SHAWORDS

ye shahr hai anjaan kahaan raat guzaarun — Ishrat Kiratpuri

"ye shahr hai anjaan kahaan raat guzaarun hai jaan-na-pahchaan kahaan raat guzaarun daaman mein liye phirtaa huun main daulat-e-gham ko ghaafil hai nigahbaan kahaan raat guzaarun kuTiyaa to alag saaya-e-divaar nahin hai har raah hai viraan kahaan raat guzaarun is raahguzar par to shajar bhi nahin koi aur sar pe hai tufaan kahaan raat guzaarun bahrupiye phirte hain har ik raahguzar par koi nahin insaan kahaan raat guzaarun dar vaa hai koi aur na daricha hi khulaa hai har kucha hai viraan kahaan raat guzaarun"
Urdu

یہ شہر ہے انجان کہاں رات گزاروں ہے جان نہ پہچان کہاں رات گزاروں دامن میں لئے پھرتا ہوں میں دولت غم کو غافل ہے نگہبان کہاں رات گزاروں کٹیا تو الگ سایۂ دیوار نہیں ہے ہر راہ ہے ویران کہاں رات گزاروں اس راہ گزر پر تو شجر بھی نہیں کوئی اور سر پہ ہے طوفان کہاں رات گزاروں بہروپئے پھرتے ہیں ہر اک راہ گزر پر کوئی نہیں انسان کہاں رات گزاروں در وا ہے کوئی اور نہ دریچہ ہی کھلا ہے ہر کوچہ ہے ویران کہاں رات گزاروں

Hindi

ये शहर है अंजान कहाँ रात गुज़ारूँ है जान-न-पहचान कहाँ रात गुज़ारूँ दामन में लिए फिरता हूँ मैं दौलत-ए-ग़म को ग़ाफ़िल है निगहबान कहाँ रात गुज़ारूँ कुटिया तो अलग साया-ए-दीवार नहीं है हर राह है वीरान कहाँ रात गुज़ारूँ इस राहगुज़र पर तो शजर भी नहीं कोई और सर पे है तूफ़ान कहाँ रात गुज़ारूँ बहरूपिए फिरते हैं हर इक राहगुज़र पर कोई नहीं इंसान कहाँ रात गुज़ारूँ दर वा है कोई और न दरीचा ही खुला है हर कूचा है वीरान कहाँ रात गुज़ारूँ

ye shahr hai anjān kahāñ raat guzārūñ
I
Ishrat Kiratpuri
Ishrat Kiratpuri
poet14 quotes

More by Ishrat Kiratpuri

View all →
Quote
"aankhon mein mire gham ki tasvir sanjo loge ye baat na sochi thi daaman ko bhigo loge tum tark-e-taalluq ko kyuun chehre pe likh laae tum ne to kahaa ye thaa ye raaz na khologe jab meraa pata tum se puchheinge gali vaale kuchh kah to na paaoge palkon ko bhigo loge sach-much ye bataao tum kyaa mujh se bichhaD kar bhi in hijr ki raaton mein aaraam se so loge is bhiiD mein logon ki main ro bhi nahin saktaa ik tum ho ki chupke se tanhaai mein ro loge ye kaun hai jo 'ishrat' hai mere taaaqub mein itni baDi duniyaa mein kis kis ko TaTologe"
I
Ishrat Kiratpuri
Quote
"barson tapish-e-gham mein ye ehsaas jale hai tab jaa ke kahin she'r ke saanche mein Dhale hai kuchh aise teri bazm mein baiThaa huun akelaa jis tarah sar-e-raah koi shama jale hai allaah kisi shakhs ko rusvaa na kare yuun mujh se miraa saaya bhi to ab bach ke chale hai is manzil-e-dushvaar se hans hans ke guzar jaa pagle kahin rone se shab-e-hijr Dhale hai har roz nayaa ruup badalti hai teri yaad aahon mein Dhale hai kabhi ashkon mein Dhale hai har shahr mein hone lagi angusht-numaai rusvaai miri mujh se bhi kuchh aage chale hai ik roz use TuuT hi jaanaa thaa bahar-haal dil toD ke tu kyuun kaf-e-afsos male hai"
I
Ishrat Kiratpuri
Quote
"mummy banaa ke na show-case mein sajaao mujhe main ek laash huun dafnaao yaa jalaao mujhe ye maslahat hi nahin vaqt kaa taqaaza hai khushi ke din ki tarah tum bhi bhuul jaao mujhe tumhaare saath to chalne mein koi harj nahin magar khudaa ke liye raah to bataao mujhe main vo mataa' huun jis kaa nahin koi vaaris 'aziz dosto chupke se bech khaao mujhe puraane aaine chehron ko chaaT lete hain jo ho sake to nayaa aaina dikhaao mujhe main ban na jaaun kisi ajnabi kaa hamraahi paraae des mein yuun chhoD ke na jaao mujhe"
I
Ishrat Kiratpuri

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud