SHAWORDS

yaan se deinge na tum ko jaane aaj — Shah Naseer

HomeShah NaseerGhazal
"yaan se deinge na tum ko jaane aaj laakh ab tum karo bahaane aaj bin liye aaj teraa bosa-e-lab kab bhalaa dungaa tujh ko jaane aaj bas ye mujh se na tum karo kal kal itni hai kal kahaan ki jaane aaj daagh juun laala khaa chaman mein nasim main bhi aayaa huun gul khilaane aaj lag gayaa khaak ho ke jism-e-'nasir' kucha-e-yaar mein Thikaane aaj"
Urdu

یاں سے دیں گے نہ تم کو جانے آج لاکھ اب تم کرو بہانے آج بن لیے آج تیرا بوسۂ لب کب بھلا دوں گا تجھ کو جانے آج بس یہ مجھ سے نہ تم کرو کل کل اتنی ہے کل کہاں کہ جانے آج داغ جوں لالہ کھا چمن میں نسیم میں بھی آیا ہوں گل کھلانے آج لگ گیا خاک ہو کے جسم نصیرؔ کوچۂ یار میں ٹھکانے آج

Hindi

याँ से देंगे न तुम को जाने आज लाख अब तुम करो बहाने आज बिन लिए आज तेरा बोसा-ए-लब कब भला दूँगा तुझ को जाने आज बस ये मुझ से न तुम करो कल कल इतनी है कल कहाँ कि जाने आज दाग़ जूँ लाला खा चमन में नसीम मैं भी आया हूँ गुल खिलाने आज लग गया ख़ाक हो के जिस्म-ए-'नसीर' कूचा-ए-यार में ठिकाने आज

yaañ se deñge na tum ko jaane aaj
Shah Naseer
Shah Naseer
Shah Naseer
poet127 quotes

More by Shah Naseer

View all →
Quote
"khaandaan-e-qais kaa main to sadaa se piir huun silsila-jumbaan-e-shor-e-khaana-e-zanjir huun khaaksaari ke abhi to darpai tadbir huun kushta ho kar khaak jab hon tab kabhi iksir huun zoaf ne go kar diyaa hai juun kamaan gosha-nashin ab bhi chalne ko jo puchho to saraasar tiir huun rishta-e-ulfat ne baandhe hain par-e-parvaaz aah daam-e-hairat mein ba-rang-e-bulbul-e-tasvir huun tujh se ye uqda khulegaa ai nasim-e-subh-dam ghunche ki maanind is gulshan mein kyuun dil-gir huun muntazir chashm-e-rikaab ai said-e-afgan hai hanuz bosa-e-fitraak ki khvaahish hai vo nakhchir huun faqr ki daulat ke aage saltanat kyaa maal hai bistare par apne ai ruba-mizaajo sher huun sach hai apne dam se qaaem hai ye buniyaad-e-jahaan raunaq-afzaa-e-chaman aaraaish-e-taamir huun jaisi chaahe vaisi le mujh se qasam qaatil na Dar hashr ko bhi gar kabhi teraa main daaman-gir huun ahl-e-jauhar hi mire mazmun ko samjhe hai 'nasir' main bhi iqlim-e-sukhan mein saahib-e-shamshir huun"
Shah NaseerShah Naseer
Quote
"khaal-e-mashshaata banaa kaajal kaa chashm-e-yaar par zaagh ko bahr-e-tasadduq rakh sar-e-bimaar par mujh ko rahm aataa hai dast-e-naazuk-e-dildaar par main hi rakh dungaa galaa ai hamdamo talvaar par be-suvaidaa haath dil mat Daal zulf-e-yaar par maash pahle paDh ke mantar pheink ru-e-yaar par gar hifaazat rukh ki hai manzur to miTvaa na khat baaghbaan rakhtaa hai kaanTe baagh ki divaar par kaun kahtaa hai ki sabza aag par ugtaa nahin khat hai paidaa yaar ke dekho rukh-e-gulnaar par dekh mizhgaan par miri tughyaani-e-sail-e-sarishk nuuh kaa tufaan na dekhaa hove jis ne khaar par jis ko dekhaa hi nahin us ke vatan mein qadr-e-khaak baagh se ho kar judaa pahunche hai gul dastaar par haq agar puchho to ejaaz-e-sar-e-mansur thaa varna lagnaa thaa taajjub phal kaa nakhl-e-daar par"
Shah NaseerShah Naseer
Quote
"dekh tu yaar-e-baada-kash! main ne bhi kaam kyaa kiyaa de ke kabaab-e-dil tujhe haqq-e-namak adaa kiyaa kyuun sag-e-yaar se khajil mujh ko pas-az-fanaa kyaa khaa gayaa ustukhaan mire tu ne ye kyaa humaa kiyaa zakhm-e-jigar se dam-ba-dam kab nahin khun-bahaa kiyaa to bhi na qaatil apne se daavaa-e-khun-bahaa kiyaa us but-e-rashk-e-gul ne jab band-e-qabaa ko vaa kiyaa apni nazar ye ghuncha do haath se phir malaa kiyaa kaun se din na yaar ne chashm ko surma-saa kiyaa kab na dil-e-siyaah-bakht khaak mein tu milaa kiyaa dilbar-e-shoala-khu ne jab zulf ko rukh pe vaa kiyaa dil pe main sura-e-dukhaan karne ko dam paDhaa kiyaa baada-kashi ko saaqiyaa kis ki mujhe bataa hubaab zor-e-bhanvar ke chaak par saaghar-e-mai banaa kiyaa vasl ki raat ham-nashin kyunki kaTi na puchh kuchh barsar-e-sulh mein rahaa tis pe bhi vo laDaa kiyaa paae-nigaar se lipaT chor bani to aap ko hi haath na kyuun tire bandhin kaam ye kyaa hinaa kiyaa dil ki judaai kaa kahun kis se main maajraa-e-gham sail-e-sarishk-e-chashm-e-tar shaam-o-sahar bahaa kiyaa shakl-e-asaa-e-musavi thaa to vo gesu-e-daraaz par use dast-e-shaana ne de ke kham aur dutaa kiyaa zeb-e-sar-e-shahaan kabhi tu ne na dekhaa tira-bakht baal-e-magas ne kab dilaa kaar-e-par-e-humaa kiyaa taar-e-nafas ulajh gayaa mere gulu mein aa ke jab naakhun-e-tegh-e-yaar ko main ne girah-kushaa kiyaa bosa-e-lab se ek din us ke huaa na kaamyaab dilbar-e-bad-zabaan ki main gaaliyaan hi sunaa kiyaa aa ke salaasil ai junun kyuun na qadam le baad-e-qais is kaa bhi ham ne silsila az-sar-e-nau bapaa kiyaa munh to na thaa ye ghair kaa us ko khilaae barg-e-paan par na miraa jo bas chalaa khun-e-jigar piyaa kiyaa us ki shikastagi kaa gham kyuun na ho mujh ko saaqiyaa meri baghal mein aah yaan shisha-e-dil rahaa kiyaa taar-e-nafas judaa kiyaa barbat-e-tan se mere aah kaudak-e-mutrib aur kyaa tujh ko kahun bajaa kiyaa koh ko khinchtaa jo tu kaah-rubaa to jaante ik par-e-kaah ko uThaa naaz kiyaa to kyaa kiyaa kyuun ho khizr-e-rah-ravaan khaak-nashini pe miri jis ne ba-shakl-e-naqsh-e-paa mujh ko hai rahnumaa kiyaa shola-rukhon ke ishq ne kunj-e-mazaar mein bhi aah sone diyaa na chain se main to sadaa jalaa kiyaa mujh ko hai hijr-o-vasl ek is ki khushi na us kaa gham kaisi musibaton ke din baar-e-khudaa bharaa kiyaa vasl huaa to ye huaa maar-e-siyaah jaan kar raat bhar apni zulf ke saae se vo Daraa kiyaa aur main muddaaa-talab aish se naa-umid ho shola-e-shama ki tarah sar ko paDaa dhunaa kiyaa mudrika-e-bashar hai kyaa paae jo us ki kunah ko chaahaa jo us ne so kiyaa kaun kahe ki kyaa kiyaa yaani banaa ke chashm ko surat-e-shisha-e-hubaab saahib-e-zarf thaa jo dil jaam-e-jahaan-numaa kiyaa apni sharaaraton se vo baaz na aayaa ai 'nasir' mujh ko rulaa ke abr saan barq-e-namat hansaa kiyaa"
Shah NaseerShah Naseer
Quote
"yaaro nahin itnaa mujhe qaatil ne sataayaa jitnaa ki mare dushman-e-jaan dil ne sataayaa kuchh sarzanish-e-kaar kaa shaaki vo nahin hai majnun ko to hai saahib-e-mahmil ne sataayaa ghuncha kahun yaa durj-e-guhar tere dahan ko khulnaa nahin is uqda-e-mushkil ne sataayaa aaraam se soyaa na kamar kaa tiri kushta marqad mein bhi muraan-e-tah-e-gil ne sataayaa us kaa mujhe shab yaad dilaayaa rukh-e-pur-nur shakl apni dikhaa kar mah-e-kaamil ne sataayaa meraa dil-e-saudaa-zada kartaa na kabhi ghul is kaakul-e-pechaan ke salaasil ne sataayaa afyun ki kisi roz main khaa jaaungaa goli be-vajah rukh-e-yaar ke gar til ne sataayaa jab bosa main maangun huun to kyaa kahte ho munh pher aisaa to kisi bhi nahin saail ne sataayaa har jaa mutajalli hai vo be-parda va-lekin ghaflat ke mujhe parda-e-haail ne sataayaa thaa ek to sayyaad giraftaar qafas mein aur dusre aavaaz-e-anaadil ne sataayaa ai ham-safaraan pesh-ravi ki nahin taaqat kyaa kiije hamein duri-e-manzil ne sataayaa pahlu mein 'nasir' aah nahin hai dil-e-muztar is sher-e-gham-aaluda-e-be-dil ne sataayaa"
Shah NaseerShah Naseer
Quote
"jab talak charb na juun sham-e-zabaan kijiyegaa sarguzisht apni kaa kyaa khaak bayaan kijiyegaa barq saan hans ke jo vaa aap dahaan kijiyegaa maani-e-makhzan-e-asraar ayaan kijiyegaa dil ko jab maail-e-chashmaan-e-butaan kijiyegaa turfat-ul-ain mein sair-e-do-jahaan kijiyegaa dil-e-sad-paara miraa shisha-e-ba-shikasta hai is ko paamaal zaraa dekh ke haan kijiyegaa dil-e-pur-aabla laayaa huun dikhaane tum ko band ai shisha-garo! apni dukaan kijiyegaa kyuun lagaate ho mire sina-e-sad-chaak ko haath chashm-e-sozan se nazar bakhiya-garaan kijiyegaa tum ko apnaa dil-e-pur-daagh dikhaate jo kabhi sair-e-gulshan na phir ai laala-rukhaan kijiyegaa haath se mohtasib-e-dahr ke ik din barpaa sar pe shishe ke kharaabi na yahaan kijiyegaa aabru madd-e-nazar ham ko hai teri yaan tak ashk ko rokiyegaa zabt-e-fughaan kijiyegaa kyunki nargis tiri aankhon se kare ham-chashmi jab tak us kaa na ilaaj-e-yaraqaan kijiyegaa ru-kashi dekh na kar gosha-nashinon se falak har tarah se tiri khaatir pae-shaan kijiyegaa naavak-e-aah lagaaeinge piyaape tujh par qadd-e-kham-gashta ko jab apne kamaan kijiyegaa abr-e-naisaan ki bhi jhaD jaaegi pal mein shekhi dida-e-tar ko agar ashk-fishaan kijiyegaa dil mein kuchh ye na samajhnaa ki hamaaraa hai daur jaamadaari mein shak ai baada-kashaan kijiyegaa dil mein rakhte ho khayaal us ki kamar kaa jo 'nasir' laa-makaan mein kahin kyaa jaa ke makaan kijiyegaa"
Shah NaseerShah Naseer
Quote
"ik qaafila hai bin tire ham-raah safar mein ashk aankh mein hai dil mein hai daagh aah jigar mein aaraam mujhe bin tire ik pal nahin ghar mein juun mardumak-e-dida huun din raat safar mein phirtaa hai vo gul-posh mire dida-e-tar mein hai shoala-e-javvaala ki tasvir bhanvar mein suraakh yahaan surat-e-favvaara hain sar mein dikhlaaun tamaashaa jo mujhe chhoD de ghar mein rashk aae na kyuun mujh ko ki tu dekh zar-o-sim rakhtaa hai qadam palla-e-khurshid-o-qamar mein main in dur-e-shahvaar ke ashkon se idhar aa taulungaa biThaa kar tujhe hairaan nazar mein aa dekh na hans hans ke rulaa mujh ko sitamgar ik nuuh kaa tufaan hai mire dida-e-tar mein aks-e-lab-e-paan-khurda se dandaan hain tire surkh yaa aatish-e-yaaqut hai ye aab-e-guhar mein baaz aao shikaar-afgani se haath uThaao bhaale ko miyaan kis liye rakhte ho kamar mein rahti hai baham zulf banaa gosh se tere kuchh farq nahin hai sar-e-mu shaam-o-sahar mein hai is mein raqam haal-e-siyah-bakhti-e-aashiq ye naama koi baandh do ab zaagh ke par mein ye bhi koi insaaf hai ai khaana-kharaab aah auron ko to le jaae hai tu din diye ghar mein aur ham jo hain so dekhne ko bhi tire tarsein divaar mein rakhna hai na suraakh hai dar mein kis vajh 'nasir' us lab-e-shirin pe na ho khaal hotaa vatan-e-mor to hai tang shakar mein"
Shah NaseerShah Naseer

More on Gul

View all →
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"ab tire lams ko yaad karne kaa ik silsila aur divaana-pan rah gayaa tu kahin kho gayaa aur pahlu mein teri shabaahat liye ik badan rah gayaa vo saraapaa tiraa vo tire khaal-o-khad meri yaadon mein sab muntashir ho gae lafz ki justuju mein laraztaa huaa nim-vaa saa faqat ik dahan rah gayaa harf ke harf se kyaa tazaadaat hain tu ne bhi kuchh kahaa main ne bhi kuchh kahaa tere pahlu mein duniyaa simaTti gai mere hisse mein harf-e-sukhan rah gayaa tere jaane se mujh par ye uqda khulaa rang-o-khushbu to bas teri miraas the ek hasrat saji rah gai gul-ba-gul ek maatam chaman-dar-chaman rah gayaa ek be-naam khvaahish ki paadaash mein teri palkein bhi baaham piro di gaiin ek vahshat ko sairaab karte hue mein bhi aankhon mein le kar thakan rah gayaa arsa-e-khvaab se vaqt maujud ke raaste mein ganvaa di gai guftugu ek israar ki bebasi rah gai ek inkaar kaa baankpan rah gayaa tu sitaaron ko apni jilau mein liye jaa rahaa thaa tujhe kyaa khabar kyaa huaa ik tamannaa dariche mein baiThi rahi ek bistar kahin be-shikan rah gayaa"
Irfan SattarIrfan Sattar