SHAWORDS

vaah kyaa husn kaisaa joban hai — Mardan Ali Khan Rana

"vaah kyaa husn kaisaa joban hai kaisi abru hain kaisi chitvan hai jis ko dekho vo nuur kaa buqa ye paristaan hai ki london hai abas un ko masih kahte hain maar rakhne kaa un mein lachchhan hai husn dikhlaa rahaa hai jalva-e-haq ru-e-taabaan se saaf raushan hai rasm ulTi hai khub-ruyon mein dost jis ke bano vo dushman hai haal ushshaaq ko bataate hain aur abhi khair se laDakpan hai"
Urdu

واہ کیا حسن کیسا جوبن ہے کیسی ابرو ہیں کیسی چتون ہے جس کو دیکھو وہ نور کا بقعہ یے پرستان ہے کہ لندن ہے عبث ان کو مسیح کہتے ہیں مار رکھنے کا ان میں لچھن ہے حسن دکھلا رہا ہے جلوۂ حق روئے تاباں سے صاف روشن ہے رسم الٹی ہے خوب رویوں میں دوست جس کے بنو وہ دشمن ہے حال عشاق کو بتاتے ہیں اور ابھی خیر سے لڑکپن ہے

Hindi

वाह क्या हुस्न कैसा जोबन है कैसी अबरू हैं कैसी चितवन है जिस को देखो वो नूर का बुक़अ' ये परिस्तान है कि लंदन है अबस उन को मसीह कहते हैं मार रखने का उन में लच्छन है हुस्न दिखला रहा है जल्वा-ए-हक़ रू-ए-ताबाँ से साफ़ रौशन है रस्म उल्टी है ख़ूब-रूयों में दोस्त जिस के बनो वो दुश्मन है हाल उश्शाक़ को बताते हैं और अभी ख़ैर से लड़कपन है

vaah kyā husn kaisā joban hai
Mardan Ali Khan Rana
Mardan Ali Khan Rana
Mardan Ali Khan Rana
poet60 quotes

More by Mardan Ali Khan Rana

View all →
Quote
"baashinde haqiqat mein hain ham mulk-e-baqaa ke kuchh roz se mehmaan hain is daar-e-fanaa ke dil khuun ho shab-e-vasl bhi hasrat mein na kyun-kar dekhein na vo khalvat mein bhi jab aankh uThaa ke farmaaiye ham se thi yahi shart-e-mohabbat khuub aap ne rusvaa kiyaa ghairon mein bulaa ke kuche mein na aae koi main jaan gayaa huun farmaate ho mujh se ye raqibon ko sunaa ke dil haath se kho jaataa hai kis taur se zaahid to aap zaraa dekh le us kuche mein jaa ke khaak-e-dar-e-jaanaan hai libaas-e-tan-e-uryaan aashiq tire mohtaaj nahin aur qabaa ke ham sar ke bal aaeinge jo bulvaaoge saahab gar ho na yaqin dekh lo tum chaaho bulaa ke ho saaya-e-divaar tumhaaraa jo mayassar phir kyaa karein farmaaiye saae ko humaa ke dil khol ke kar lijiye ai hazrat-e-dil sair ham phir ke na phir aaeinge is bazm se jaa ke tan khaak mein mil jaaegaa ik roz hamaaraa ji tan se nikal jaaegaa maanind havaa ke"
Mardan Ali Khan RanaMardan Ali Khan Rana
Quote
"kar diyaa zaar gham-e-ishq ne aisaa mujh ko maut aai bhi to bistar pe na paayaa mujh ko kabhi jangal kabhi basti mein phiraayaa mujh ko aah kyaa kyaa na kiyaa ishq ne rusvaa mujh ko dushman-e-jaan huaa dar-parda miraa jazba-e-ishq munh chhupaane lage vo jaan ke shaidaa mujh ko roz-e-raushan ho na kyunkar miri aankhon mein siyaah hai tire gesu-e-shab-rang kaa saudaa mujh ko ik pari-ru ki mohabbat kaa main huun divaana na pari kaa na kisi jin kaa hai saaya mujh ko roz-o-shab shokh ne kyaa kyaa na dikhaae nairang rukh dikhaayaa kabhi gesu-e-chalipaa mujh ko din bhale aae to aadaa sabab-e-khair hue bad-duaa ne kiyaa aghyaar ki achchhaa mujh ko fakhr se bazm-e-butaan mein vo kahaa karte hain pyaar kuchh roz se ab karte hain 'raanaa' mujh ko"
Mardan Ali Khan RanaMardan Ali Khan Rana
Quote
"tegh-e-nigah-e-dida-e-khun-khaar nikaali kyuun aap ne ushshaaq pe talvaar nikaali bhule hain ghazaalaan-e-haram raah khataa se tum ne ajab andaaz ki raftaar nikaali dhaDkaa mire naale kaa rahaa murgh-e-sahar ko aavaaz shab-e-vasl na zinhaar nikaali har ghar mein kahe rakhte hain kohraam paDegaa gar laash hamaari sar-e-baazaar nikaali aakhir miri turbat se ugi hai gul-e-nargis kyaa baad-e-fanaa hasrat-e-didaar nikaali main vasl kaa saail huun na vaade kaa talab-gaar baaton mein abas aap ne takraar nikaali jal jaaegaa ye khirman-e-hasti abhi ai dil siine se agar aah-e-sharar-baar nikaali dil le ke bhi 'raanaa' kaa kiyaa paas na afsos kuchh hasrat-e-dil tu ne na ayyaar nikaali"
Mardan Ali Khan RanaMardan Ali Khan Rana
Quote
"gai jo tifli to phir aalam-e-shabaab aayaa gayaa shabaab to ab mausam-e-khizaab aayaa main shauq-e-vasl mein kyaa rail par shitaab aayaa ki subh hind mein thaa shaam panj-aab aayaa kaTaa thaa roz-e-musibat khudaa khudaa kar ke ye raat aai ki sar pe mire 'azaab aayaa kahaan hai dil ko 'abas DhunDhte ho pahlu mein tumhaare kuche mein muddat se us ko daab aayaa kisi ki tegh-e-taghaaful kaa main vo kushta huun na jaagaa neze pe sau baar aaftaab aayaa nazar paDi na miri ro'b-e-husn se rukh par agarche saamne mere vo be-naqaab aayaa hamesha surat-e-anjum khuli rahin aankhein firaaq-e-yaar mein kis roz mujh ko khvaab aayaa huaa yaqin ki zamin par hai aaj chaand-gahan vo maah chehre pe jab Daal kar naqaab aayaa hue jo dida-e-girya se apne ashk ravaan gumaan huaa ki barastaa huaa sahaab aayaa banaa tasavvur-e-lailaa ba-surat-e-tasvir kabhi jo qais ki aankhon mein shab ko khvaab aayaa vo zud-ranj hai us ko na chheDnaa 'raa'naa' maloge haath agar bar-sar-e-itaab aayaa"
Mardan Ali Khan RanaMardan Ali Khan Rana
Quote
"kar chukaa qaid se jis vaqt ki aazaad mujhe haath maltaa hi rahaa dekh ke sayyaad mujhe umr bhar yuun to kabhi li bhi na karvaT pas-e-marg haif rah-rah ke kiyaa karte hain ab yaad mujhe hukm darbaan ko hai zinhaar na aane paae ghair ke saamne karte hain magar yaad mujhe baaghbaan gulshan-e-aalam kaa main vo bulbul huun taaer-e-sidra kahaa kartaa hai ustaad mujhe ham-safiron ko miraa haal khulegaa pas-e-marg dekhnaa dil mein kareinge vo bahut yaad mujhe sahn-e-gulshan mein mire phuul kareinge gulchin roegaa suunaa qafas dekh ke sayyaad mujhe raah-e-ulfat mein mulaaqaat hui kis kis se dasht mein qais milaa koh mein farhaad mujhe ghaib se hote hain ilqaa mire dil mein mazmun dekh faizaan sukhan kaa hai khudaa-daad mujhe sabz baagh aataa hai duniyaa kaa nazar jab 'raanaa' yaad aati hai bahut hasrat-e-shaddaad mujhe"
Mardan Ali Khan RanaMardan Ali Khan Rana
Quote
"gai fasl-e-bahaar gulshan se bulbulon uD chalo nasheman se faatiha bhi paDhaa na turbat par jaa ke lauT aae meri madfan se mujh ko kaafi thi qaid-e-halqa-e-zulf beDiyaan kyuun banaain aahan se zulf ke pech se na rah ghaafil dosti kar dilaa na dushman se ho garebaan kaa chaak khaak rafu taar haath aae jab na daaman se naaz-o-ishva nayaa nahin sikhaa shokh tarraar hai laDakpan se chhoD kar tum agar gae tanhaa ji nikal jaaegaa mire tan se hai kai din se muntazir 'raanaa' jalva dikhlaao aa ke chilman se"
Mardan Ali Khan RanaMardan Ali Khan Rana

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb