"aankhon mein mire gham ki tasvir sanjo loge ye baat na sochi thi daaman ko bhigo loge tum tark-e-taalluq ko kyuun chehre pe likh laae tum ne to kahaa ye thaa ye raaz na khologe jab meraa pata tum se puchheinge gali vaale kuchh kah to na paaoge palkon ko bhigo loge sach-much ye bataao tum kyaa mujh se bichhaD kar bhi in hijr ki raaton mein aaraam se so loge is bhiiD mein logon ki main ro bhi nahin saktaa ik tum ho ki chupke se tanhaai mein ro loge ye kaun hai jo 'ishrat' hai mere taaaqub mein itni baDi duniyaa mein kis kis ko TaTologe"
barson tapish-e-gham mein ye ehsaas jale hai — Ishrat Kiratpuri
"barson tapish-e-gham mein ye ehsaas jale hai tab jaa ke kahin she'r ke saanche mein Dhale hai kuchh aise teri bazm mein baiThaa huun akelaa jis tarah sar-e-raah koi shama jale hai allaah kisi shakhs ko rusvaa na kare yuun mujh se miraa saaya bhi to ab bach ke chale hai is manzil-e-dushvaar se hans hans ke guzar jaa pagle kahin rone se shab-e-hijr Dhale hai har roz nayaa ruup badalti hai teri yaad aahon mein Dhale hai kabhi ashkon mein Dhale hai har shahr mein hone lagi angusht-numaai rusvaai miri mujh se bhi kuchh aage chale hai ik roz use TuuT hi jaanaa thaa bahar-haal dil toD ke tu kyuun kaf-e-afsos male hai"
برسوں تپش غم میں یہ احساس جلے ہے تب جا کے کہیں شعر کے سانچے میں ڈھلے ہے کچھ ایسے تیری بزم میں بیٹھا ہوں اکیلا جس طرح سر راہ کوئی شمع جلے ہے اللہ کسی شخص کو رسوا نہ کرے یوں مجھ سے مرا سایہ بھی تو اب بچ کے چلے ہے اس منزل دشوار سے ہنس ہنس کے گزر جا پگلے کہیں رونے سے شب ہجر ڈھلے ہے ہر روز نیا روپ بدلتی ہے تیری یاد آہوں میں ڈھلے ہے کبھی اشکوں میں ڈھلے ہے ہر شہر میں ہونے لگی انگشت نمائی رسوائی مری مجھ سے بھی کچھ آگے چلے ہے اک روز اسے ٹوٹ ہی جانا تھا بہرحال دل توڑ کے تو کیوں کف افسوس ملے ہے
बरसों तपिश-ए-ग़म में ये एहसास जले है तब जा के कहीं शे'र के साँचे में ढले है कुछ ऐसे तेरी बज़्म में बैठा हूँ अकेला जिस तरह सर-ए-राह कोई शम्अ' जले है अल्लाह किसी शख़्स को रुस्वा न करे यूँ मुझ से मिरा साया भी तो अब बच के चले है इस मंज़िल-ए-दुश्वार से हंस हंस के गुज़र जा पगले कहीं रोने से शब-ए-हिज्र ढले है हर रोज़ नया रूप बदलती है तेरी याद आहों में ढले है कभी अश्कों में ढले है हर शहर में होने लगी अंगुश्त-नुमाई रुस्वाई मिरी मुझ से भी कुछ आगे चले है इक रोज़ उसे टूट ही जाना था बहर-हाल दिल तोड़ के तू क्यूँ कफ़-ए-अफ़सोस मले है
More by Ishrat Kiratpuri
View all →"raaton kaa karb din ki thakan mere saath hai yaadon kaa ik darida kafan mere saath hai barson se jal rahaa huun main qurbat ki aag mein naa-qaabil-e-bayaan chalan mere saath hai mere liye to saans bhi lenaa muhaal hai maahaul ki ye saari ghuTan mere saath hai aankhon mein bas gai hai kisi shaakh ki tarah har ik qadam pe yaad-e-dakan mere saath hai 'ahd-e-vafaa ko teri tarah kaise toD duun meraa mizaaj meraa chalan mere saath hai"
"the mizaajan ham bhi harjaai bahut par dakan vaalon ki yaad aai bahut dil ke milne aur luTne ke liye ek lamhe ki shanaasaai bahut ban gae hain aaj vo naa-aashnaa jin se thi kal tak shanaasaai bahut jab se un ki qurbatein haasil huiin baDh gai hai dil ki tanhaai bahut"
"zikr ghairon se tumhaaraa nahin hogaa mujh se ye taaaruf bhi gavaara nahin hogaa mujh se mere maulaa miri aankhon mein samundar de de chaar bundon pe guzaara nahin hogaa mujh se dauDtaa hai meri rag rag mein mohabbat kaa lahu dushmanon se bhi kinaara nahin hogaa mujh se mere ikhlaas ki yaarab tu sazaa mat denaa ye hasin jurm dobaara nahin hogaa mujh se jo haqiqat mein miraa dushman-e-jaan hai 'ishrat' hijr us kaa bhi gavaara nahin hogaa mujh se"
"mummy banaa ke na show-case mein sajaao mujhe main ek laash huun dafnaao yaa jalaao mujhe ye maslahat hi nahin vaqt kaa taqaaza hai khushi ke din ki tarah tum bhi bhuul jaao mujhe tumhaare saath to chalne mein koi harj nahin magar khudaa ke liye raah to bataao mujhe main vo mataa' huun jis kaa nahin koi vaaris 'aziz dosto chupke se bech khaao mujhe puraane aaine chehron ko chaaT lete hain jo ho sake to nayaa aaina dikhaao mujhe main ban na jaaun kisi ajnabi kaa hamraahi paraae des mein yuun chhoD ke na jaao mujhe"
"sahn-e-maqtal mein har ik zakhm-e-tamannaa rakh do aur qaatil kaa nayaa naam masihaa rakh do ab to rusvaai ki had mein hai meri tishna-labi ab to honThon pe dahaktaa huaa shoala rakh do kitni taarik hai shab mere makaan ki yaaron in munDeron pe koi chaand saa chehra rakh do ab ki baarish mein miraa naam chamak jaaegaa laakh tum ret ki tah mein miraa katba rakh do phir bhi haq baat ke kahne se na baaz aaungaa mere haathon pe bhale daulat-e-duniyaa rakh do niind si aane lagi zulf ke saae mein mujhe phir mire khvaabon pe taptaa huaa sahraa rakh do mere afsaane ko phir moD nayaa saa de do aur unvaan sulagtaa huaa lamha rakh do jo samajhte hi nahin meri zabaan ko 'ishrat' un ke afkaar mein meraa lab-o-lahja rakh do"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"