SHAWORDS

vo bhignaa miraa baarish mein ik bahaanaa thaa — Ameeta Parsuram Meeta

"vo bhignaa miraa baarish mein ik bahaanaa thaa chhalak gayaa thaa ik aansu vahi chhupaanaa thaa hamaaraa rishta bas ik khel ban gayaa jis mein bas ek duuje ko har haal mein haraanaa thaa zaraa nazar hi to Daali thi ham ne maazi par lipaT gaiin vahi yaadein jinhein bhulaanaa thaa 'ajab nahin jo alag ho gae vo milte hi kabhi to rang hinaa kaa bhi chhuT jaanaa thaa mujhe pataa hi na thaa haar hi chuki huun main har ek vaar hi us kaa to ghaaebaana thaa"
Urdu

وہ بھیگنا مرا بارش میں اک بہانا تھا چھلک گیا تھا اک آنسو وہی چھپانا تھا ہمارا رشتہ بس اک کھیل بن گیا جس میں بس ایک دوجے کو ہر حال میں ہرانا تھا ذرا نظر ہی تو ڈالی تھی ہم نے ماضی پر لپٹ گئیں وہی یادیں جنہیں بھلانا تھا عجب نہیں جو الگ ہو گئے وہ ملتے ہی کبھی تو رنگ حنا کا بھی چھوٹ جانا تھا مجھے پتا ہی نہ تھا ہار ہی چکی ہوں میں ہر ایک وار ہی اس کا تو غائبانہ تھا

Hindi

वो भीगना मिरा बारिश में इक बहाना था छलक गया था इक आँसू वही छुपाना था हमारा रिश्ता बस इक खेल बन गया जिस में बस एक दूजे को हर हाल में हराना था ज़रा नज़र ही तो डाली थी हम ने माज़ी पर लिपट गईं वही यादें जिन्हें भुलाना था 'अजब नहीं जो अलग हो गए वो मिलते ही कभी तो रंग हिना का भी छूट जाना था मुझे पता ही न था हार ही चुकी हूँ मैं हर एक वार ही उस का तो ग़ाएबाना था

vo bhīgnā mirā bārish meñ ik bahānā thā
Ameeta Parsuram Meeta
Ameeta Parsuram Meeta
Ameeta Parsuram Meeta
poet100 quotes

More by Ameeta Parsuram Meeta

View all →
Quote
"zabaan kar ke muqaffal tum sadaaein chaahte ho sazaa dete ho pahle phir du'aaein chaahte ho ghuTan hai dard hai dil mein chhupi tanhaai hai sisakti hai mohabbat tum adaaein chaahte ho kiyaa barbaad qudrat ko kuchal Daalaa magar ab mahakti si fazaaein aur ghaTaaein chaahte ho simaT kar zaat mein apni qafas mein qaid ho kar tumhein parvaaz ki zid hai havaaein chaahte ho suno khud-gharziyon ki koi to ho intihaa naa jafaa kar ke hamin se tum vafaaein chaahte ho zamin aur aasmaan aae na tum ko raas 'mitaa' nahin hairat ki ab tum bhi khalaaein chaahte ho"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta
Quote
"nihaan si chaadar ki silvaTon mein na jaane kitni hikaayatein hain kahin to qisse visaal ke hain kahin sisakti nadaamatein hain jidhar bhi dekho hai nafraton kaa 'adaavaton kaa vahi tamaashaa kuduratein hain riqaabatein hain mohabbaton mein tijaaratein hain hain yaad ab bhi vo gul-mohar ke do peD mere hi ghar ke baahar magar jahaan tak nazar hai jaati ab unchi unchi 'imaaratein hain bahut hasin thaa vo ek lamha nazar nazar se gale mili jab nazar nazar mein sukhan kahe jab vo kitni pyaari samaa'atein hain"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta
Quote
"ik daf'a uljhe to uljhe hi rahe pyaar ke saude mein ghaaTe hi rahe dekh kar vo bas tamaashaai rahaa aur ham daldal mein dhanste hi rahe vo haqiqat ki taraf baDhtaa rahaa us ke sapne sirf sapne hi rahe vaqt dariyaa ki tarah bahtaa rahaa be-'amal bas haath malte hi rahe jaise jaise raushni baDhti gai sab ke chehre phike paDte hi rahe shaakh se TuuTe the jo patte kabhi abr bhi barsaa to sukhe hi rahe rahmaton ki baarishein hoti rahin aur zamin vaale ki pyaase hi rahe 'ishq ne barzakh mein rakkhaa yuun ki ham un ke ho paae na khud ke hi rahe vaqt kaa suraj jagaataa hi rahaa vo magar aankhon ko munde hi rahe rahbari par naaz thaa jin ko kabhi dil ki raahon mein vo bhaTke hi rahe chehra paDhnaa mujh ko aataa thaa magar chehre ke pichhe bhi chehre hi rahe"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari