SHAWORDS

usi ki raushni rahti hai is qadar mujh mein — Neena Sahar

HomeNeena SaharGhazal
"usi ki raushni rahti hai is qadar mujh mein jo us ke lauT ke aane ki hai khabar mujh mein chhuaa thaa jin mein kabhi mujh ko teri chaahat ne vo lamhe jaagte rahte hain raat bhar mujh mein jo raaste ke andheron se Dar ke lauT gayaa vo kaash dekhtaa zinda thi ik sahar mujh mein mujhe Daraa nahin sakti ye mushkilon ki dhuup abhi umiid kaa baaqi hai ik shajar mujh mein tire vujud ko chhu le to phir mukammal ho bhaTak rahi hai khushi kab se dar-ba-dar mujh mein"
Urdu

اسی کی روشنی رہتی ہے اس قدر مجھ میں جو اس کے لوٹ کے آنے کی ہے خبر مجھ میں چھوا تھا جن میں کبھی مجھ کو تیری چاہت نے وہ لمحے جاگتے رہتے ہیں رات بھر مجھ میں جو راستے کے اندھیروں سے ڈر کے لوٹ گیا وہ کاش دیکھتا زندہ تھی اک سحر مجھ میں مجھے ڈرا نہیں سکتی یہ مشکلوں کی دھوپ ابھی امید کا باقی ہے اک شجر مجھ میں ترے وجود کو چھو لے تو پھر مکمل ہو بھٹک رہی ہے خوشی کب سے در بدر مجھ میں

Hindi

उसी की रौशनी रहती है इस क़दर मुझ में जो उस के लौट के आने की है ख़बर मुझ में छुआ था जिन में कभी मुझ को तेरी चाहत ने वो लम्हे जागते रहते हैं रात भर मुझ में जो रास्ते के अँधेरों से डर के लौट गया वो काश देखता ज़िंदा थी इक सहर मुझ में मुझे डरा नहीं सकती ये मुश्किलों की धूप अभी उमीद का बाक़ी है इक शजर मुझ में तिरे वुजूद को छू ले तो फिर मुकम्मल हो भटक रही है ख़ुशी कब से दर-ब-दर मुझ में

usī kī raushnī rahtī hai is qadar mujh meñ
Neena Sahar
Neena Sahar
Neena Sahar
poet16 quotes

More by Neena Sahar

View all →
Quote
"koi moajiza huaa hai miri be-khudi se aage teraa gham nikal gayaa hai miri har khushi se aage miri pyaas kaa taraana yuun samajh na aa sakegaa mujhe aaj sun ke dekho miri khaamoshi se aage main huun saans saans tanhaa main huun zarra zarra ghaayal mujhe paas aa ke dekho miri dilkashi se aage vahin kal bhi phir mileinge jahaan aaj mil rahe hain teri raushni ke pichhe miri tirgi se aage isi Dar se paDh na paai main tiraa payaam jaanaan kahin dil ko chhu na jaae miri bebasi se aage"
Neena SaharNeena Sahar
Quote
"kaise hoti hai shab ki sahar dekhte kaash ham bhi kabhi jaag kar dekhte khvaab kaise utartaa hai ehsaas mein tere shaane pe rakh ke ye sar dekhte ek ummid thi muntazir umr bhar kaash tum bhi kabhi lauT kar dekhte barf ki jhini chaadar tale jhiil thi chhu ke mujh ko kabhi tum agar dekhte ungliyaan un ki letin na sannyaas to meri zulfon se bhi khel kar dekhte ek parvaaz mein gir na jaate agar tere man kaa gagan mere par dekhte band kamron ne kholi nahin saanklein varna sajde mein baiThi 'sahar' dekhte"
Neena SaharNeena Sahar

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud