SHAWORDS

vajd karti ik duaa kachche makaanon se uThi — Ahmad Jahangir

HomeAhmad JahangirGhazal
"vajd karti ik duaa kachche makaanon se uThi raushni tasbih ke rangin daanon se uThi surkh aafat se muzayyan takhta-e-gul ki sahar shab ko naaranji qayaamat shama-daanon se uThi sabza-o-gul sab achaanak nilgun hone lage yak-ba-yak jab zard maaTi aasmaanon se uThi laad laane ke liye sarsabz anguron kaa ras hukm aate hi magas chhatte ke khaanon se uThi main sukhan rab-e-ahad ke fazl se karne lagaa istiaaron ki chamak mere khazaanon se uThi ghanTiyaan naaqus taashe sab gulaab-e-subh hain par sahar-khezi ki khushbu bas azaanon se uThi"
Urdu

وجد کرتی اک دعا کچے مکانوں سے اٹھی روشنی تسبیح کے رنگین دانوں سے اٹھی سرخ آفت سے مزین تختۂ گل کی سحر شب کو نارنجی قیامت شمع دانوں سے اٹھی سبزہ و گل سب اچانک نیلگوں ہونے لگے یک بہ یک جب زرد ماٹی آسمانوں سے اٹھی لاد لانے کے لئے سرسبز انگوروں کا رس حکم آتے ہی مگس چھتے کے خانوں سے اٹھی میں سخن رب احد کے فضل سے کرنے لگا استعاروں کی چمک میرے خزانوں سے اٹھی گھنٹیاں ناقوس تاشے سب گلاب صبح ہیں پر سحر خیزی کی خوشبو بس اذانوں سے اٹھی

Hindi

वज्द करती इक दुआ कच्चे मकानों से उठी रौशनी तस्बीह के रंगीन दानों से उठी सुर्ख़ आफ़त से मुज़य्यन तख़्ता-ए-गुल की सहर शब को नारंजी क़यामत शम्अ-दानों से उठी सब्ज़ा-ओ-गुल सब अचानक नीलगूँ होने लगे यक-ब-यक जब ज़र्द माटी आसमानों से उठी लाद लाने के लिए सरसब्ज़ अंगूरों का रस हुक्म आते ही मगस छत्ते के ख़ानों से उठी मैं सुख़न रब-ए-अहद के फ़ज़्ल से करने लगा इस्तिआरों की चमक मेरे ख़ज़ानों से उठी घंटियाँ नाक़ूस ताशे सब गुलाब-ए-सुब्ह हैं पर सहर-ख़ेज़ी की ख़ुशबू बस अज़ानों से उठी

vajd kartī ik duā kachche makānoñ se uThī
Ahmad Jahangir
Ahmad Jahangir
Ahmad Jahangir
poet25 quotes

More by Ahmad Jahangir

View all →
Quote
"kaam aaiin ta'alluq ki baisaakhiyaan chand maathon pe mahtaab Taanke gae aakhiri saf mein baiThe huon ki kaho kab uThaayaa gayaa aur haanke gae shama-daan-e-ghazal se bhaDakti hui balli-maaraan mein koi haveli nahin gomti ke kinaare andheraa huaa marsiya sun ke majlis se baanke gae chiq uThaai to duniyaa ke baazaar mein khvaahishon ki najaasat kaa ambaar thaa ham ne bajtaa huaa har kaToraa sunaa aur khiDki se chup-chaap jhaanke gae zard sikkon kaa sanduq khultaa rahaa baaT chaDhte rahe maal tultaa rahaa chaar jaanib se boli baDhaai gai sher beche gae lafz aanke gae shaah shaanon pe rakkhe hue takht par devtaa ki samaajat mein masruf thaa bad-duaaein ugalte hue bad-zabaan aah bharte rahe dhuul phaanke gae aakhiri bastiyon ki kahaani suno surkh inTon ki bhaTTi bujhaai gai phuul reti ke niche dabaae gae chaah miTTi ke Tilon se Dhaanke gae jaan-kani ki aziyyat mein gham-khvaar kyaa ek marte hue ko azaadaar kyaa kab lahad mein kahin shama rakkhi gai kyaa kafan mein kabhi phuul Taanke gae"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir
Quote
"firozi tasbih kaa gheraa haath mein jalva-afgan thaa naaranji shamon se hujra khair ki shab mein raushan thaa raah-ravon ne dasht-e-safar mein har ummid sanvaari thi ranj ki raah pe chalne vaalon kaa har khvaab muzayyan thaa raat hui hai khema to naaqe se utaaraa jaaegaa diip kahaan rakkhaa hai jis mein kuchh zaitun kaa roghan thaa rangon ki ye qaab ulaT de tasviron par maaTi lep khoj jo sone ke sikkon kaa ik goshe mein bartan thaa chiin mein sunte hain shaayad ab aaina ijaad huaa varna ik taalaab hi apni aaraaish kaa darpan thaa maatam ki aavaaz uThaai zanjiron ke halqon ne haath bandhe the gardan se par girya shaam-taa-madyan thaa"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir
Quote
"is se pahle kahin imkaan ke minaare par ham mile honge kisi dusre sayyaare par yaar labrez nigaahon se ziyaarat teri raushni aae gire chashm ke andhiyaare par aa tahayyur ke kisi baagh utar jaate hain aur milte hain kamaalaat ke favvaare par manzar-e-misr mein yaaqub ko yusuf dekhe yuun rahe aankh tire husn ke nazzaare par haath aa jaae tabassum kaa tire phuul kabhi paanv paD jaae kabhi aah ke angaare par shorish-e-shahr-e-mubaahaat ki zillat se pare ek hujra hai miraa ijz ke chaubaare par"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir
Quote
"sunaa hai kichaD ke sukhne par hayaat cholaa badal rahi thi shajar se niche utar ke khilqat nahif qadmon pe chal rahi thi vasia raqbe kaa be-nihaayat khatir malba simaT rahaa thaa zaiif taare ki dhonkni se muhib zulmat ubal rahi thi tavaaf karti havaa kaa ronaa mataaf mein ghul machaa rahaa thaa haram ke phaaTak se bain karti koi savaari nikal rahi thi vabaa ki aafat kaa taaziyaana siyaah pushton pe paD chukaa thaa nigaar-khaane ke taaqche mein khabar ki haanDi ubal rahi thi falak ke koThe pe dekhtaa huun nayaa sitaara chamak rahaa hai zamin pe girne se qabl shaayad shuaa qarnon se chal rahi thi salaam karti hui sahar kaa kivaaD chaupaT khulaa huaa thaa falak kaa nilam chamak rahaa thaa nadi mein chaandi pighal rahi thi safar kaa safha khulaa to us par fanaa kaa naqsha banaa huaa thaa hamaaraa nashsha utar chukaa thaa hamaari masti sanbhal rahi thi"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir
Quote
"khushk roTi toDni hai sard paani chaahiye kyaa kisi girje ki kunDi khaTkhaTaani chaahiye ai samaaat us fazaa mein aaj bhi maujud hai haan navaa-e-naghma-e-kun tujh ko aani chaahiye kaahinaa ham se rivaayat kaa mukammal matn sun batn mein jalti hui sham-e-maaani chaahiye saabiqa naqshe pe taaza saltanat ijaad ho aasmaan niilaa banaanaa ghaas dhaani chaahiye gum-shuda suraj ko rotaa hai miraa yaum-e-saped surmai shab ko charaagh-e-aan-jahaani chaahiye husn ke gaare mein aab-e-ishq ki chhinTein milaa champai rangat mein aatish sansanaani chaahiye jism ki gosha-nashini aur kitne roz hai banda-e-rabb-e-ali ko laa-makaani chaahiye"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir
Quote
"hukm de qirtaas par rangin nazaara phunk duun misraa-e-tar mein sunahraa istiaara phunk duun ramz ki baara-dari mein zabt vaajib gar na ho main tayaqqun se ta'ajjub kaa minaara phunk duun mushtari kaa taaj pahne zuhl par asvaar huun gaah sayyaara jalaaun gaah taaraa phunk duun haan isi dariyaa tale aaindagaan kaa shahr hai aatishin lab se agar paani kaa dhaaraa phunk duun ek favvaare ke gesu ek chaubaare ki aankh chashm-e-nazzaara jalaa kar har ishaara phunk duun qalb se uThti hui shaakh-e-tamavvuj hukm de kyaa tanaffus ke sharar se baagh saaraa phunk duun"
Ahmad JahangirAhmad Jahangir

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar