqi’aati qaafile hain haadsaati ret hai"
Adnan MunawarAdnan Munawar
Quote
"yaad-e-yaaraan ko kaf-e-dil mein chubhote hue ham ghar ke kone mein paDe rahte hain rote hue ham nim-shab aur ye aansu hain ki rukte hi nahin haae pardes mein takiyon ko bhigote hue ham har nai subh se ummid-e-paziraai liye chaadar-e-khaak ke parde mein samote hue ham raat us bazm mein ik tu hi shanaasaa thaa magar kitne tanhaa nazar aae tire hote hue ham mar hi jaaeinge tiri yaad mein yunhi kisi roz dukh ke aanchal mein kahin she'r pirote hue ham sarsaraahaT si kahin zulf-e-girah-gir mein thi Dar gae aaj tire saae mein sote hue ham"
Adnan MunawarAdnan Munawar
Quote
"hai pur-raunaq magar viraan si mahsus hoti hai bhari mahfil mein bhi teri kami mahsus hoti hai use dekhun to duniyaa khub-surat lagne lagti hai use chhu luun to mujh ko zindagi mahsus hoti hai miri aankhon mein aankhein Daal kar ye to bataao tum tumhein bhi kyaa mohabbat si kabhi mahsus hoti hai tumhaaraa haath shaamil hi nahin meri tabaahi mein bataao kyon tumhein sharmindagi mahsus hoti hai main apni justuju mein jaa-ba-jaa phirtaa huun sargardaan magar duniyaa ko ye aavaargi mahsus hoti hai jahaan 'adnaan' meri maan kaa chehra saamne aae vahaan manzar mein kaisi taazgi mahsus hoti hai"
Adnan MunawarAdnan Munawar

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari