SHAWORDS

teri marzi na de sabaat mujhe — Farooq Nazki

HomeFarooq NazkiGhazal
"teri marzi na de sabaat mujhe be-yaqini se de najaat mujhe in ki nazrein uThin miri jaanib yaad hai pahli vaardaat mujhe har balaa se rahegaa tu mahfuz is safar mein jo rakh le saath mujhe roz miltaa huun mai-kade mein use khuub pahchaanti hai raat mujhe mein tujhe jaantaa huun harjaai kyuun bataataa hai apni zaat mujhe mujh ko deti hai Daal Daal huaa chhaanv dete hain paat paat mujhe"
Urdu

تیری مرضی نہ دے ثبات مجھے بے یقینی سے دے نجات مجھے ان کی نظریں اٹھیں مری جانب یاد ہے پہلی واردات مجھے ہر بلا سے رہے گا تو محفوظ اس سفر میں جو رکھ لے ساتھ مجھے روز ملتا ہوں میکدے میں اسے خوب پہچانتی ہے رات مجھے میں تجھے جانتا ہوں ہرجائی کیوں بتاتا ہے اپنی ذات مجھے مجھ کو دیتی ہے ڈال ڈال ہوا چھاؤں دیتے ہیں پات پات مجھے

Hindi

तेरी मर्ज़ी न दे सबात मुझे बे-यक़ीनी से दे नजात मुझे इन की नज़रें उठीं मिरी जानिब याद है पहली वारदात मुझे हर बला से रहेगा तू महफ़ूज़ इस सफ़र में जो रख ले साथ मुझे रोज़ मिलता हूँ मय-कदे में उसे ख़ूब पहचानती है रात मुझे में तुझे जानता हूँ हरजाई क्यूँ बताता है अपनी ज़ात मुझे मुझ को देती है डाल डाल हुआ छाँव देते हैं पात पात मुझे

terī marzī na de sabāt mujhe
Farooq Nazki
Farooq Nazki
Farooq Nazki
poet34 quotes

More by Farooq Nazki

View all →

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari